اقرأ باسم ربك الذي خلق

About Us


Alhamdulilah wassalatu wassalaam ala Rasoolullah..

This is the place to help you explore a vast treasure of textual articles and other resources on Islam, Quran, Hadith and associated subjects in roman Urdu. Easy navigation through category options will help you enrich on different topics and the topic in which you are confused. You can also install our android application from which you can carry this site on ur device and share easily through whats app and many more social networks.

•٠•●●•٠•

۝ Hamara Aqidah:

۩ Hamara aqidah wahi hai jo aqidah Rasoolullah, Sahaba e karaam r.a. aur Salaf as saaleh ka tha.

Allah pak farmate hai,

Rasool ﷺ eemaan laaye us cheez par jo un ki taraf Allah ta’ala ki jaanib se utri aur momin bhi eemaan laaye, ye sab, Allah ta’ala aur us ke farishto par aur us ki kitaabo par aur us ke Rasoolo par eemaan laaye, us ke Rasoolo me se kisi me hum farq nahi karte, aur wo kahte hai ke hum ne suna aur ita’ath ki, hum teri baqshish talab karte hai, Aye hamare Rab! Aur hamein teri hee taraf lautna hai.

Quran, Surah Baqarah, ayat-285.

۝ Eeman Kya Hai?

۩ "Eeman ye hai ke tum Allah par, aur uske farishto par aur roz e hashar Allah ke huzur pesh hone par aur Allah ke Rasoolon par eeman lao aur qayamat ka yaqeen karo.”

Sahih al Bukhari, hadees, 50.

۝ Islam Kya Hai?

۩ "Islam ye hai ke tum mahez Allah ki ibadat karo aur uske saath kisi ko shareek na karo. Namaz thik taur pe ada karo aur farz zakat ada karo aur ramzan ke roze rakho.”

Sahih al Bukhari, hadees 50.

۝ Ehsaan Kya Hai?

۩ "Ehsaan ye hai ke tum Allah ki ibadat is tarha karo goya tum use dekh rahe ho, agar tum use nahi dekh rahe ho to wo to tumhe dekh raha hay.”

Sahih al Bukhari, hadees- 50.

۝ Qayamat Kab Ayegi?

۩ Mujhe Ilm nahi.

Sahih al Bukhari, hadees 50.

•٠•●●•٠•

۝ Ham Kis Firqe Se Talluq Rakhte Hai?

۩ Ham firqa-parasti me yakeen nahi rakhte hai kyuki qur'an iske sakht khilaf hai isi liye ham khud ko sirf muslim hi kahna pasand karte hai, jaise Rasoolullah ﷺ , sahaba e karaam, aur Salaf as saaleh the.

Daleel: be-shak jin logon ney apney deen ko baanta aur firqa-firqa bann gaye, aap ﷺ ka unn say koi talluq nahi bus un ka moamla Allah taalaa kay hawalay hai. Phir inn ko inn ka kiya hua jatla denge.

Surah Anaam (6), ayat 159.

•٠•●●•٠•

۝ Hamare Tahkeek Ka Source Kya Hai?

۩ Sabse pahle Qur'an, fir Sahih Hadith aur fir Ummat e Muslim ka ijma.

Daleel : Rasoolullah ﷺ ne farmaya "Sabse behtareen kalam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad ﷺ ke tareeqa hai. Sabse badtareen kaam deen me nayee nayee baton ka paida karna hai …”

Sahih al Bukhari: volume 9, book 92, number 382.

•٠•●●•٠•

۝ Ham Kin Logo Se Deen Sikhte Hai?

۩ Hamare ilm ke mutabik har us shaks se deen sikhi ja sakti hai jo quran aur sahih hadith ke mutabik deen ki baate batata hai. To wo koi ek shaks nahi hai, boht se ahle ilm hai jinse ham deen sikhte hai.

•٠•●●•٠•

۝ Kya Ham Takleed (Blind-following) Me Yakeen Rakhte Hai?

Mere ilm ke mutabik takleed sirf Allah aur uske Rasool ki karni chaiye. Baaki koi bhi insan kisi bhi martabe par ho, ham uski baat tab tak hi manenge jab tak wo Allah aur uske Rasool ﷺ ke mutabik baat bayan kar raha ho.

Daleel : aye eeman walo! Allah ki itaat karo aur Rasool ki itaat karo aur unlogo ki itaat karo jo tum me ikhtiyar wale (ulema, imam wagaira) hai. Aur (tumhare bich) agar kisi cheez me ikhtilaf ho jaye to use lautao Allah ki taraf aur Rasool ki taraf agar tumhe Allah par aur qayamat ke din par eeman hai. Yeh boht behtar hai aur anjaam ke aetbaar se boht acha hai.

Surah Nisa, ayat-59.

•٠•●●•٠•

۝ Kya Ham Salaf Ke Fahm Se Deen Ko Samajhte Hai?

۩ Ji ha bilkul lekin bas wahi tak jab tak kisi bhi Salaf ka fahm quran aur sahih hadith se takra na raha ho. Kyuki hamara aqidah hai ki Ambiya e karaam ke alawa koi masum nahi hota aur Rasoolullah ﷺ ke alawa (Deen me) kisi se bhi galti ho sakti hai.

Daleel:

Aur (dekho) kisi momin mard ya kisi momin aurat ko ye haq nahi hai ki jab Allah aur uska Rasool kisi muamle ka faisla kar de to fir use apne us muamle me khud faisla karne ka ikhteyar hasil rahe. (yaad rakho) Allah taala aur us ke Rasool ki jo bhi nafarmani kare ga woh saaf gumraahi me padega.

Quran, surah al Ahzab, ayat-36.

•٠•●●•٠•

۝ Ham Ulema Ki Baat Ko Kis Had Tak Tasleem Karte Hai?

۩ Ham har Ulema ki baat ko tasleem karte hai agar wo hamare usoolo par (jo upar bayan ki gai hai) par khara utarta hai. Lekin jab mere zahen me kisi masle ko lekar doubt ata hai tab mai sawal karta hu. Mai sawal karta hu aur agar uska mujhe thik jawab na mile to ye kah kar nahi uth jata hu ki mujhe manna hi hai. Nahi !! Fir mai usko udhed dalta hu. Aur har lehaj se janne ki koshish karta hu, har pathhar ko ulat kar janne ki koshih karta hu ki sahih baat kya hai?

Mai ye nahi kahta ki har dafa mai gauhar e nayab hi dhund kar le ata hu, nahi, galtiya bhi hoti hai, lekin meri koshish yahi hoti hai ki mai us roshni ko hasil karu jo roshni Allah ne hame di hai, Allah ke Rasool ne hame di hai. Aur mai samajhta hu ki yahi tarika ek sachhe talib e ilm ka hona chahiye.

•٠•●●•٠•

While Reading My Articles Please check that:

۩ I am free from every that saying or action which is said by me, which goes against the Qur'an, authentic Hadeeth and Ijmaa. Wallahu ghafoor ur-raheem.

۩ I resile from whatever mistake is done by me in the Tahqeeq of any of My Articles. May Allah shower his mercy upon the one who points out to me my mistakes.

Feedback: editor@iqrakitab.com (we love to hear from our readers!)

Please do make Dua for all the people involved in bringing this website and its contents to you. Happy Exploring !