اقرأ باسم ربك الذي خلق

30 Dec 2017

Witr Padhne Ka Nabawi Tarika

hindi  
Contents:

1. ۩ WITR KA WAQT

2. ۩ WITR KYA SHURU KE WAQT ME PADHA JAYE YA AKHIR KE WAQT ME

3. ۩  WITR KI NIYAT

4. ۩ WITR KI RAKAT

5. ۩ TEEN RAKAT WITR PADHNE KA TAREEKA

6. ۩ PAANCH (5) YA SAAT RAKAT WITR

7.  ۩  NAU (9) RAKAT WITR

8.  ۩  GYARA (11) RAKAT WITR

9.  ۩ WITR KO MAGRIB KI TARHA NA BANANA

10.۩  DUA E QUNUT

11. ۩ KYA WITR KI DUSRI DUA “Allahumma nasta inuka” PADH SAKTE HAI?

12.۩  DUA E QUNOOT RUKU SE PAHLE YA RUKU KE BAAD ME?

13.۩  RUKU KE BAAD WALI RIWAYAATE

14.۩  KYA DUA E QUNUT ME HATH UTHAYA JAYE?

15.۩ WITR KE BAAD KI DUA

16.۩ WITR KI QAZA


Witr ki namaz ek baehtreen ibadat hai jisse Allah ka qurb hasil hota hai. Ulemao maise kuch (Hanafi) ne ye kaha ki ye namaz fard hai lekin Sahih ahkaam yahi hai ki Ye Sunnat e mu’akkadah hai.

1. ۩ WITR KA WAQT:

Shaykh Muhammad Salih Al Munajjid farmate hai  Witr ki namaz ka shuru ka waqt tab hota hai jab ek shaks Isha padh chuka hota hai agarche isha  ko magrib ke sath hi kyu na padha gaya ho magrib ke waqt. Aur is namaz ka khatm hone ka waqt fajr se pahle hai. RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Allah ne tumpar ek namaz Mukarrar ki hai jo Witr hai; Allah ne tumpar ye namaz Isha ki namaz aur Fajr ki shuruat ke bich mukarrar ki hai."

Narrated by al-Tirmidhi, 425; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Tirmidhi

2.  ۩ WITR KYA SHURU KE WAQT ME PADHA JAYE YA AKHIR KE WAQT ME:

Nabi ﷺ ne farmaya, "Jo shaks aakhir raat me na uth sake toh wo shuru raat me witr padh le aur jo aakhir raat me uth sake wo aakhir raat witr padhe kyuki aakhri raat ki namaz behtreen hai.”

Sahih Muslim, hadith-755 .

3.  ۩  WITR KI NIYAT:

Rasool ﷺ ne farmaya “Tamaam Amal ka daromadar niyat pe hai”.

Sahih al Bukhari, hadith-1.

Wazahat: Kisi bhi Namaz ke liye niyat karna zaruri hai lekin Namaz ki Niyat dil se na ke Zuban se ki jati hai.

4.  ۩ WITR KI RAKAT:

Rasool ﷺ ne farmaya,"Witr har musalman ka haq hai. To jo shaks paanch rakat witr padhna chahe to wo (paanch) rakat padhe aur jo teen rakat witr padhna chahe to (teen rakat) padhe aur jo koi ek rakat witr padhna chahe to (ek rakat witr) padhe."

Sunan Abu Daud, hadith-1422, Sahih (Al-Albani).

NOTE: Rasool ﷺ ne farmaya, "Witr, Aakhir raat me ek rakat hai”. Sahih Muslim, hadith-752 .

5.  ۩ TEEN RAKAT WITR PADHNE KA TAREEKA

Teen rakat witr padhne ke do (2) tarike hai:

Pahla Tarika:

Ek ye hai ki Teen rakat ke witr me kisi rakat me na baithe siwae aakhri rakat me. Iska matlab dusre rakat me tashahudd ke liye bina baithe hi uth jana hai ya aesa kah sakte hai ki dusri rakat ke sajde ke baad hi uth jana hai.

Dusra Tarika 

Dusra tarika ye hai ki 2 rakat padh kar salaam fere hai aur fir ek rakat alag se padhna ha.

Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki wo do rakat ko ek rakat se Tasleem (Salaam) ke sath alag kiya karte the, aur wo farmate hai ki aesa RasoolAllah kiya karte the.

Narrated by Ibn Hibbaan (2435); Ibn Hajar said in al-Fath (2/482): its isnaad is qawiy (strong). 

Dono tarika jayz hai halaanke behtar dusra tarika hai. Details ke liye ye article padhe

6.  ۩ PAANCH YA SAAT RAKAT WITR

Lekin agar koi panch ya saat rakat witr padhe to wo musalsal honi chaiye aur sirf akhri rakat me Tashahudd padhe aur fir Tasleem (salaam) kahe. Kyuki:

Hazrat Ayesha r.a. riwayat karti hai ki RasoolAllah ﷺ raat ko terah (13) rakat padha karte the jisme wo paanch rakat witr padhte the jisme wo akhri rakat ke alawa kisi rakat me na baithte the. 

Narrated by Muslim, 737. 

Umm Salamah r.a. riwayat karti hai ki RasoolAllah ﷺ panch ya sath rakat witr padhte the aur wo  uske bich koi salam ya alfaz se alag nahi karte the.

Narrated by Ahmad, 6/290; al-Nasaa’i, 1714. al-Nawawi said: Its isnaad is jayyid. Al-Fath al-Rabbaani, 2/297. and it was classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Nasaa’i

7.  ۩  NAU (9) RAKAT WITR

Agar wo nau (9) rakat witr padhna chahe to kisi bhi rakat me na baith siwae aathwe rakat me. Aantwe rakat me baith kar sirf tashahud kahe aur salaam na kahe aur fir wo khada ho jaye. Fir 9 rakat me tashahud aur salaam dono padh kar namaz khatm kare.

8. ۩  GYARA RAKAT WITR

Agar wo 11 rakat witr padhna chahe to har 2 rakat me salaam fere aur fir akhir me 1 rakat padhe.

9. ۩ WITR KO MAGRIB KI TARHA NA BANANA

 RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki Witr ko teen rakat magrib ke tarha na banao.

Narrated by al-Haakim, 1/403; al-Bayhaqi, 3/31; al-Daaraqutni, p. 172. Al-Haafiz ibn Hajar said in Fath al-Baari (4/301): Its isnaad fulfils the conditions of the two Shaykhs (al-Bukhaari and Muslim). 

Aur is hadith ka jawab dusri hadith deti hai ki witr ko kaise magrib ke tarha na banaya jaye.

Hazrat Ayesha r.a. farmati hai ki RasoolAllah ﷺ teen rakat witr padhte the aur wo aakhri rakat ke alawa kisi rakat me nahi baithte the.

Narrated by al-Nasaa’i, 3/234; al-Bayhaqi, 3/31. al-Nawawi said in al-Majmoo’ (4/7): it was narrated by al-Nasaa’i with a hasan isnaad, and by al-Bayhaqi with a saheeh isnaad. 

Is hadith se pata chala ki Witr ko kaise magrib ke tarha na banaya jaye jisse RasoolAllah ﷺ ne mana farmaya hai.

10.  ۩  Dua e Qunut

اللَّهُمَّ اهْدِنِي فِيمَنْ هَدَيْتَ وَعَافِنِي فِيمَنْ عَافَيْتَ وَتَوَلَّنِي فِيمَنْ تَوَلَّيْتَ وَبَارِكْ لِي فِيمَا أَعْطَيْتَ وَقِنِي شَرَّ مَا قَضَيْتَ إِنَّكَ تَقْضِي وَلاَ يُقْضَى عَلَيْكَ وَإِنَّهُ لاَ يَذِلُّ مَنْ وَالَيْتَ وَلاَ يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ تَبَارَكْتَ رَبَّنَا وَتَعَالَيْتَ- [pic]

“Allaahumma ahdini feeman hadayt wa aafini feeman aafayt wa tawallani feeman tawallayt wa baarik li feema aatayt, wa qini sharra ma qazayt , fa innaka taqzi wa la yuqza ‘alayk, wa innahu laa yazillu maw waalayta, wa laa ya’izzu man ‘aadayt, tabaarakta Rabbana wa ta’aalayt.”

Tarjuma:

Ya Allah! Mujhe hidaayat dekar un logo me shamil farma jinhe tune rushd o hidaayat se nawaaza hai aur mujhe aafiyat dekar un logo’n mein shamil farma jinhe tune afiyat bakshi hai aur jin logo ko tune apna dost banaya hai un me mujhe bhi shamil karke apna dost banaale. Jo kuch tune mujhe ataa farmaya hai is me mere liye barkat daal de aur jis sharr o burai ka tune faisla farmaya hai us se mujhe mahfooz rakh aur bachaale.

Yaqeenan tu hi faisla saadir farmata hai tere khilaaf faisla saadir nahi kiya jaa sakta aur jiska tu dost banaa wo kabhi zaleel o khwaar aur ruswa nahi ho sakta aur wo shaqs izzat nahi paasakta jise tu dushman kahe, Aye hamaare Rab! Tu (bada) hi barkat wala aur buland o baala hai.

Sunan Abu Dawud, kitab al salaat ﴾8﴿, hadees- 1425. Al-Albani ne ise sahih karaar diya hai.

11. ۩ KYA WITR KI DUSRI DUA “Allahumma nasta inuka” PADH SAKTE HAI?

Ulema kahte hai ki jo Allahumma nasta inuka dua hai, ye dua Umar r.a. se sabit hai aur ye padhna jayz bhi hai, isme koi harj nahi hai lekin behtar hai ki jo dua RasoolAllah ﷺ se sabit hai wo padhi jaye. [daleel]

12. ۩  DUA E QUNOOT RUKU SE PAHLE YA RUKU KE BAAD ME?

Is mualmle me ulemao me ikhtilaf hai. Lekin aksar ulemao ka ye kahna hai ki Dua e qunoot ruku se pahle aur ruku ke baad dono kar sakte hai aur dono ki ijazat hai.

Lekin behtar Raae ye hai ki dua e Qunoot ruku se pahle kiya jaye. Ye isliye kyuki koi bhi sahih/hasan riwayat nahi hai jaha RasoolAllah ya sahaba duae qunoot e witr me Ruku ke baad qunoot padha karte the. Balki sahabao se ye sabit hai ki wo ruku se pahle qunoot e witr padha karte the:

'Asim Ahwal riwayat karte hai ki Maine Anas bin Malik se Qunut ke bareme pucha. Anas r.a. ne jawab diya, "Bilkul (ye padha jata tha)". Maine pucha ki ruku se pahle ya ruku ke baad? Anas r.a. ne jawab diya: 'Ruku se pahle'. Maine kaha Fula ne kaha hai ki apne unse bataya hai ki ruku ke baad hai. Anas r.a. ne farmaya, 'Usne Jhut kaha'. Allah ke Rasool ne Qunut ruku ke baad ek mahine ke liye padha tha. Anas r.a. Farmate hai jab Mushreken ne 70 Sahaba karam ko Qatal kar deya tou ''Nabi ﷺ ne Ek Ma'ah (30 day) Qunut Farmaye jisme Aap ﷺ un (ke Qatal Musreko) per Bad-dua karte Rahe''.

Sahih Bukhari, Volume 2, Book 16, Number 1002, Abu Awaanah (2/285), Daarimee (1/374), Sharh Ma’anee al-Aathaar of Tahaawee (1/143), Sunan al-Kubraa (2/207) of Baihaqee and Musnad Ahmad (3/167).

Ubayy Ibn Ka’ab RadhiAllaahu Anhu farmate hai ki RasoolAllah ﷺ Teen witr padhte aur Dua e Qunoot ruku se pahle padhte the.

Ibn Maajah (no.1182), Sunan an-Nasaa’ee (3/235 no.1700), Sunan Daarqutnee (2/31 no.1644), Dhiya Maqdisee has also transmitted this in al-Mukhtarah Imaam al-Albaanee authenticated it refer to Saheeh Ibn Maajah (no.970) and Irwaa ul-Ghaleel (no.462)]

Musannaf Ibn Abi Shaybah me bhi ye riwayat darj hai ke Hazrat Abdullah bin Masood  aur sahaba kiraam r.a. Qunut e witr ruku se pahle padhte the.

Ibn Abi Shayba, Ise Ibn e Turkmani aur Hafiz ibn Hajar ne hasan kaha hai.

13.  ۩  RUKU KE BAAD WALI RIWAYAATE

Witr me Ruku ke baad Qunut ki tamam riwayat zaif hai aur jo riwayat sahih hai unme ye wazeh nahi hai ki Aap ﷺ ka ruku ke baad wala Qunut, Qunut witr tha ya Qunut e Nazila. Isliye Witr me qunut ruku se pahle padha jana chahiye.

Allaama Ibn Hajar r.h. Sahih al Bukhari ki tafseer Fath al-Bari me kahte hai, Ye saare riwayato ko Tajzeeh karne ke baad hame ye pata chalta hai ki ye ek aam mamool tha ki dua e qunut witr se pahle padha jata tha. Taaham kisi khas surat me (jaise musibat ke waqt) qunut ruku ke baad padha jata tha.

[Ref: Fath ul Bahri vol. 1, pg. 291].

14.  ۩  KYA DUA E QUNUT ME HATH UTHAYA JAYE ?

Dua e Qunoot witr mein hath uthane ke bare mein koi marfoo riwayat nahi hai lekin Hadiths ke kitabo me Baaz Sahaaba Ikraam r.a. ke asaar milte hain. Islamic shariah me jab koi baat RasoolAllah se na mile aur sahaba se wo amal mil jaye bina kisi dusre sahaba ka aetraz kiya to us amal ko apnane me koi harj nahi. Lekin behtar yahi hoga ki hath bandh ke Dua e Qunut padhi jaaye. 

Ibn Masood kahte hai ki wo Witr me apne hath uthate the aur us ke baad use niche kar lete the.

Musnad Abdur Razzaq (4/325), Sanad Hasan.

15.۩ WITR KE BAAD KI DUA

Hajrat Abi bin Kaa-ab r.a. se Riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ witr se salaam ferkar teen baar ye padhte:

‏ سُبْحَانَ الْمَلِكِ الْقُدُّوسِ

“Subhan-al Malikil Quddus”.

Sunan Abu Dawud, hadees-1430. (Sahih)

16.۩ WITR KI QAZA

Abu Sa'id al-khudri riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya,


“Agar koi shaks witr padhe bagair so jaye ya witr padhna bhool jaye toh use jab yaad aaye ya jaage toh wo witr padh le.”

Sunan Abu Dawood, kitab al Witr ﴾8﴿, hadees-  1431. Imam Haakim aur Imam Zahabi ne ise saheeh karaar diya hai.

•٠•●●•٠•

Allah hame Kasrat se Witr ada karne ki taufeek ata farmaye. aameen.

Related Articles:
۩ Tahajjud Padhne Ka Tarikahttps://iqrakitab.com/2017/12/tahajjud-aur-witr-padhne-ka-tareeka.html
۩ Witr Ke Baad Ke Nawafil- Ek Ilmi Baat – https://iqrakitab.com/2018/01/witr-ke-baad-ke-nawafil-ek-ilmi-baat.html
Unknown said...

MashaALLAH kafi kuch seekhnay ko mila

Faisal Khan said...

Download Pic Of Dua e Qunut in Arabic: https://goo.gl/kRw948

HARISH MERAJ said...

Allahuma nastainuka...... Yeah wali dua kya hadith se sabit h

Faisal Khan said...

@Harish Meraj: Ji ha ye dua Umar r.a. se sabit hai aur ye padhna jayz bhi hai lekin behtar hai ki jo dua is article me batayi gai wo padhe.

Unknown said...

Very beneficial. JazakAllahu kairana. ❤

Aliyankhan12 said...






very nice collections of quotes. Thank you and JazkaAllah Khair.
learn quran online with tajweed