اقرأ باسم ربك الذي خلق

28 Dec 2017

Mala Numah Aur Ijtemai Tasbeeh Padhne Ka Kya Hukm Hai ?

Sunnat Amal Yahi Hai Ki Tasbeeh Ungliyo Par Shumar Kiye Jaye:

Abdullah bin Amr r.a. riwayat karte hai ki maine RasoolAllah ﷺ ko apne unglio par Tasbih ginte hue dekha.

Sunan an-Nasai, 1356 . Sahih (Shaykh Zubair Ali Zai).

Hazrat Yusayrah, Yasir ki maa riwayat karti hai ki RasulAllah ﷺ ne hukm diya, 'Allah hu Akbar, SubhanAllah, La-ilaha illallah Kahna apne uper lazim kar lo aur ye ki apne ungliyon per gina karo kyunke (qayamat k din ) un(unglia se) sawal ki jayengi aur (ungliyo ko) bolne ko kaha jaega.'

Sunan Abu Dawud, baab-tasbeeh pathharo par padhna, hadith- 1496 . Hasan (Al-Albani)


Sunnat Amal Ye Hai Ki Tasbeeh Infiradi (individually, not in group) Taur Par Padhi Jaye:

‘Amr Ibn Salmah ne kaha “ Ham log Abdullah ibn Masood r.a. ke darwaze ke pas baithe rahthe the fajr namaz se pahle, taaki jab wo aae ham unke sath masjid ko ja sake. (ek din) Abu Musa al-Ash’aree hamlogo ke pas aae aur kahne lage: “Kya Abu ‘Abd ar-Rahman (ibn MAsood) aae abhi tak? HAmlogo ne kaha: ‘Nahi”.

Isliye wo hamlogo ke sath baith gaye unke aane tak. Jab wo bahar aaye, ham sab unke sath khade ho gae fir Abu Musa ne kaha, Ae Abu Abd ar-Rahman(ibn Masood)! Maine abhi abhi MAsjid me kuch dekha hai jo maine bura samjha,lekin saari taareefe Allah ke liye hai, hamne neki ke alawa kuch nai dekha.

Unhone pucha, ‘Kya tha wo?’

Abu Musa ne jawab diya: Agar ap zinda rahe, to ap use (zaroor) dekhenge. Hamne Masjid me logo ko dekha ki woh gol ghere bana kar namaz ka intzar kar rahe the. Har ghere me, unlogo ke hatho me pathhar hota aur un mese ek admi kahta dohrao Allah hu akbar 100 martaba. Fir wo use dohrate fir wo La ilaha il allah 100 martaba kahte. Fir wo subhanallah 100 martaba kahne ko kahte.’ fir wo ye 100 baar kahte.

(Ibn Masood ne) pucha: Tum ne unlogo se kya kaha?
(Abu Musa): Hamne unlogo se kuch bhi nahi kaha. Iski bajae ham ne apki raae ko sunne ka intzaar kiya ya ap jo aelan kare.’
(Ibn MAsood ne) jawab diya: Kya ap unke gunah ginne ka hukm nahi de paye the aur unke eenaam bhi haasil karne ka yakeen dila dete.
Jesi hi woe gol ghere ke nazdeek aye, unhone kaha: “Ye kya hai jo tumlog kar rahe ho?”
Unhone kaha: Ae Abu Abdurrahma, ye pathhare hai Allah-u Akbar, La ilaha Ill Allah, aur Subhana Allah ginne ke liye.

Unhone(Ibn MAsood ne) Kaha: “Apne Khud Ke Gunah Gino. Aur Ham Yakeen Dilate Hai Ki Tum Log Apne Eenam Bilkul Nai Khone Wale Ho. Lanat Ho Tum Par, Muhammad (S.a.w.) Ke Ummatio, Kitni Jaldi Tum Barbaadi Ke Tarah Ja Rahe Ho. Abhi Rasool Ke Sahaba Bhi Maujood Hai, Abhi (Rasool Ke) Kapde Bhi Nahi Fate(Teared) Aur Abhi To (Rasool) Ke Bartan Bhi Nahi Toote. Mujhe Kasam Hai Uski Jiske Hatho Me Meri Jaan Hai Ki Ya To Tum Us Mazhab Pe Amal Kar Rahe Ho Jo Rasool Ke Mazhab Se Behtar Hai Ya Fir Tum Gumrahiyo Ke Darwaze Khol Rahe Ho”.

Unhone kaha: “Ham Allah ki kasam khate hai Ae Abu Abdurrahma, ki hamari niyat neki ki aur kuch bhi nahi thi”.

(Ibn Masood ne) kaha: To Kya Hua? Kitne Hi Log Neki Ki Niyat Se Kaam Karte Hai Lekin Unhe Neki Nahi Milti. Rasoolallah Ne Hame Unlogo Ke Bare Me Bataya Hai Jo Quran To Padhte Hai Lekin Unke Upar Unka Koi Asar Nahi Hota Siwae Uske Ke Sirf Unke Halak Se Utar Jata Hai. Mujhe Allah Ki Kasam, Mai Intehai Yakeen Ke Sath Kah Sakta Hu Ki Aksar Tum Maise Wahi Ho.

Fir wo (Ibne Masood ) unhe chhor kar chale gaye.

Amr Ibn Salamah (the subnarrator) kahte hai: “Hamlogo ne In gol daire ke andar baithe log maise aksar logo ko Jang e An-Nahrawan me dekha jo Khawariz ke sath hamlogo ke khilaf lad rahe the.

[Dalail: – Related by Ad-Darimi (204) and Abu Na`eim with an authentic chain. Authenticated by Al-Haithamee (Al-Majma, 1/181, 189), Al-Haitamee (Az-Zawaajir, Al-Kabeerah #51 ), Al-Albaanee (As-Saheehah, 2005; Ar-Radd alal-Habashee, p.45-47), Abdul-Muhsin Al-Abbaad (Al-Hathth alat-tibaa-is-Sunnah, p.49), Bakr Aboo Zaid (Tas-heeh-ud-Duaa’, p.149, 153, 154), Husayn Asad (Musnad-ud-Daarimee, 210), Amr Saleem (Al-Bida libn Waddaah, 27), Al-Hilaalee (Al-Bidah, p.44-47), Al-Halabee (Ihkaam-ul-Mabaanee, p.55-58), Al-Huwainee (Al-Bidah wa Aathaaruhaa (1), 03:45), Mashhoor Salmaan (Al-Amr bil-Ittibaa, p.83-84), Zakariyyaa Al-Baakistaanee (Taudeeh-ul-Usool ) and others.]

•٠•●●•٠•