اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Walidain Ke Sath Husn e Suluk


Alhamdulilah Islam me walidain ke bhi hukuk hai. Allah pak Quran me apne hukuk ke fauran baad Walidain ke hukuk ki baat karte hai. Allah pak farmate hai:

۩ Aur tumhare Rab ka farman hai ki uski ibadat me kisi ko shareek na karna aur jab tumhare maa baap me se ek ya dono budhi umr par pahoch jaye toh unhe uff tak na kahna aur na hi unse jhirag ke baat karna lekin unse husne suluk ke saath pesh aana aur ye dua karna ki Aye hamare Rab hamare maa baap par raham kar jis tarah inhone rahmat o shafqat ke sath mujhe bachpan me paala tha.

Surah Isra ﴾17﴿, ayat- 23-24.

۩ "Aur Allah Taalaa ki ibadat karo aur uss kay sath kissi ko shareek na karo aur maa baap kay sath husn e sulook karo..."

Surah Nisa, ayat-36.

۞ WALIDAIN KO HAR HAAL ME RAAZI RAKHNE KA HUKM:

Hazrat Abdullah bin Amr r.a. kahte hai ki Rasool Allah ﷺ ne farmaya: “Rab ki raza walidain ki raza me hai aur Allah ka gussa walidain ke gusse me hai" (Hasan).

SUNAN TIRMIDHI (Vol. 4, Book 1, Hadith 1899).

۞ WALIDAIN KI NA-FARMANI KABIRA GUNAH HAI:

Hazrat Abdulrahman bin Abi bakar ((ra)) apne baap se riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya: 
“Kya mai tumhe kabira gunaho me se sab se bara gunah na batao? "Sahaba karam r.a. ne arz kiya: “Kyu nhi ya Rasool allah ﷺ!  Zarur bataye "RasoolAllah ﷺ ne farmaya:  “Allah ke saath shirk karna aur walidain ki na -farmani karna."

Sunan Tirmizi # hadis no. 1550.

۞ WALIDAIN KO NARAZ KARNE WALE KE LIYE RASOOL ALLAH ﷺ NE BAD-DUA FARMAYI:

Hazrat Abu Huraira r.a. Nabi akram ﷺ se riwayat karte hai ki Rasool allah s ne irshad farmaya:
“...Us shakhs ki naak khak aalud ho ‘ ruswa aur zalil ho ‘ halakat ho jis ne walidain me se kisi 1 ko ya dono ko budhape me paya aur phir ((in ko raazi kar ke)) jannat me dakhil na ho saka. "

SAHIH MUSLIM (Book 32, Hadith 6189)

۞ WAALID JANNAT KA BAHETARIN DARWAZA HAI:

Hazrat Abu Darda r.a. ne Nabi akram ﷺ ko farmate hue suna ke waalid jannat ke darwazo me se bich ka darwaza hai (jannat ka behtareen rasta) toh yeh tumhare upar hai ki iska fayda uthao ya nahi.

IBN MAJAH (Vol. 5, Book 33, Hadith 3663); SUNAN TIRMIDHI (Vol. 4, Book 1, Hadith 1900).

۞ JANNAT MAA KE QADMO TALE HAI:

Hazrat  Mu’aawiyah ibn Jaahimah se riwayat hai Ke woh Nabi akram ﷺ ki khidmat me haazir hui aur arz kiya : “Ya Rasool allah ﷺ! Mai ne jihad ka irada kiya hai aur aap se mashwara lene ke liye haazi hua ho?"  Aap ﷺ ne irshad farmaya: “Kya teri walida zinda hai?“ Is ne arz kiya  “Haa ! “ Aap ﷺ ne irshad farmaya: “Phir un ki khidmat karo, ‘ jannat unke qadmo ke niche hai".

Musnad Imam Ahmad, hadith- 15110.

Aur isi paigam ko Sunan Nasai me bhi dohraya gaya hai..

Allah ke Rasool ﷺ farmate hai “JANNAT MAA KE KADMO KE NICHE HAI”.

Sunan Nasai, Kitaab-ul-Jihaa d, Ch.6 Hadith 3106.

۞ BAAP KE MUKABLE ME MAA 3 DARJE ZAYAD HUSNE SULUK KI MUSTAHEQ HAI:

Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke 1 aadmi RasoolAllah ﷺ ki khidmat me haazir hua aur arz kiya:
“Ya Rasool Allah ﷺ mere husne suluk ka sab se zyada haq daar koan hai?“
Aap ﷺ ne irshad farmaya:
“Teri Maa“
Is ne dobara arz kiya :
“phir kaun?”
Aap ﷺ ne irshad farmaya:
“Teri Maa”
Is ne tisri baar arz kiya:
“phir kaun?”
Aap ﷺ ne irshad farmaya :
“Teri Maa“
Isne chawthi baar pucha :
“phir kaun?”
Aap ﷺ ne farmaya :
“Tera Baap”.

(Sahih Bukhari # kitabul adab, hadith 2)

۞ WALIDAIN KI DUAE:

Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki Teen(3) tarah ki duae bina koi shak ke kubul hoti hai wo hai ek Mazlum ki dua, jo safar pe hai uski duae aur walidain ki duae unke aulad ke liye.

ADAB UL-MUFRAD (Book 1, Hadith 32); ADAB UL-MUFRAD (Book 1, Hadith 481).

۞ WALIDAIN KE INTEKAL KE BAAD UNKE LIYE DUAE KARNA:

RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki jab koi insan marta hai to uske nek aamal band kar diye jate hai siwae teen tarah ke:
1) Sadka e jariya(Allah ke raah me lagaya hua hamara maal jo logo ko fayda pohcha raha ho)
2) Jo Ilm logo ko sikhaya ho wo usse fayda utha ra ho
3) Nek aulad jo uske liye dua kare.

(Reported by al-Tirmidhi, no 1376; he said this is a saheeh hasan hadeeth)

RasoolAllah ﷺ ne farmaya "Ek shaks ke Jannat me darjat buland honge , fir wo puchega ki ye kaise hua, fir usse kaha jayega Tumhare aulad ki magfirat ki duae ke wajah se jo wo tumhare liye karta hai."

(Reported by Ibn Maajah, no 3660; see also Saheeh al-Jaami’, 1617).

•٠•●●•٠•