اقرأ باسم ربك الذي خلق

17 Apr 2021

Kya Quran aur Sunnat Hidayat ke Liye Kaafi Nahi?

Alhamdulillah..

Allah ki kitab aur Rasoolullah ﷺ ki sunnat ki roshni me toh yahi baat milti hai ki ye do chize ek insan ke hidayat ke liye kaafi hai. Lekin hamare muashre me aksar isse alag baat milti hai. Kuch kahte hai ki jab tak Aap hamare firqe se na jud jaaye ap hidayat nahi paa sakte. Isi tarha kuch log kahte hai ki jab tak ap kisi ek Imam ki pairwi na kar le ap hidayat nahi paa sakte aur kuch log ye bhi kahte hai ki bina aslaaf ke tarike par chale hame hidayat ya sidha raasta nahi mil sakta.

Dhayn rahe ki yaha ye kahne ki koshish nahi ki jaa rahi ki hame aslaaf ya ahle ilm ki pairwi nahi karni chahiye. Yaha sirf ye baat samjhayi jaa rahi hai ki Quran aur sunnat hidayat ke liye kaafi hai.

Toh Bilkul Quran aur Sunnat hidayat ke liye kaafi hai. Aaiye ham iski dalail dekhte hai,

Allah pak farmate hai,

۩ Alif laam meem. Is kitab (kay Allah ki kitab honey) mein koi shak nahi, perhezgaron ke liye Hidayat hai.

Surah Baqarah, ayat 1-2.

۩  Ramazan woh maheena hai jisme Quran nazil kiya gaya jo Insaano ke liye saraasar hidayat hai aur aesi waaze taaleemaat par mushtamil hai jo raah e raast dikhane wali aur haq o baatil ka fark khol kar rakh dene wali hai.

Surah Baqarah, ayat- 185.

۩ Alif-laam-raa! Yeh aali shaan kitab ham ne aap ki taraf utari hai kay aap logon ko andheron se ujale ki taraf laayen in kay perwerdigar kay hukm se zabardast aur tareefo walay Allah ki taraf.

Surah Ibraheem (14), ayat- 1.

۩ Malik ibn Anas r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

“Maine tumhare darmiyaan do (2) chize chhodi hai jo tumhe kabhi gumrah nahi karegi jab tak tum in do chizo ko pakde rahoge: Allah ki kitab aur Nabi ki sunnat.”

Muwaṭṭa Imam Malik, hadith-  1661. Ise Ibn Abdul Barr ne sahih karaar diya hai.

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'(Jab Eesa a.s. dunya me wapis aayenge to woh) Tumhare Rab ki kitab aur tumhare Nabi ﷺ ki sunnat ke sath tumhari qiyadat ya imamat karenge.

Sahih Muslim, hadees- 394.

Ek Eeman waale ke liye ye daleel kaafi honi chahiye ye samajhne ke liye ki Quran aur sunnat hamare hidayat ke liye kaafi hai.

Lekin Deen par behtar tarike se amal karne ke liye aur usko aur behtar tarike se samajhne ke liye hame Sahaba e karaam, Tabayeen, Tabe-Tabayeen, Muhaddiseen, Ulema e deen ki zarurat padti hai, toh isme koi harj nahi ki ham apne ahle ilm ke keemti Ilm ke khazane ko padhe, samjhe aur us par amal kare, lekin Hidayat ke talluq se Allah ki kitab aur Rasool ﷺ ki sunnat kaafi hai. Aur hame in do chiz ke muqable me kisi aur chiz ko laane ki ijazat nahi hai.

Allah taala farmate hai,

۩ Aur (dekho) kisi momin mard ya kisi momin aurat ko ye haq nahi hai ki jab Allah aur uska Rasool kisi muamle ka faisla kar de to fir use apne us muamle me khud faisla karne ka ikhteyar hasil rahe. (yaad rakho) Allah taala aur us ke Rasool ki jo bhi nafarmani kare ga woh saaf gumraahi me padega.

Surah al ahzaab, ayat- 36.

Allah se dua hai ki wo hame sirat e mustakeem ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Related: Taqleed ka naya naam