Islam ek mukammal Deen hai jo sirf gareebo ki maali madad ka hukm nahi deta, balki unki izzat-e-nafs ko mahfooz rakhne par bhi utna hi zor deta hai. Zakat dene ka maqsad logo ki pareshani door karna hai na ki unhe unki haalat par sharminda karna.
Bas dhyan me rakhne wali cheez ye hai ki ham zakat ke mushtahik logo ko talash karne me laparwahi na kare.
Is article me un authentic hadeeso aur fatwo ko wazeh kiya gaya hai jo zakat dete waqt logo ki khuddari aur izzat bachane ka dars dete hai.
۞ Zakat Dene Mein 'Ghalib Guman' (Strong Assumption) aur Jasoosi Na Karna
Islam hame kisi ki jasoosi karne, bank statements mangne, ya unke gareeb hone ka thos suboot mangne se mana karta hai. Agar aapko zahiri halaat se 'Galib Guman' (mazboot andaza) ho jaaye ki samne waala haqdaar hai, toh Zakat ada ho jaati hai.
۩ Zahiri Haalaat Par Faisle par Hadees e Nabawi
Ubaidullah bin Adi bin Khiyar r.a. kahte hai ke Do aadmiyo ne mujhe khabar di hai ke wo Hajjat ul Wida me Nabi ﷺ ke paas aaye, Aap ﷺ Sadqa taqseem farma rahe the, unhone bhi Aap se maanga, Aap ne nazar utha kar hame dekha aur phir nazar jhuka li, Aap ne hame mota taza dekh kar farmaya,
'Agar tum dono chaho to me tumhe de du, lekin is me maaldar ka koi hissa nahi aur na takatwar ka jo kamane ke kabil ho.
Sunan Abu Dawud, hadees-1633. Imam Nawawi aur Allama Albani ne isko Sahih kaha hai.
۩ Shaykh Ibn Uthaymeen r.h. farmate hai,
'Sahih baat ye hai ki Zakat ada ho jati hai agar wo aise shakhs ko de jise wo shak ke waqt tahqeeq ke baad haqdaar samajhta ho. Toh agar usko mazboot andaza (galib guman) ho jaye ki ye shakhs haqdaar hai aur wo use de de, toh Zakat ada ho gayi.' End quote Sharh al-Kaafi se.
۞ Zakat Ko 'Zakat' Batana Zaroori Nahi
Agar kisi haqdaar ko Zakat di jaye, toh use ye batana zaroori nahi ki ye raqam Zakat ki hai. Aap isay madad kah kar ya kuch na kah kar bhi de sakte hai taaki uski dil aazari na ho.
۩ Imam Ibn Qudamah r.h. ne farmaya,
'Agar wo Zakat aise shakhs ko de jise wo faqeer samajhta hai, toh usey batane ki zaroorat nahi ki ye Zakat hai."
Hasan Basri r.h. ne farmaya. 'Kya tum usko sharminda karna chahte ho? Use na batao.'
Ahmad ibn al Hasan r.h. kahte hain: Maine Imam Ahmad r.h. se poocha. 'Agar ek aadmi dusre ko Zakat de toh kya wo kahe 'ye Zakat hai' ya chup rahe?
Unhone farmaya: 'Wo is baat se use sharminda kyun kare? Wo use de de aur chup rahe, usey sharminda karne ki kya zaroorat hai?'
End quote “al-Mughni (2/508) se.
۩ Imam Dardir r.h. ne mein farmaya:
'Lene waale ko batana ya usey ahsaas dilana zaroori nahi ki ye Zakat hai. Balki Laqqani r.h. ne farmaya: Usey batana makrooh hai kyunki is se faqeer ka dil toot-ta hai, aur ye baat bilkul wazeh hai, un logon ke bar-aks (contrary) jinhone kaha ki batana zaroori hai.'
Al-Sharh Al-Kabir (1/500).
Aksar dekha gaya hai ki hamare rishtedaron mein kuch zarooratmand aise hote hain jo izzat-e-nafs (self-respect) ki wajah se apni pareshani zaahir nahi kar paate. Islam ka nizam nihayat practical aur khoobsurat hai jo haqdaar ki pehchaan ke liye sirf zahiri halaat ko kaafi samajhta hai, taaki kisi zarooratmand se chubhne wale sawalaat na kiye jayein.
Agar kisi ko Zakat ka maal dena ho aur darr ho ki 'Zakat' ka lafz sun kar uski khud-daari majrooh hogi, toh dene wale ke liye jaiz hai ki wo isay hadiya (gift), silat-ur-rahm, eidi ya sirf madad keh kar de de; yahan tak ki bina kuch kahe chup-chap dena bhi bilkul jaiz hai. Lene wale ko batana shart nahi, farz ki adaigi ke liye sirf dene wale ke dil mein Zakat ki niyat hona kaafi hai.
Albatta, isme ek istisna (exception) hai: Agar aapko yaqeenan ilm ho ki koi shakhs mustahiq hone ke bawajood Zakat qabool nahi karta, toh phir usay bataye bina tohfe ki shakal mein Zakat dena munasib nahi. Aise shakhs ko raqam dene se pehle yeh wazih kar dena chahiye ki yeh Zakat hai. Is tarah unki marzi shamil hogi - agar wo chahein toh qabool karein, warna inkaar kar de. Yeh ek sacha aur behtareen amal hai.
Shariat aam halaat mein chhupa kar dene ki ijazat isliye deti hai taaki lene wala chota mehsoos na kare, kyunki haqeeqat mein ek behtareen Musalman wahi hai jo logon ki maali madad ke sath sath unki izzat-e-nafs aur unki pasandeedagi ka bhi mukammal khayal rakhe.
•٠•●●•٠•
Post a Comment