اقرأ باسم ربك الذي خلق

16 Jan 2018

Sabr Ki Fazilat Aur Ahmiyat

۝  Quran

Allah ﷻ farmate hai,

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اسْتَعِينُوا بِالصَّبْرِ وَالصَّلَاةِ إِنَّ اللَّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ

Aye Eemaan walo ! Sabr aur Namaz ke zarye madad mango. Beshak, Allah sabr karne walo ke sath hai.

Surah Baqara, Ayat 153.

۩ Sabr karne waalon ko unki mazdoori be-hisaab milegi.

Surah Az-Zumar, Ayat 10.

۩ Aur unke sabr ke badle unhe jannat aur reshmi libaas diye jaayenge.

Surah Daher, Ayat 12.

۩ Aur Allah sabr karne waalon se Muhabbat karta hai.

Surah Aal e Imran, Ayat 146.

Saabiron ke liye nek anjam aur behtareen thikaana hai, Qayamat ke din unka shumar muttaqiyon me hoga. Allah taala ka farman hai,

"Jo Tang'Dasti, Dukh, Dard aur Ladaayi ke waqt sabr kare, yahi sacche log hain aur yahi parhezgaar hai."

Surah Baqarah, Ayat 177.

۝  Sunnah 

Rasool Allah ﷺ ne farmaya ki Momin ka ajab (boht achha) haal hai ke jab Allah usey nemat bakshta hai to wo shukr karta hai aur ispe isko sawab milta hai aur jab Allah use aazmata hai aur uspe taklif dalta hai tab wo sabr karta hai aur ispe bhi isko sawab milta hai.

Sahih Muslim, The Book of Zuhd and Softening of Hearts, Hadith -7138.

Hazrat Syedna Abu Umamah r.a. farmate hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya ke Allah subhanahu wa ta'aala farmate hai, "Aye Ibn e Aadam ! Agar tu sadmein (grief, sorrow) ke shuru me Sabr kare aur sawab ki niyat rakhe to Mai tere liye Jannat se kam ajar pasand nahi karunga.

Sunan Ibn Majah, Kitab al Janaiz, Hadith-1597. Classed as Hasan by Sheikh Zubair Ali Zai.

۝  Faidah

In Qurani ayaton aur Hadeeso me jahan Sabr ki fazilat hai waha Sadme ke shuru ke waqt sabr ki takeed (emphasis) bhi hai kyu ki Sabr to Sadme ke shuru hi me hai kyu ki Ek na ek din to sabko hi sabr aajata hai.

Sabir apne sabr ke badle nihayat azeem aur na khatm hone wale inaam ka badla payenge.

Haqiqat toh ye hai ke sabr momin ki shaan hai, kya hi khus-kismat hain wah log jo museebat ki ghadi mein sabr karte hain aur Rab se ajar haasil karte rahte hain. Museebat me sabr karne waalon ko aakhirat ke alawa, basa awqaat duniya me bhi uska badla mil jaata hai.

Jo is chand roza zindagi ke masaib ko sabr wa shukr ke saath bardaasht kar leta hai, woh Allah ka muqarrab banda ban jaata hai, use hamesha ki aakhirat me aisa maqaam wa martaba hasil hoga jise dekhkar duniya hairaan rah jaayegi.

•٠•●●•٠•

Aye Allah hum sabko Sadme ke agaaz me Sabr karne ki taufeeq dein. Aameen.