اقرأ باسم ربك الذي خلق

20 Jul 2020

Kya Aurat Qurbani ka Jaanwar Zabah Kar Sakti Hai?


Alhamdulillah..

Daur e Nabawi se lekar aaj tak, ummat ka aam amal yahi hai ki Qurbani ke jaanwar ko mard zabah karte aaye hai, lekin hamare zahen me ye sawal aa sakta hai ki kya ek aurat jaanwar zabah kar sakti hai. Aaiye is sawal ke jawab par roshni daalte hai.

Ulema e Islam is baat par mutaffiq (agree) hai. Quran aur Sunnat ke alfaz me aam istehlat istemal hone ki wajah se Aurat ke zariye zabah kiya gaya Gosht khana jaiz hai.

۩ Irshaad e baari ta'ala hai,

'Tumhare liye haraam kiya gaya hai murda jaanwar aur khoon aur suwar ka gosht aur jis par Allah ke siwa kisi aur ka naam liya gaya ho. 

Surah Maida (5), ayat- 3.

۞ Ka'b bin Malik r.a. riwayat karte hai,

'Ek aurat ne ek bhed (sheep) ko ek patthar se zabah kar diya aur fir Rasoolullah ﷺ se iske baare me pucha gaya aur unhone is (zabah kiye hue bhed) ko khane ki ijazat de.'

Sahih al bukhari, kitab al zabah wal sayid (72), hadees- 5504.

Is hadees se yeh wazeh (clear) ho jata hai ke aam istehlat istemal hone ki wajah se aurat jaanwaro ko zabah kar sakti hai fir wo Qurbani ka gosht ho ya bakaida khane (regular food) ke liye zabah kiya jaane wala.

۩ Ibn e Hajar r.h. ne is hadees par tabsera karte hue kaha,

“Isse ye zahir hota hai ke Aurat ke zarye zabah shuda gosht khane ki ijazat hai, khwah wo aazad ho ya gulam, budhi ya jawan, musalman ho ya ahle kitab (Yahoodi ya Isaayi), pakeezgi ki halat me ya kisi aur tarah se,
Kyu ke Nabi ﷺ ne inhe bataya ke wo gosht khaye jo unhone zabah kiya tha aur iske baare me mazeed tafseel talab nahi ki.”

۩ Shaykh ibn Taymiyya r.h. kahte hai,

'Kisi aese Jaanwar ko khane ki ijazat hai jisko mard ya Aurat marne se pahle hi Islamic taur par zabah karte hai. Ya Aurat ke zarye zabah kiya jaane wala gosht, chahe wo haiz (periods) ki halat me hi kyu na ho, kyu ke ye haiz ki halat uske hath me nahi hai.
Agar koi aurat kisi janwar ko islami tareeke par zabah karti hai, us jaanwar ke marne se pahle, toh us jaanwar ke gosht ko khane ki ijazat hai, Muslamano ke Ijma ke mutabik.'

Al Fataawa, 35/234.

Isliye Khulasa e Tahreer yahi hai ke 'Aurat ke zariye Islami taur par zabah kiya jane wala gosht jaiz hai.'

Wallahu aalam.

 Prepared by: A. Sayed

•٠•●●•٠•

Qurbani aur Zul Hijjah ke mutallik dusre articles padhe: https://www.iqrakitab.com/p/qurbani-se-mutallik-articles.html