اقرأ باسم ربك الذي خلق

23 May 2020

Eid ul Fitr Me Takbeer Kab Shuru Ki Jaati Hai?


Eid ke din takbeerat kahna eid ki badi sunnat hai. Jaise ke Allah ﷻ farmate hai,

'Allah tumhare saath narmi karna chahta hai, sakhti karna nahin chahta, isliye yeh tareeqa tumhe bataya jaa raha hai taa ke tum rozo ki taadaad puri kar sako aur jis hidayat se Allah ne tumhe sarfaraz kiya hai us par Allah ki kibriayi ka izhar o aetraf karo aur shukarguzar bano.

Surah baqarah ﴾2﴿, ayat-185.

۩ Ibn Masud r.a. ye Takbeerat kahte:

'Allaahu akbar, Allaahu akbar, Allahu akbar laa ilaaha ill-Allaah, Allaahu akbar, Allaah akbar, wa Lillaah il-hamd.'

(Allah sab se bada hai, Allah sab se bada hai, Allah sab se bada hai, Allah ke siwa koi mabud nahi, Allah sab se bada hai, Allah sab se bada hai aur sab taareef Allah ke liye hai).

Musannaf ibn Abi Shaybah, 2/165-168. Irwa’ al-Ghaleel, 3/125.

Ek dusri taqbeer bhi hai jis me shuru me teen ke bajaye do baar Allahu akbar kahna hai aur baaki alfaz wahi hai. Is ki bhi ijazat hai.

Eid ul fitr me takbiraat kahne ka waqt chand raat se shuru hokar namaz e eid ke liye imam ke aane tak rahta hai.

۩ Imam Shafi 'kitab al Umm' me kahte hai,

'Jab wo Shawwaal ke chand ko dekh le, toh mujhe pasand hai ki log groh me aur akele, masjido, bazaro, galiyo aur gharo me, chahe wo musafir ho ya gair-musafir sabhi halaat me aur wo jaha bhi ho takbeer kahe. Aur takbeer buland aawaz me kahi jaaye yaha tak ke wo agli subah namaz ke jagah par aaye aur uske baad bhi takbeer kahna jaari rakhe yaha tak ki Imam namaz padhane ke liye bahar nikle, fir takbeer kahna band kar dein.'

source: islamqa.info

•٠•●●•٠•

Related: