اقرأ باسم ربك الذي خلق

13 Jan 2020

Paani ke Israaf ke Mutallik Riwayaat


Alhamdulillah..

Abdullah ibn Amr ibn Aas riwayat karte hai ki Rasool ﷺ Saad r.a. ke paas se guzre toh Saad r.a. wuzu kar rahe the, Nabi ﷺ ne farmaya,

Saad! israaf (zarurat se zyada istemal) kyu kar rahe ho?

Saad r.a. ne arz kiya,

Kya wuzu me bhi israaf hota hai?

Toh Rasool ﷺ ne farmaya,

'Ji haan, agar aap chalti naher aur darya par bhi ho tab bhi israaf hota hai.'

Musnad Imam Ahmad,  hadees- 6768 aur Sunan ibn Maajah, hadees- 419. Iski sanad Shaykh Ahmad Shakir ke nazdeek sahih hai..

۩ Mawsuah al Fiqhiyyah me kaha gaya hai,

“Ulema is par muttfiq hai ke pani ke istemaal me israaf se kaam lena makrooh hai.”

Mawsoo‘ah al-Fiqhiyyah (4/180).

۩ Shaykh Abdul Muhsin Abbaad kahte hai,

“Pani ke istemaal me israaf se kaam lene ki mumaniat par ulema e karaam ka ittafaq hai, chahe samandar ke kinare par hi kyu na ho, kyunke Imam Ahmad aur Imam Ibn Majah r.h. ne Abdullah bin Amr bin Aas r.a. se riwayat ki hai ke,

'Saad r.a.wuzu kar rahe the tho waha se Nabi ﷺ guzre aur farmaya.... (Fir Shaykh ne muqammal hadees bayaan ki).' [alfaz khatm]

Sharah Sunan Abu Dawud (source)

۩ Shaykh ibn Uthaymeen kahte hai,

“Hame ilm hona chahiye ke wuzu ya ghul me pani zyada istemaal karna niche diye gaye farmaan e baari taala me daakhil hota hai,

'Aur tum israaf na kiya karo, kyunke Allah israaf karne waalo ko pasand nahi farmata.'

Surah Anaam, ayat- 141.

Isi liye Fuqaha e karaam ka kahna hai ki,

'Israaf makruh hai chahe chalti naher ke kinare bhi ho, toh fir agar pani nikalne wali motor (nal) ke paas aisa kiya jaaye toh kya hukm hoga?

Haasil ye hua ke wuzu wagaira me israaf karna mazmum umoor (blameworthy action) me shaamil hota hai.” [alfaz khatm]

Sharah Riyadh us Saaliheen (source)

Wa Allahu alam.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeeq ata kare. aameen