اقرأ باسم ربك الذي خلق

25 Dec 2017

Tashahud Me Ungli Uthana


Tasha’hud Me Ungli Uthana Rasool Allaah ﷺ Ki Badi Ba Barkat Aor Azmat Wali Sunnat Hai Iska Suboot Sunnat-e-rasool Allaah ﷺ Se Mulaaheza Farmaye:

۩ “Hazrat Ibn Umar r.a. Riwayat Karte Hain Ki Rasool Allaah ﷺ Jab Namaz Ke (Qa’da) Me Baithte To Apne Dono Haath Apne Dono Ghuthno Par Rakhte, aur Apni Daahini Ungli Jo Anguthe Ke Nazdeeq Hai Utha Lete , Pass Uske Saath Dua Maangte ..”

[Sahih Muslim, Hadees Namber, 580]. 

Pas Iske Saath Dua Maangte,, iska Sahi Mafhoom Ye Hai Ki Angusht E Shahadat Ke Saath Isharah Farmate. Jis Tarah Ke Baad Me Aane Wali Rewayat Me Iski Wazahat Aor Tasreeh Maojood Hai .. 

۩ Hazrat Abdullaah Bin Zubair (Raz) Rewayat Karte Hain ,ki Rasool Allaah ﷺ Jab ( Namaz Me ) Tasha’hud Padhne Baithe To Apna Daaya’n Haath Daaye’n , Aor Baaya’n Haath Baaye’n Raan Par Rakhte Aor Shahadat Ki Ungli Ke Saath Isharah Karte ,aor Apna Angootha Apni Darmiyyani Ungli Par Rakhte,

[Sahih Muslim, Hawala Sabiq, Hadees Namber 579].

۩ Nabi ﷺ Daayen Haath Ki Tamaam Ungliyon Ko Band Kar Lete , Anguthe Ke Saath Wali Ungli Ko Qibla Rukh Kar Ke Uske Saath Isharah Karte.

[Sahih Muslim, Hawala Mazkoor , Hadees Namber , 580 ].

۩ Hazrat Wayel Bin Hajar (Raz) Riwayat Karte Hain Ki RasoolAllaah ﷺ (Dusre Sajde Se Uth Kar Qa’da Me ) Baithe ,2 Ungliyon Ko Band Kiya ,(Anguthe Aor Darmiyaan Ki Badi Ungli Se Halqah Banaya ) Aor Angusht E Shahadt (Kalme Ki Ungli ) Se Isharah Kiya. 

[Abu Dawood , Hadees Naber 726 ,][imaam Ibn Habban , Hadees Namber , 485][ibn Khuzaima Hadees Naber , 713 , 714 Ne Sahi Kaha Hai ] Tasha’hud Me Daaye’n Haath Se Halqah Banane Ki Ye Dusri Masnoon Kaifiyat Hai. 

۩ Hazrat Wayel Bin Hujar (Raz) Farmate Hain Ki Rasool Allaah Sallallaho Alahe Wasallam Ne Ungli Uthaai Aor Use Hilate The.

[Nisai Hadees Namber , 990 – Ise Ibn Habban , 485, Aor Ibn Khuzaima , 714, Ne Sahi Kaha Hai ].

۩ Shaykh Albani Farmate Hain Ki Ungli Ko Harkat Na De Wali Rewayat -shaaz-ya – Munkir – Hai, lehaza Ise Hadees E Wayel Bin Hujar Ke Muqaable Lana Jayez Nahi Hai,

Sirf ( Lailaha Illallah ) Kahne Par Ungli Uthana Aor Kahne Ke Baad Rakh Dena Kisi Rewayat Se Sabit Nahi Hai,

Tasha’hud Ki Ungli Me Thoda Sa Kham Hona Chahiye.

Abu Dawood Hadees Namber 991, Ise Ibn Khuzaima Hadees Namber ,716, Aor Ibn Habban ,199, Ne Sahi Kaha Hai.

•٠•●●•٠•