اقرأ باسم ربك الذي خلق

24 Dec 2017

Tawheed Aur Shirk

TAWHEED

Tawheed ka matlab hai “Ek” janna aur “Ek” kahna. Tawheed Se Muraad Allaah Ko Uski Zaat,Sifaat,Uski Ebaadat Aur Uske Huqooq Me Munfarid, Yekta AurBemisaal Maan’na.
Quran’Hadees Ki Roushni Me Tawheed Ki 3 Kisme Hai:

1.Tawheed’e’Ruboo’Biat
2.Tawheed Asma’Wa’Sifaat
3.Tawheed Ulu’hiat Ya Tawheed Al’Ebaada.

Tawheed’e’Ruboo’Biat Se Muraad Allaah ko Kae’naat Ki Har Cheez Ka Khaliq,Malik,Raziq Aur Tamaam Umoor ki TadBeer KarneWalaMaan’na.”
(Ay Nabi)Aap(In Mushrikeen se)Poocho Ke Tumko Aasman Aur Zameen Me Rizq Koun PahunchaTa Hai, Ya Tumhare Kaano Aur Aankho Ka Maalik Koun Hai Aur Jaandar ko Bejaan Se Aur Bejaan Ko Jaandar Se Koun Nikalta hai,Aur Tamaam Kaamo Ka Intezaam Koun Karta Hai,Wo fauran Kahenge Ke (Ye Sub Kaam Karne Wala)Allaah Hai.To UnSe Poocho Ke Phir Tum(Allaah Se)Darte Kyon Nahi.(Quran 10:31). Isse pata chala Mushrikeen e Makka Tawheed’e’Ruboo’Biat Ko mante the The.

Tawheed Ulu’hiat Se Muraad Ye Hai Ke Allaah He Haqeeqi Aur Akela Mabud Hai.Yahi Wo Tawheed Hai Jisko Mushrikeen Makka Samet har Daur ke Mushrik Maan’ne Se Inkaar Karte Rahe. Namaz,Roza,Haj,Qurbani,Dua,Naz ar Wa Niaz…Sirf Allaah Ke liye Ho.”
Aur (Ay Logo) Tumhara Mabud To Bus Ek He Hai,Uske Alawa Koyi Ebaadat Ke Layaq Nahi,Wo Bahut Raham Karnewala Aur Meharbaan Hai”.(Quran 2:163)

Tawheed Asma’Sifaat Se Murad Ye Hai Ke Allaah Ke UnSab Asma Aur Sifaat Ka Iqraar Kiya Jaye Jin Se Allaah Ne Quran Me Apne Aap Ko Mousuf Kiya Ya Nabi s.a.w. Ne Ahadees Me Unka Zikar Kiya. Aur Allah ke Asma aur sifat me kisi ko shareek na kiya jaye.
Jaise Allaah Ne Kaha: “Aye Iblees Tujhe Usay Sajda Karne Se Kis Cheez Ne Roka Jise My Ne Apne 
Haatho Se Paida Kiya”.(Quran 38:75)

“Rehmaan Arsh Par Qayim Hai”.(Q 20:5)”

Allaah Ne Musa a.s. Se Kalam Kiya”(Q4:164)”

Allaah Aasmaani Duniya Par Nuzool Farmata Hai”.(Muslim:758)”

Us(Allaah)Jaisi Koyi Cheez Nahi”.(Quran 26:11)

Allaah Ke Asma Wa Sifaat Ko Haqeeqat Par Mahmoul Karte Huye Kisi Qisam Ki Taweel, Kaifiat, Tateel aur Tamseel Ke Bagair Emaan Lana Tawheed Asma Wa Sifaat Hai.

Dawat e Islami Ka Sahi Tarikekaar Ye Hai Ke Dawat Ka Aaghaas Tawheed Ke Prachar Se Kiya Jaye. Logo par Tawheed Aur Shirk Ke Fark Ko Wazeh Kiya Jaye.

“Pahli Cheez Jis Ki Taraf Logo Ko Dawat Di Jaye Wo Kalme Shahadat Hona Chahiye.” Yani Ye Ke Log Allaah Hi Ko Ilaah Waahid Maane.

[Bukhari:1395, Muslim:19]

SHIRK

Shirk Ka Logvi Mani hota hain SHARIK karna , aur Sharai Aetbar se Shareek ka matlab hota hai, ke Allah Tala ki “ ZAAT” Ya Phir “SIFAT” may kisi ko Sharik karna.

“Subse Bada Gunah Ye Hai Ke Tu Allaah Ke Saat Kisi Ko Shareek Kare Halan Ke Usne Tujhe Paida Kiya.”

Bukhari 4477, Sahih Muslim 86.

Allah Ke Saat Shirk Na Karna. Beshak Shirk Bada Bhari Zulm Hai.Quran 31:13.

Shirk Se Bache.Tawheed Parast Bane.

Shirk Karne Ka Nuksaan yeh Hai ki:

“Jisne Allaah Ke Sath Kisi Ko Shareek Tehraya,Allaah Ne Uspar Jannat Haram Kardiya.Uska Thikhana Jahannum Hai Aur Zalimo Ka Koyi Madadgar Na Hoga.”

[Quran 5:72]

“Jo Koyi Is Haalme Mare Ke Wo Allaah Ke Siwa Kisi Aurko Pukaarta Hoto Wo Jahannum May Dakhil Hoga.”

[Bukhari 4497, Muslim 92].

Shirk Karne wale Ko Uske Nek Aamal Faida nahi Denge. Nek Aamal(jaise Sadqa,Khairat,Namaz,Roza,…) Aqeede Shirk Ki Moujoodgi Me Bekar Ho Jate Hai Aur Allaah Ke Yaha Qabil Qabool Nahi Rehte. Chunache Allaah Ne 18 Jaleelul Qadar Anbiya Ka Naam Lene keBaad Farmaya:

“Aur Agar Unlogo Ne Shirk Kiya Hota To Unke Bhi Sub Aamal Zaya Ho Jate”.

[Quran 6:88].

La’ilaaha’illallaah Muhammadur Rasool Allaah Padh Ne Wala bhi Mushrik Ho Sakta Hai
RasoolAllah s.a.w. ne farmaya: “Tum Yaqeenun Apne Se Pehli Ummato Ki Pairwi Karoge, Aur Pehli Ummato Se Aapki Muraad Yahood Wa Nasara Hai”.

[Bukhari.3456,Muslim.2669]

“Kya Tu Ne Unhe Nahi Dekha Jinhe Kitab Ka Kuch Hissa Mila Hai Ke Wo But Aur Tagoot Par Emaan Laate Hai”.

[Quran 4:51]

RasoolAllah Sallellahualaihiwasallam Ne Kaha: “Qiyamat Us Waqat tak Khayam Na Hogi Jab Tak Meri Ummat Ki Ek Jamaat Mushriko Se Na Jaa Milay Aur Meri Ummat Ke Bahut Se Log But Parasti Na Kare”.

[Tirmizi 2219]

Jab Kisi Qabar ki ibadat Ho toh Usko But-Parasti Kaha Jayega. Ap Sallellahu Alaihi Wasallam Ne Kaha:

“Ay Allaah Meri Qabar Ko But Na Banana Jiski ibadat Ki Jaye. Allaah Ka Us Kaum Par Saqt Gazab Nazil Hota Hai Jo Apne Nabiyo Ki Qabaro Ko Ebaadat Gaah Bana Letay Hai”

[Muwatta Imaam Malik 9:88]

Aisha r.a. Farmati Hai ke SallellahuAlaihi Wasallam Ne Aakhri Waqat Me Farmaya:
“Yahood Wa Nasara ParAllaah Ki Laanat Ho, Unhone Apne Ambiya Ki Qabaro Ko Sajda Gaah Bana Liya”.Agar Is Baat Ka Khouf Na Hota Ke Sallellahu Alaihi Wasallam Ki Qabar Ko Bhi Sajda Gaah Banalia Jayega To Aap Ko Band Hijray Me Dafan Na kiya Jata Aur Aap Ki Bhi Qabar Khuli Hoti.

[Bukhari.1390, Muslim.529]

Mashuray Me Shirk Failne Ki Ek Aham Waja Ye Hai Ke Shaitan Awliya Allaah Se Muhabbat Ko Aad Banakar Guloo Karwata Hai. Kaum Noah Ko Dekhia “Wadd,Suwa,Ghutaif,Yauq,Nasr Noah Ki Khoum Ke Swaleheen The Jin Ki Logo Ne baadme Parashtish Shuru Kardi”.

[Bukhari 6:442]

“Aur Unhone Kaha Ke Tum Apne Mabudo Ko Hargis Na Cho’dna Aur Wadd,Suwa,Ghutaif,Yauq,Nasr KoKabhi Na Cho’dna”.

[Quran 71:23]

Mushrikeen Macca Bhi Allaah Ko Ilaah Mante The Magar Allaah Ke Alawa Aur Bahut Se Ilaah Banaye Huye The Aur Allaah Ko Subse Bada Ilaah mante The. Isliye Nabi Ki Dawat Par Mushrik Kahne Lage:
“kya Usne Itne Sare Mabudo Ki Jagah Bas Ek He Mabud Banaliya,Ye To Badi Ajeeb Bath Hai”.

[Quran 38:5]

(Unse)Kahiye, Apna Haal To Batao Agar Tum Par Allaah Ka Koi Azaab Aajaye Ya Qayamat Aa Pahunche To Kya Tum Allaah Ke Siwa Kisi Aur Ko Pukaroge. Agar Tum Sache Ho[To Batao] Balke tum Usi[Allaah] Ko Pukaroge, Fir Jis Dukh Ke lia Tum Pukaroge Agar Wo Chahe To Usko Door Kardega Aur Jin Ko Tum Shareek Banate Ho Us Waqat Un Subko Bhool Jaoge.

[Quran Al’Anaam:40,41]

Mushrikeen Makka Gairullaah Ki Ebadat Kyon Kiya Karte?? Allah iska jawab deta hai:

“Hum Unki Ebaadat Sirf Isliye Karte Hai Ke Wo Allaah Ki Nazdeeki Ke Martabe Tak Humari rasayi Karade”.

[Quran Sura Zumar:3]

Yani Mushrikeen Makka Gairullaah ko Apna Sifarishi Aur Allaah Ke Qareeb Ka Zariya Samajhte The.
“Wo Kahte Hai Ke Ye Allaah Ke Paas Humare Sifarishi Hai”.

[Quran Sura Yunus:18].

Aap ﷺ Ne Kaha,”Ye Aise Log Hai Jab Inme se Koi Nek Banda Marjata To Uski Qabar Par Sajda Gaah Banadete Hai Aur Tasveere Bana Dete Hai. Ye Allah Ke Nazdeek Badtareen Maqlooq Hai”.

[Bukhari.427,Muslim.528]

Kya Aaj Neak Logo Ki Qabaro Ko Aisa He Nahi Karte? Isiliye Quran May Allaah Farmata Hai,

“Beshak Tum Allah Ke Siwa Jin Ko Pukaarte Ho Wo Tum Jaise Bande He Hai”.

[Quran Surah Al’Aaraf.194]

Jin Awlia Allah Ko Mushrikeen Pukarte The Unke Bareme Bataya:

“Murde Hai, Zinda Nahi.Unko Ye Bhi Maloom Nahi Ke ye Kab Uthaye Jayenge”.[Quran 16:21]
“Aur Jab [Qiyamat Ke Din]Log Jama Kiye Jayenge Wo Unke Dushman Ho Jayenge Aur Unki Ebaadat Ka Inkar kar Denge.

[Quran 46:6]

Allah Ki Zaat Me Shirk Ka Mafhoom ye Hai ki “Na Ussay Koyi Paida Huwa Naahi Wo Kisi se Paida Huwa”

(Quran 112:3)

“Yaqeenan Wo Kafir Hai Jo Kehte Hai Ke Isa Ibn Mariyam He Allaah Hai”.(Quran 5:72)”
Aur Unhone Uskay Baaz Bando Ko Uska Juzz Tehraa Diya.Beshak(Aisa) Insan Khullam Khula Na ShukraHai”.

(Quran 43:15)

Ap ﷺ Ko Allaah Ke Noor Mese Noor Kehna Allaah Ka Juzz Banane Ke Barabar Hai-Shirk Hai.

•٠•●●•٠•