اقرأ باسم ربك الذي خلق

28 Dec 2017

Christmas manana ya mubarakbad dena shirk kyu hai ?

Do nOt say Merry Christmas.
Christmas manana ya mubarakbad dena shirk hai.
Merry christmas in kalmaat se bachein khas kar is ko wish karne se rokain is ka matlab hai ka ALLAH SWT ne beta jana “ (NawzuBillah).
Esaiyon ka aqeedah yeh hai ka Eesa Alaihi salam nawz billah Allah taala ke betay hain jis din Esaai log Eesa Alaihi salam ki khushi ka din manate hain matlab uss din yeh bhi mantay hain kay Allah taala ne is din beta jana tha. (NawzuBillah).
to jab hum kisi ko is tehwar ki mubarakbaad dete hain ya unkee khushi mein shareek hote hain to is ka matlab yeh huwa ke hum is cheez par agree ho jatay hain ke Allah swt ne beta jana aur Eesa Alaihi salam Allah swt ke bete hain. (nawzubillah)
25 december ko kuffar ka sath daine walon, unko mubarak bad daine walon, unn ki khoshion mein rang daalnay walon! ! .
zara ek dafa apne Rab ki ayaat ko to parh lo, aur Allah ki qasam tum is ko parh kar bhi nahi samajte to Allah se hadaayat ki bheek mango.
Surah Ikhlaas mein Allah taala farmata hai !
Aap keh dijiye kE Allah taala Ek hi hai. ( aayat-1 )
Allah taala be-niyaz hai. ( aayat-2)
Na is se koi paida huwa na woh kisi se paida huwa. ( aayat-3 )
Aur na koi Is ka humsar hai. ( aayat -4 )
Agar Hamen is kitaab ko padh kar bhi aqal nahi aati to hum kabhi bhi raah e raast par nahi asakte. insaan sirf baat samjha sakta hai Hidaayat de nahi sakta kyunki Hidaayat sirf Allah taala ke paas hai.
“Aur aap sab keh dijiye ke aap sirf hukum pehchane walay hain hadaayat daine wale nahi,Hidaayat daine wala Main hun jis ko chahun Hidaayat dun aur jis ko chahun gumraah kar dun” ( Al-Quran )
25th december ko Rab kaynat ki shaan mein azeem gustaakhi ki jati hai. Christmas manane walon, aur mananay walon ko mubarak bad kehne wale goya yeh tasleem kar rahe hain ke Allah swt ki bhi biwi aur beta hai ( nawzubillah ).
Aisi badi gustaakhi par Aasman phatt jaye, Zameen shaqq hojaye aur pahar rezah rezah hojaye to bhi taajjub ki baat nahi. yeh baat Quran mein Allah wahdahu lashrik ne in alfaaz mein bayan ki hai :

وَ قَالُوا اتَّخَذَ الرَّحۡمٰنُ وَلَدًا 
un ka qoul yeh hai kay Allah swt ne bhi aulaad ikhtiyar ki hai.

لَقَدۡ جِئۡتُمۡ شَیۡئًا اِدًّا 
yaqeenan tum bahut buri aur bhaari cheez laaye ho

تَکَادُ السَّمٰوٰتُ یَتَفَطَّرۡنَ مِنۡہُ وَ تَنۡشَقُّ الۡاَرۡضُ وَ تَخِرُّ الۡجِبَالُ ہَدًّا 
qareeb hai kay is qoul ki wajah se Aasman phatt jayen aur Zameen shaqq ho jaye aur pahar rezah rezah ho jaien.

اَنۡ دَعَوۡا لِلرَّحۡمٰنِ وَلَدًا 
ke woh Rahman ki aulaad saabit karne baithe.

وَ مَا یَنۡۢبَغِیۡ لِلرَّحۡمٰنِ اَنۡ یَّتَّخِذَ وَلَدًا 
Shaan e Rahman ke Laiq nahi ke woh aulaad rakhe.

اِنۡ کُلُّ مَنۡ فِی السَّمٰوٰتِ وَ الۡاَرۡضِ اِلَّاۤ اٰتِی الرَّحۡمٰنِ عَبۡدًا 
Aasman o Zameen main jo bhi hai sab ke sab Allah ke ghulam ban kar hi ane wale hain.
[Surah Maryam:88-93]
Prepared By: A.Sayed