اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Iddat Wali Aurat Ke Liye Apni Zarurat Ki Wajah Se Bazar Jana


Kya id’dat wali aurat ke liye apni zaroorat ki wajah se bazaar jana jayez hai?

Alhamdulillah..

Id'dat wali aurat ke liye apni zarooraton ki wajah se bazaar jana aur ilaaj ke liye hospital jana jayez hai, Nez padhne aur padhane ke liye jana bhi jayez hai. Kyun ke ye ahem zaroorate hai, haan albattah id'dat me zeb wa zeenat, khushbu aur sone chandi aur almaas wagairah ke zewraat ke istemal se ijtinaab karna zaroori hai. Id'dat me aurat ko 5 (panch) baton ki pabandi karna lazim hai:

۝1. Agar mumkin ho to isi ghar me rahe jis me sukunat ke dauraan shohar ka inteqaal hua ho.

۝2. Khubsurat libaas ke istemal se ijtenab kare.

۝3.  Khushbu ke istemal se ijtenab kare, haan albattah ghusl haiz se taharat ke waqt baqhoor wagairah istemal kar sakty hai.

۝4. Soone chandi aur almaas wagairah ke zewraat bhi istemal na kare.

۝5. Surma aur mehendi wagairah bhi istemal na kare kyunke Nabi ﷺ se sabit hai ke Aap ﷺ ne in tamaam baaton se mana farmaya hai.

Source: Fatawa Islamia [Shaykh 'Abdul-'Aziz bin 'Abdullah bin Baz, Shaykh Muhammad bin Salih Al-'Uthaimin & Shaykh 'Abdullah bin 'Abdur-Rahman Al-JibreenAlong with: The Permanent Committee and the decisions of the Fiqh Council.] Jild 3, Safa-352.