اقرأ باسم ربك الذي خلق

29 Sept 2018

Kabr Ke Chaar (4) Sawaal

en  -
۞ Nek Rooh Se Sawal Aur Jawab

Bara' ibn Azib r.a. se riwayat hai, inhon ne kaha hum Rasool ﷺ ke sath ek Ansari aadmi ke janaze me gaye. Jab hum kabr ke paas pahunche toh kabr tayar (khudi) nahi hui thi. Rasool ﷺ baith gaye aur hum bhi Rasool ﷺ ke sath baith gaye gooya ki hamare saro (heads) par parinde ho (nihayat pur sukoon aur khamoshi se baithe the).
Aap ﷺ ke hath me chadi thi Aap is se zameen khuraid rahe the. Aap ﷺ ne apna sar uthaya aur farmaya:
Allah se Kabr ke azab se Allah ki panaah talab karo. Aapne 2-3 baar ye farmaya. Aap ﷺ ne farmaya ki Jab log (murde ko dafna kar ke) wapis jate hai to mayyat inke qadmo ki aahat sunti hai aur usi waqt inke (mayyat ke) paas 2 farishte aate hai aur inhe baithate hai aur in se kahte hai:

Tera Rab kaun hai?
Toh woh kahta hai Mera Rab Allah hai.
Fir wo puchte hai: Tera Deen kya hai.?
To woh kahta hai: Mera Deen Islam hai.
Fir woh puchte hai: Ye aadmi kaun hai jo tum me maboos kiya gaya tha?
Wo kahta hai ki woh Allah ke Rasool ﷺ hai.
Fir wo (Farishte) kahenge ki tumhe (in sawaalo ka) kaise Ilm hua?
Wo kahega: Maine Allah ki kitab padhi hai, ispar eemaan laya aur isko sach jana, Allah taala ke qawl (Eemaan Walo Ko Allah Pakki Baat Ke Sath Mazbut Rakhta Hai, Dunya Ki Zindagi Me Bhi Aur Aakhirat Me Bhi, surah Ibrahim, ayat-27) se yahi muraad hai.

Aap ﷺ ne farmaya, fir ek pukarne wala aasmaan se pukarta hai ki Mere Bande ne sach kaha hai, ise Jannat ka bistar bicha do aur jannat ka libaas pahna do aur iske liye Jannat ki taraf se darwaza khol do, Fir farmaya jannat ki taraf se wahan ki hawaein, raahatein, aur khushbu aane lagti hai, aur iski Qabr me utni jagah kar di jati hai jitni dur tak ek aankh dekh sakti hai.

Sunan Abu Dawood, Kitab Al-Sunnah, hadith-4753. Shaykh Albani ne ise sahih karaar diya hai.

۞ Buri Rooh Se Sawal Aur Jawab

Rasool ﷺ ne farmaya, iski rooh iske jism me lautayi jaati hai, iske paas 2 farishte aate hai aur ise bithate hai aur is se  puchte hai:

Tera Rab koun hai?
Wo kahta hai ke Haaye afsoos, Haaye afsoos, mujhe pata nahi hai.
Fir wo us se pochte hai tera Deen kya hai?
To wo kahta hai Haaye afsoos, Haaye afsoos, mujhe pata nahi hai.
Fir wo us se puchte hai Ye aadmi kaun hai jo tum me maboos kiya gaya tha?
Toh Wo kahta hai ke Haaye afsoos, Haaye afsoos, mujhe pata nahi hai. Lekin mai wahi kahta tha jo log kaha karte the.
Fir wo (Farishte) usse kahenge: Na toh tum jante the aur na hi tumne (khud Quran padh kar) hidayat hasil karne ki koshish ki.

Toh pukarne wala aasman se pukarta hai ke isne jhut kaha, ise aag ka bistar bichado, ise aag ka libaas pahnaado, aur iske liye dozakh ki taraf ka darwaza khol do.
Aap ﷺ Farmaya ki fir ise jahannam ki taraf se tapish aur sakht garam hawa aane lagti hai aur is par Kabar ko tang (chota) kar diya jaata hai, hatta ke iski pansiliya ek dusre me ghuns jaati hai. Fir is pe ek andha gunga farishta muqarrar kar diya jata hai jiske paas bhari hathauda (hammer) hota hai, agar ise pahaad par maara jaye to wo (pahaad) reza-reza (dust) ho jaye.
Fir wo ise is par aisi chot marta hai jis ki awaaz jinn aur insano ke alawa mashriq wa maghrib ke darmiyaan har makhluk sunti hai, aur fir wo reza reza ho jayega hai. Fir ismee rooh lautayi jaati hai.

Sunan Abu Dawood, Kitab Al-Sunnah, hadith-4753. Shaykh Albani ne ise sahih karaar diya hai. Sahih al-Bukhari, Book of Funerals (Al-Janaa'iz), hadith-1374.

Note:- Bunyadi taur par kabr me 3 hee sawal honge lekin kyuki us teesre sawal ke baad bhi ek sawal hoga isliye is article ka naam aesa rakha gaya hai kyuki aksar log is chauthe sawaal se anjaan hai.


•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame azaab e kabr se bachaye aur hame kabr me Jannat ki thandi hawa ata kare. aameen