اقرأ باسم ربك الذي خلق

14 Jun 2018

Kafir Ko Kiraye Par Ghar Dena

hi    

Imaam al-Sarkhasi r.h. farmate hai,

"Is me koi harj nahi ke Musalman apna ghar kisi kafir ko kiraye par rahne ke liye de. Agar wo is ghar me sharab pita hai ya Saleeb (cross) ki ibadat karta hai ya ghar me khinzeer (pork) laaye to iska gunah ghar ke malik, musalman shaks ko nahi hoga kyuki us ne ghar use isliye nahi diya tha aur iska gunah kiraye-dar ko hoga jo ye amal kare kyuki wo makaan-malik ke niyat ke bagair ye (amal) karta hai, isliye makaan-malik par iska koi gunah nahi hoga."

Al-Mabsoot, 16/39.

•٠•●●•٠•