اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Namaaz Me Wuzu Ka Tootna


Sawal: Namaaz ke darmiyaan agar kisi ka wazu toot jaaye tho kya is par namaaz chhod kar wuzu karna laazmi hai? Isi tarah agar Imaam ka wazu toot jaaye tho wo kya kare? Namaaz chhod kar wazu karna padega ya wo namaaz pora karega?

Alhamdulillah..

Namaaz ke liye wuzu ka hona shart hai. Jab wuzu toot jaaye toh namaazi ko namaaz chhod kar chale jaana chahiye aur naye sire se wazu kar ke namaaz ada karni chahiye.

Agar Imaam hai toh peeche se kisi ko aage khada kar k chala jaaye aur naye sire se wazu kar ke namaaz ada kare aur yeh bhi yaad rahe ke namaaz ibteda se shuro kare naa ke jahan chhodi thi waha se.

Sayyadna Hazrat Ali bin Talq r.a. se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Jab tum me se koi aadmi namaaz me apni hawa kharij kare toh wo wapas jaa kar wazu kare aur namaaz dobara padhe".

Sunan Tirmidhi, hadith- 1166. [Hasan by Shaykh Zubair Ali Zai], Adbul Razzaq, hadith- 139, Ibn Hibban, hadith- 203,204; al-Daraqutni, hadith- 153.

Ulma e ahnaf ke yaha yeh masla hai ke namazi ka wazu toot jaaye toh wo chala jaaye aur wazu kar ke aaye aur agar is ne namaz ke manafi koi harkat nahi ki ho toh jahan namaaz chodi thi wahin se ibteda kare naye sire se namaaz ada na kare aur iski dalail me wo yeh riwayat pesh karte hai:

Sayyada Ayesha r.a. se riwayat hai Rasool ﷺ ne farmaya, "Jaise qai,nakeer ya pet ka khana ya mazi aajaye fir wo jaaye wazu kare aur apni namaaz par bana kare basharte ke wo dawraan kalaam naa kiya ho."

Sunan Ibn e majah, hadith-1221, al-Daraqutni, hadith- 153, 155.

Yeh riwayat zayeef hai jaisa ke Hafiz ibne Hazar Asqalaani ne Bulugh al Maram me farmaya hai ke "Zaifa" aur kaha ki Imam Ahmed wagaira ne ne is hadith ko zaif kaha hai.

Bulugh al-Maram, hadith-89,90.

Lehaza is riwayat se istedlaal sahih nahi hai sahih baat yahi hai ke naye sire se wazu kar ke ibteda se namaaz padhi jaaye kyun ke wazu namaaz ke liye shart hai.