اقرأ باسم ربك الذي خلق

5 Jan 2018

Bimari, Bimari Ki Duae Aur Bimar Ki Iyaadat



۞ Beemar Pursi:

۩ Rasool Allah ﷺ ne farmaya ke: ‘Musalman ke musalman par 5 huqooq hain:

• (Jab mile to ise salaam kahe ya iske) salaam ka jawaab de
• Jab beemar ho to iski iyaadat kare
• Jab mar jaae to iska janaaza padhe
• Jab da’awat de to ise qubool kare
• Agar wo cheenk par Alhadulillahi kahe to jawaab mein Yar hakumullah kahe.’

Sahih al Bukhari: al Janaaez, Hadith-1240 – Sahih Muslim: as Salaam, Hadith-2162.

۩ Sayyadna Ali r.a.riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo musalman doosre musalman ki din ke awwal hisse mein (dopaher se pahle) iyaadat karta hai to 70,000 farishte iske liye shaam tak rahmat o maghfirat ki dua karte hain aur jo musalman din ke aakhri hisse mein (do pahar ke baad) iyaadat karta hai to 70,000 farishte is ke liye subah tak rahmat aur maghfirat ki dua karte hain nez iske liey bahisht mein bagh hai.’

Sunan Tirmizi: al Janaaez, Hadith-969 – Sunan Abu Dawood: al Janaaez, Hadith 3099. Ise Imam Ibn e Hibban (710) Imam Haakim (V1 P341,342) aur Haafiz Zahbi ne Saheeh kaha.

۩ Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya hai: ‘Musalman jab apne musalman bhai ki teemardaari ke liye jaata hai to wo waapas lautne tak jannat ke mewe chunta hai.’

Sahih Muslim: al Birri wal Silah, Hadith 2568.

۞ Beemari Se Gunah Door Hote Hain:

۩ Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Allah Ta’ala jis shaqs ke sath bhalaai ka iraada karta hai ise takleef mein mubtelaa kardeta hai.’

Sahih al Bukhari, Hadith 5645.

۩ Aap ﷺ ne farmaya: ‘Musalman ko ranj, dukh, fikr aur gham paho’nchta hai, yaha’n tak ke agar ise kaanta (bhi) lagta hai to wo takleef is ke gunaho’n ka kaffara ban jaati hai.’

Sahih al Bukhari: Hadith-5640 – Sahih Muslim, al Birr wal Silah, Hadith- 2572.

۩ Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jab kisi musalman ko koi takleef paho’nchti hai to Allah Ta’ala is ki wajah se is ke gunaho’n ko is tarha mitaata hai jis tarha darakht ke patte jhadte hai.’

Sahih al Bukhari, Hadith-5647 – Sahih Muslim, Hadith- 2571.

۩ Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya: ‘Bukhaar (ho jaae to is) ko buraa na kaho kyou’nke bukhar aadmi ke gunah is tarha door karta hai jis tarha bhatti lohe ke mail ko door karti hai.’

Sahih Muslim, Hadith-2575.

۩ Nabi e Rahmat ﷺ ka irshad hai: ‘Allah Ta’ala musaafir aur mareez ko in amaal ke baraabar ajar deta hai jo wo ghar mein aur tandrusti ki haalat mein kiya karta tha.’

Sahih al Bukhari, al Jihaad wal Seer, Hadith-2996.

۞ Beemari Mein Sabr Ki Fazeelat:

۩ Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya ke Allah Ta’ala farmata hai: ‘Jab main kisi bande ko iski 2 mehboob cheezo’n (ankho’n) mein azmaata hu’n (ise beenai se mehroom karta hu’n) fir agar wo sabr kare to iske badle mein ise jannat du’nga.’

Sahih al Bukhari, Hadith-5653.

۩ A’ataa riwayat karte hain ke mujhe Ibne Abbas r.a. ne kaha kya main tujhe jannati aurat dikhlaou’n? Main ne kaha dikhlao to Ibne Abbas ne farmaya ke Rasool Allah ﷺ ke paas ye kaali aurat aai aur arz ki ke mujhe mirgee ka daura padta hai aur mera satar (T: Private Parts) khul jaata hai, Aap mere liye Allah se dua karie’n. Aap ﷺ ne farmaya: ‘Agar tu sabar karegi to tere liye jannat hai aur agar chaahe to dua kiye deta hu’n. Wo kahne lagi: ‘Main sabar karu’ngi, fir kaha: Mera satar khul jaata hai Allah se dua karie’n ke wo na khule. (Taake main be parda na hou’n).’ Chunaache Aap ne is ke liey dua farmaai.’

Sahih al Bukhari, Hadith-5656.

۞ Iyaadat Ki Duaei’n:

Jab mareez ki iyaadat ke liye jaei’n to Rasool Allah ﷺ ki zabaan e mubarak se nikli hui mundarja zel duaei’n is ke haq mein karei’n:

۩ Pahli Dua:

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jo shaqs apne musalman bhai ki teemardaari ke liye jaata hai aur iske sar ke paas baith kar saat martaba ye kalimaat padhta hai to shifayaab ho jaata hai Illa ye ke iski maut ka waqt hi aachuka ho.’

"Asalullahal A’azeema Rabbal A’arshil A’azeem Aie’n Yashfiyaka"

[Main Azeem o Bartar Allah, Arsh Azeem Ke Rab Se Sawaal Karta Hu’n Ke Tujhe Shifaa Se Nawaaze]

Sunan Abu Dawood: al Janaaez, Hadith-3106. Ise Imam Ibne Hibban, Imam Haakim V1 P346 V4 P416) aur Imam Nawawi ne Saheeh kaha.

۩ Dusri (2) Dua:

Rasool Allah 1 Araabi ki iyaadat ke liye tashreef le gae aur is se ye kalimaat kahe:

"Laa Baasa Tuhoorun In Shaa Allahu"

[Darr Nahi (gham na kar) Agar Allah Ne Chaaha To (yehi beemari tujhe gunaaho’n se) Paak Karne Waali Hai.]

Sahih al Bukhari:, Hadith-5656.

۩ Teesri (3) Dua:

Aisha Siddiqa r.a. farmati hain ke Nabi e Rahmat ﷺ mareez (ke jism) par apna daaya’n hath ferte aur ye dua padhte the:

أَذْهِبِ الْبَأْسَ رَبَّ النَّاسِ وَاشْفِ أَنْتَ الشَّافِي لَا شِفَاءَ إِلَّا شِفَاؤُكَ شِفَاءٌ لَا يُغَادِرُ سَقَمَاً

‘Azhibil Basa Rabbannasi Washfi Antash Saafi Laa Shifaa‐a Illa Shifaa oka Shifaa‐ann Laa Yugaadiru Saqamann’

[Aey Insano’n Ke Rabb! Beemari Ko Door Kar Aur Shifaa de. Tu Hi Shifaa Dene Waala Hai. Teri Shifaa Ke Siwaa Koi Shifaa Nahi Aisee Shifaa (de) Jo Kisi Beemari Ko Nahi Chodti.’]

Sahih al Bukhari: al Tibb, Hadith-5750 ; Sahih Muslim: al Salaam, Hadith-2191.

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jab kisi musalman ko takleef (museebat ya nuqsaan) paho’nchey to wo ye kahe:

"Inna Lillahi wa Inna Ilaihi Rajioon, Allahumma Ajurnee Fee Musibati waqhliflee Khairam Minha"

[Ham Sab Allah Ke Liye Hain Aur Isi Ki Taraf Laut Kar Jaane Waale Hain. Aey Allah Mujhe Meri Museebat Mein Ajar Aur Nemul Badal (dono’n) Ataa Farma’],

To Allah Ta’ala Is ke badle mein is se acchi cheez inaayat farma deta hai.’

Sahih Muslim: al Janaaez, Hadith-918.

۩ Cho’nti (4) Dua Ma’auzaat Ka Dam:

Ummul Momineen Aisha r.a. riwayat karti hain ke Nabi e Rahmat ﷺ beemar hote to apne aap par ma’auzaat se [Quran ki aaqhir 2 suratie’n(Surah falaq aur Surah Naas)] dam karte aur apne jism par apna hath ferte. Jab Aap bahot beemar hue to main ma’auzaat padh kar Rasool Allah par beemari ki haalat mein phu’nkti aur Aap hi ka hath Aap par pherti kyou’nke Aap ke hath mubaarak mein mere hath se ziyada barkat thee.

Sahih al Bukhari: Fazaael al Quran, Hadith 5016 – Sahih Muslim: al Salaam, Hadith 2192.

۩ Paa’nchweei’n (5) Dua:

Usmaan bin Abil A’aas se riwayat hai ke inho’n ne Nabi e Akram ﷺ se jism ke dard ki shikaayat ki. Aap ﷺ ne farmaya: Apna hath dard ki jagah par rakho phir 3 baar Bismillah kaho aur 7 dafa ye kalimat padho:

"A’auzu Billahi wa Qudratihi Min Sharri Maa Ajidu wa Ohaaziru"

[Main Allah Aur Iski Qudrat Ke Sath Panaah Maangta Hu’n Is Cheez Ki Buraai Se Jo Main Paata (Mehsoos Karta) Hu’n aur Is Se Darta Hu’n.]

(Usman farmate hain ke) Main ne ise tarha kiya to Allah Ta’ala ne meri takleef door kardi.

Sahih Muslim: al Salam, Hadith-2202.

۩ Chati (6) Dua:

Rasool Allah ﷺ Hasan aur Husain ko in alfaaz ke sath dam kiya karte the:

‘A’auzu Bikalimaatillahit Taamati Min Kulli Shaitaaniyou’n wa Haamatin wa Min Kulli A’ayouninllammatin.

[Main Tum Dono’n Ko Allah Ke Poore Kalimaat Ke Sath (iski) Panaah Mein Deta Hu’n Har Shaitan Aur Har Zehreele Jaanwar Aur Har Nazar e Bad Ki Buraai Se]

Fir farmaya: Tumhaare baat Ibraheem (A‐) (bhi) in kalimaat ke sath Ismaeel aur Ishaaq (Aa‐) ke liey (Allah ki) panaah talab kiya karte the (inhei’n dam karte the).’

Sahih al Bukhari: Kitaab Ahaadisul Ambiya Hadith-3371.

۩ Saatwie’n (7) Dua:

Abu Saeed Khudree r.a. se riwayat hai ke Jibraeel (a.s.) ne kaha: Aey Muhammad ﷺ ! kya Aap beemaar hain?

Aap ne farmaya: Haa’n to Jibraeel (a.s.) ne (ye) padh kar (Aap par dam kiya):

Bismillahi Arqeeka Min Kulli Shai‐in Yuzeeka Min Sharri Kullin Nafsin Au A’ayounin Haasidin Allahu Yashfeeka Bismillahi Arqeeka.

[Allah Ta’ala Ka Naam Lekar Main Aap Par Dam Karta Hu’n Har Is Cheez Se Jo Aap Ko Takleef De, Har Nafs Aur Har Hasad Karne Waali Aa’nkh Ke Shar Se, Allah Ta’ala Aap Ko Shifaade. Main Allah Ka Naam Lekar Aap Par Dam Karta Hu’n.]

Sahih Muslim: al Salaam, Hadith-2186.

•٠•●●•٠•