اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Dec 2018

Choti Nekiyo Ko Kam Aham Ka Na Samjho

en  -
Allah farmate hai:

۩ Ham ne har insan ki buraee bhalaee ko uske gale laga diya hai aur baroz e qayamat ham us ke samne us ka naam-e-aemaal nikalenge jisse woh apne upper khula hua paa le ga.

(Aur unse kaha jayega) Lo! Khud hi apni kitab padh lo. Aaj toh tum apna khud hisab lene ko kafi hai.

S
urah Isra ﴾17﴿: Ayat No 13-14.

۩ Aur kitab e aamaal rakh di jayegi, pas Aap mujrimon ko dekhenge ke woh is se darne wale honge jo is me hoga aur kahenge ke Haye! hamari kambakhti! Yeh kitab kaisi hai jisne chhota-bada kuch bhi nahi choda magar usko shumar kar rakha hai aur jo bhi unhone kiya tha woh sab is ko samne payenge aur apka Rab kisi ek par (bhi) zulm nahi karta.

Surah Kahf ﴾18﴿ Ayat No 49.

۞ Adi bin Hatim r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Apne ap ko jahannam ke aag se bachao wo kyu na aadhi khajur hi dekar ho aur agar wo bhi nai ho sakta to achhi baat karke.”

Sahih al Bukhari, kitabul zakaat ﴾24﴿, hadith-1417.

۞ Abu Zarr r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya ki kisi bhi neki ko kam aham ka na samjho chahe yahi ho ki tum apne bhai ko muskurate hue chehre se milo. 

Sahih Muslim, kitab al birr was silati wal aadaab ﴾45﴿, hadith- 6690.

۞ Huzaifa r.a. se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Gujishta ummaton ke kisi shaksh ki rooh ke paas farishte aaaye aur pucha ki tune kuch achhey kaam bhi kiye hain? Rooh ne jawab diya ki main apne naukaro se kaha karta tha ki wo maaldaar logo ko (jo unke karzdaar hai) mohlat de diya kare aur un par sakhti na kare aur mohtaajon (ka karz) muaf kar diya karein.

Fir farishton ne bhi us se darguzar ki aur sakhti nahi ki.”

Sahih al Bukhari, kitab al buyu ﴾34﴿, hadith- 2077.

۞ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya:

“Ek fahashah aurat sirf is wajah se baksh di gayi ke wo ek kutte ke qareeb se guzar rahi thi, jo ek quwe ke qareeb khada pyasa bhanp raha tha. Aisa malum hota tha ke wo pyas ke shiddat se abhi mar jayega. Us aurat ne apna mojah nikala aur usme apna dupatta bandh kar pani nikala aur us kutte ko pila diya, to iski bakshish us (neki) ke wajah se ho gayi.”

Sahih Bukhari, kitab bada al khalq ﴾59﴿, hadith- 3321.

۞ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,

“Ek shaks raaste ke upar padi hui darakht ki ek shaakh ke paas se guzra toh usne kaha, 'Allah ki kasam mai is shaakh ko musalmano ke raaste se hata dunga taakeh ye un ko nuksan na de toh us shaks ko Jannat me dakhil kar diya gaya.”

Sahih Muslim, kitab al birr was silati wal aadaab ﴾45﴿, hadees- 6670.

۩ Ibn Abd al-Barr r.h. kahte hai:

ﻭَﻟَﺎ ﻳَﻨْﺒَﻐِﻲ ﻟِﻠْﻌَﺎﻗِﻞِ ﺍﻟْﻤُﺆْﻣِﻦِ ﺃَﻥْ ﻳَﺤْﺘَﻘِﺮَ ﺷَﻴْﺌًﺎ ﻣِﻦْ ﺃَﻋْﻤَﺎﻝِ ﺍﻟْﺒِﺮِّ ﻓَﺮُﺑَّﻤَﺎ ﻏُﻔِﺮَ ﻟَﻪُ ﺑِﺄَﻗَﻠِّﻬَﺎ-

“Ek aqalmand momin wo hai jo kisi bhi amal ko chota (ya kam aham ka) na samjhe. Kabhi kadaar, ek chote amal ke wajah se uski magfirat kar di jati hai.”

At Tamheed 22/12.

•٠•●●•٠•