اقرأ باسم ربك الذي خلق

Namaz Ki Iqamat Ke Waqt Kab Khada Hona Chahiye - Shaykh Zubair Ali Zai



۩ Hafiz ibn Hajar ne likha hai, “Aksar ka ye mazhab hai ki agar Imam Masjid me Maujud ho toh log Iqamat khatam hone se pahle khade na ho.”

Fath ul-Bari, 2/120.

۩ Imam Tirmizi farmate hai, “Aur baaz ne kaha: Jab Imam masjid me ho aur namaz ki iqamat ho jaye to log us waqt khade honge jab iqamat kahne wala "Qad iqamatis salaah" kahe aur yahi qawl Abdullah bin Mubarak ka hai.” 

Sunan Tirmazi: 592.

Imam Tirmizi ne Abdullah bin Mubarak r.h. ke jo aqwaal sunan Tirmizi me naqal kiya hai, inki sahih sanad apni kitab Al-Ilal (as-Sageer) me zikr kar di hai.

Dekhye ص ا, dusra nuskha ص٨٨٩, matbua'a darus'salam Sunan Tirmizi.

۩ Imam Ahmad bin Hambal ne farmaya: “Agar Imam Masjid me ho to log us waqt khade ho jab woh (iqamat kahne wala) "Qad iqamatis salaah" kahe. Imam Ishaq bin Rahwayh ne is ki mukammal ta'eed farmayi.”

Masail Ahmad wa Ishaq, rawayatu Ishaq bin Mansoor Al-kosaj, 1/127-128, sentence-179.

۩ Imam Abu Bakr bin Ibrahim bin al Manzar al nisaburi r.h. ne farmaya: “Agar imam masjid me inke sath ho to jab woh khada ho log khade ho jaye aur agar wo imam ke baahar aane ka intzar kar rahe hai toh jab use dekhe khade ho jaye, aur agar use na dekhe to khade na ho. Is ki daleel (Sayyedna) Abu Qatada r.a. ki hadees hai.”

Al Usat nuskha jadeeda, jild-4, safa-188.

Marfoo ahadees aur in aasaar ko madhhe nazar rakhate hue arz hai ke jab iqamat kahi jaye yani 'Qad iqamatis salaah' ke alfaz padhe jaye toh log namaz padhne ke liye khade ho jaye, aur agar Imam ya iqamat kahne wale ke sath khade ho jaye (ba-shart ye ke Imam masjid me maujud ho) to ye bhi jaiz hai. وﷲ اعلم.

- Shaykh Zubair Ali Zai, Al Hadith - 85, page-10-11. [download]

•٠•●●•٠•