اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 Feb 2020

Jism Se Rooh Nikalne ke Baad ka Waaqya


Bara bin aazib r.a. bayan karte hai ke ham Nabi ﷺ ke sath ek ansari sahabi ke janaza me gaye, ham kabr ke paas pahuche toh abhi kabri khodi ja rahi thi. Rasoolullah ﷺ baith gaye aur ham unke ird-gird is tarha baith gaye goya ke hamare sar par parinde ho (yaani nihayat pur sukoon aur khamoshi se baithe the) aur Nabi ﷺ ke haath me chadi thi jis se wo zameen khuraid rahe the. To unhone apna sar uthaya aur farmaane lage, 'Azaab e qabr se Allah taala ki panaah talab karo. Yeh baat Nabi ﷺ ne do ya teen martaba dohrayi fir farmane lage,

'Jab momin banda is duniya se aakhirat ki taraf ja raha hota hai toh aasmaan se safed chehro waale farishte us ke paas aate hai goya ke un ke chehre suraj ho, un ke paas jannat ka kafan aur khushbu hoti hai hatta ke woh is ke saamne jaha tak nigaah pahoche baith jate hai. Fir Malak ul maut aakar us ke sir ke qareeb baithta hai aur kahta hai aye achhi jaan apne Rab ki maghfirat aur razamandi ki taraf chalo'.

Nabi ﷺ ne farmaya ke woh rooh is tarah nikalti hai jis tarah ke mashkizeh (cup) ke muh se pani ka qatra bahta hai, toh farishte use hatho haath lete aur palak jhapakte hi apne hatho me liye hue jannati kafan aur khushbu me lapait lete hai aur is se zameen me paayi jaane wali sab se achi qisam ki kastoori ki khushboo nikalti hai, toh woh use lekar upar chadte hai to woh jis farishte ke paas se bhi guzarte hai woh kahta hai yeh achhi rooh kis ki hai?

To woh kahte hai ke yeh fulaa bin fulaa hai, dunya me use jis, sab se achhe naam se bulaya jata tha, hatta ke woh use aasmani duniya tak jaakar use khulwaate hai toh khol diya jata hai, toh use har aasmaan wale dusre aasman tak pohanchate hai hatta ke saatwe aasman tak jaate hai toh Allah taala farmate hai,

'Mere bande ki kitaab Illiyoon (sabse unchi jannat) me likh do aur use zameen ki taraf lauta do, bilashuba mai ne inhe isi me paida kiya aur  isi me lautaunga aur fir isi me se nikalunga.'

Nabi ﷺ farmate hai ke uski rooh jism me lautayi jati hai toh uske paas do (2) farishte aa kar use baithate aur use kahte hai ke Tera Rab Kaun Hai?
Toh woh kahta hai, Mera Rab Allah Hai,
woh usse kahte hai Tera Deen kya hai?
woh jawab deta hai mera Deen Islam hai,
woh usse sawal karte hai, 'Is shakhs ke baare me tumhara kya khayaal hai jo tum me maboos kiya gaya tha?'
woh jawab dega, Woh Allah ke Rasool hai,
woh usse sawal karte hai, Tumhare ilm me ye jawaab kaise aaya?
woh jawab deta hai, 'Mai ne Allah ki kitab ko padha toh is par eemaan laaya aur iski tashdeek ki.'

Toh aasmaan me aawaz lagayi jaati hai ke mere bande ne sach kaha, is ke liye Jannat ka bistar lagao aur Jannati libaas pahnaao aur Jannat ka darwaaza khol do.

Nabi ﷺ ne farmaya, Us (kabr) me jannat ki hawaye aur khusbhoo aati hai aur jaha tak nigah pahonchta hai waha tak is ki kabr wasee (chawdi) ho jayegi aur farmaya, ke us ke paas khubsurat khubsurat shakal aur khubsurat libaas aur achhi khushboo me ek shakhs aakar kahta hai,

Khush ho jao yahi woh din hai jis ka tumhare saath waada kiya jata tha, toh woh usse kahega ki tum kaun ho, tumhare chehre se zahir ho raha hai ke tum khair (acchaai) laane wale ho, woh jawab dega, Mai tere aamaal e saleha (nek aamaal) hu, woh shakhs kahega, Aye Rab qayamat qayam karde taake mai apne ghar waalo aur maal ko firse dekh lu.

Nabi ﷺ ne farmaya,

Bilashuba jab kafir is duniya se akhirat ki taraf ja raha hota hai to aasman se us ke paas kaale chehre waale khurdara taat (sackcloth) liye farishte aate hai aur us ke paas jaha tak nigah jaati baith jaate hai fir malakul maut aakar us ke sar ke paas baith jata hai aur kahta hai ke aye khabees rooh apne Rab ke gusse aur gazab ki taraf nikal.

Nabi ﷺ ne farmaya, Toh wo rooh pure jism me fail jati hai toh use  jism se is tarah khincha jata hai jis tarah ke bheegi hui rooyi se salakh (skewer) khenchi jati hai, to woh use pakad kar palak jhapakte hi us khurdare taat me rakh dete hai aur is se zameen par paaye  jaane wale gande tareen murdaar ki tarah badbu aati hai toh woh use leker upar chadte hai. Woh farishto me se jis ke paas se bhi guzarte hai woh kahta ke yeh kis ki gandi rooh hai toh woh kahte hai yeh fulaan bin fulaan, us naam ke sath jo zameen me badtareen naam use diya jata tha hatta ke woh aasmani duniya tak pahunchte aur use khulwaate hai lekin nahi khola jata fir Nabi ﷺ ne Allah taala ka ye farmaan padha,

۩ 'Un ke liye aasman ke darwaze nahi khole jayenge aur woh us waqt tak Jannat me bhi nahi daakhil ho sakte hatta ke sui ke naake (hole) me oont daakhil ho jaaye.'

[Surah Araaf (7), ayat- 40]

Toh Allah taala farmayenge ke is ki kitaab sab se nichli zameen me sijjeen ke andar likh do toh iski rooh ko upar se hi fenk diya jayega. Fir Nabi ﷺ ne yeh aayat padhi,

۩ 'Aur jo bhi Allah taala ke sath shirk karta hai woh is tarah hai ke jaise aasman se gire toh use parinde uchak le jaye ya fir use hawa kisi dur daraaz muqam par fenk de.'

[Surah Hajj (22), ayat- 31]

Toh is ki rooh jism me lautayi jati hai aur do farishte us ke paas aakar baithte hai aur kahte hai,

Tera Rab kaun hai?
Woh jawab me kahta hai, 'Haaye mujhe toh koi ilm nahi',
Woh use kahte hai, 'Tera Deen kya hai?'
Woh jawab deta hai, 'Haaye mujhe toh kuch ilm nahi.'
Woh use kahte hai, 'Is shakhs ke baare me tum kya kahte ho jo tumhare andar maboos kiya gaya'
Woh jawab deta hai, 'Haaye mujhe toh us ka ilm nahi.'

Toh aasmaan se yeh aawaz lagayi jati hai ke,

Is ke liye aag ka bistar lagado aur aag ki taraf ka darwaaza khol do toh is se iski garmi aur dhuwa aur badbu aati hai aur qabr us par is qadar tang ho jati hai ke is ki pasliya ek dusre me chali jati hai, aur us ke paas ek badsurat shakal, gande aur badbu-daar kapdo me ek shakhs aata hai aur kahta hai,

Tujhe teri na-pasandeedgi ki khushkhabri hai, yahi woh din hai jis ka tere sath waada kiya jata tha, woh is se sawal karega tum kaun ho? Tumhara toh chehra hi aisa hai jo shar hi shar laata hai, woh jawab me kahta hai ke mai tere bure aamaal hu, toh woh kahega aye Rab qayamat qayam na kar. 

Musnad Imam Ahmad, hadees- 17803. Is hadees ko Saheeh al Jaami, hadees- 1676 me sahih karaar diya gaya hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hamari rooh ko nek rooh me shumaar kare aur apne rahmat me hame jagah ata kare. aameen.