اقرأ باسم ربك الذي خلق

23 Jun 2018

Ya Muhammad ﷺ Kahna Kaisa Hai ?


"Ya Muhammad" ya fir "Aye Muhammad" kahne me koi harj nahi hai. Balki Ham log apni  har namaz me kahte hai "Aye Nabi". Aur agar ye galat hota to hame apne Nabi se ye kahne ki taleem hi nahi milti. Ham namaz ke tashahhud me padhte hai:

التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ السَّلامُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ السَّلامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ

"(Meri Saari) Qauli Badani aur Maali Ibaadat Sirf Allah Ke Liye Khaas Hai. Aye Nabi Aap par Allah Ta’ala Ki Rahmat, Salamati aur Barkatei’n Ho’n aur Ham par aur Allah ke (Dusre) Nek Bando’n par (bhi) Salaamati ho, Main Gawahi Deta Hu’n ke Allah Ke Siwa Koi (Saccha) Ma’abood Nahi Hai aur Main Gawahi Deta Ho Ke Muhammad Allah Ke Bande Aur Rasool Hain."

Sahih al Bukhari, Kitab al Istezaan (79), hadith- 6265.

Yaha par Tashahhud ka jo ek lafz hai "Ayyuhan Nabiyu" iska tarjuma hai "Aye Nabi" jiska maltab hi 'Ya Nabi' hai.

Lekin RasoolAllah ﷺ ko madad ke liye pukarna chahe wo "Ya" alfaaz laga kar ho ya bina "Ya" alfaz lagaye, ye Allah ke yaha sabse bada gunah hai jiski qayamat ke din muafi nahi hai kyuki kisi se ghaib me madad mangna Dua hai aur Dua ek ibadat hai aur ibadat sirf Allah ki hi honi chahiye.

۩ Hazrat Numan Bin Bashir r.a. Se Riwayat Hai Ki Rasoollallah ﷺ Ne Farmaya, “Dua Ek Ibadat Hai.” Fir Aap ﷺ Ne (Surah Momin” Ki “Aayat-no-60 Ki) Tilawat Ki (Jiske Alfaz Hai) “Aur Tumhare Rab Ka Farman Hai Ki Mujhe Pukaro, Main Tumhari Dua Qubool Karunga, Aur Jo Log Meri Ibaadat Se Takabbur Karte Hain Woh Zaleel-o-khuwar Hokar Jahannum Main Dakhil Honge.”

Jamia Tirmizi, kitab-ul- Dua, Hadith-no: 3372. Classed As Hasan Sahih by Imam Tirmidhi and Sahih By Sheikh Zubair Ali Zai.

Baaz auqat sher o shayri ya nasheed ke alfaz me 'Ya Nabi' ya isi tarha ke alfaz hote hai toh wo galat nahi hoga jab tak ke us sher o shari ya nasheed me ye alfaz ko laga kar Nabi ﷺ se madat na mangi ja rahi ho. 

Isi tarha agar koi muhabbat ya jazbaat me kisi ko 'Ya' alfaz istemal kar ke pukarta ho chahe ghaib me ya zahir me to isme bhi koi harj nahi hoga jab tak ke wo ghaib me madad ke liye na pukar raha ho us shaks ko.

Isi Tarha Labbaik ya RasoolAllah (RasoolAllah mai apki itaat ke liye hazir hu) bhi kahne me koi harj nahi hai agar koi is alfaz ke zarye muhabbat ya apne jazbaat ka izhar karta hai ya agar koi ise sher o shayri ya nasheed me istemal karta hai.
Lekin Jis chiz ki ijazat nahi hai wo ye hai ki koi ise Labbaik Allahumma labbaik ke mukable pe kahe ya fir ye ke in alfaz ke zarye ghaib me RasoolAllah ﷺ se madad mange kyuki ye sabse bada gunah hai jiski qayamat ke din muafi nahi hai aur ye RasoolAllah ﷺ ke talimaat ke khilaf bhi hai.

Ek aur alfaz hai "Ya Rasool allahi unzur halana Ya Habibullaha isma qal'ana" iska matlab hai ki "Aye Allah ke Rasool hamare haal ke taraf apni nigah kare, Aye Allah ke habib hamare duae sune". Ye kahne ki ijazat nahi hai kyuki isme RasoolAllah se Dua kari ja rahi hai jab ki Dua ek ibadat hai jo ki sirf Allah ke liye khas hai.

Hamare muashre me ye galat fehmi hai ki 'Attahiyaat...' jiska zikr upar kiya gaya hai wo  Meraj ke raat ki Allah aur Rasool ﷺ ki guftutgu hai halanki iski koi daleel maujud nahi hai. Toh ye kahna sahih nahi hai ki 'Attahiyaat...' Meraz ki raat ki guftugu hai.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame Rasool ﷺ ke tarike par chalaye aur hame unlogo me shamil na kare jo qayamat ke din Allah ka gussa kamayenge. aameen.

Related: Allah ke alawa kisi aur se dua karna aur Sahaba ka Aqidah