اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Aug 2019

Kya Al-Albani Ne Bukhari Aur Muslim ki Kuch Hadeeso ko Zaif Kaha Hai?


 Sawal 

Asslamu alaikum sir. Kya ye baat sach hai ki Shaykh Albani ne Sahih al Bukhari aur Sahih Muslim ki kuch hadeeso ko zaif karaar diya hai?

 Jawab 

Alhamdulillah..

Ye baat bilkul sahih hai ki Shaykh Albani r.h. ne Sahih al Bukhari aur Sahih Muslim ki kuch hadeeso ko zaif karaar diya hai.

۩ Shaykh Albani farmate hai:

"جهل بعض الناشئين الذي يتعصبون لـ " صحيح البخاري "، وكذا لـ " صحيح مسلم " تعصبا أعمى ، ويقطعون بأن كل ما فيهما صحيح"-

“Baaz nawjawan log jo shiddat-pasandi se Sahih al Bukhari aur isi tarha Saheeh Muslim par jan-nisar (devoted) hai wo Be-Ilm (ignorant) hai aur wo zid par ade hai ki unme sab kuch sahih hai...”

Silsilat al-Ahaadeeth as-Saheehah (no. 2540). 

۩ Shaykh Albani farmate hai:

لكن في أثناء البحث العلمي تمر معي بعض الأحاديث في الصحيحين أو في أحدهما ، فينكشف لي أن هناك بعض الأحاديث الضعيفة! لكن من كان في ريب مما أحكم أنا على بعض الأحاديث فليعد إلى " فتح الباري" فسيجد هناك أشياء كثيرة وكثيرة جداً ينتقدها الحافظ أحمد ابن حجر العسقلاني " انتهى من " فتاوى الشيخ الألباني-

“... Lekin mere taaleemi tahkeek ke dauran maine Saheehayn (Bukhari aur Muslim) me kuch hadeese paayi, ya do maise ek, aur mujhe ahsaas hua ki unme kuch hadeese zaif hai! Lekin (in) chand hadeeso ke bareme jise bhi mujh par shak ho toh use chahiye ki wo Fath al Bari ka mutalla kare jaha par use boht si chize pata chalengi jinki tanqeed al-Hafiz Ahmad ibn Hajar al Asqalaani (author) ne ki hai.”[alfaz khatm]

Fataawa ash-Shaykh al-Albaani (safa- 565).

۩ Shaykh Albani ke is raaye par Shaykh Saleh al Munajjid kahte hai:

“Khulasa yahi hua ki Shaykh Albani ne waqai me Saheehayn (Bukhari aur Muslim) ki kuch hadeeso ko zaif karaar diya hai.”


۩ Shaykh Albani ke is raaye par Shaykh Zubair Ali Zai kahte hai:

“Shaykh Albani ne Sahih Muslim ki tees (30) se zyada Hadeeso ko zaif karaar diya hai. Aur Shaykh Albani marte-marte Sahih al Bukhari ki kayi hadeeso ko zaif karaar dekar gaye hai. Aur ye Shaykh Albani ki Manhaj ki galti hai, unki manhaj ki khami hai.”

[ye unke jawab ka khulasa hai]


Lekin ham Shaykh Albani ki is raaye se ikhtilaf karte hai. Aur hamara manna hai ki Sahih al Bukhari aur Sahih Muslim ki tamaam hadeese sahih hai, jaise ki jamhoor Muhaddiseen ki raaye hai.

Shaykh Albani ki raaye se is baat ki bhi tashdeek hoti hai ki Jamhoor ki raaye se ikhtilaf kiya ja sakta hai agar hame koi baat Quran, sunnat ya usool e deen ke lihaj se thik na lage, jaisa ke Shaykh Albani ko bhi pata tha ki Jamhoor Muhaddiseen Sahih al Bukhari aur Sahih Muslim ki saari hadeeso ko sahih kahte hai lekin iske bawujud unhone is chiz par jamhoor se ikhilaf kiya.

•٠•●●•٠•