اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Jan 2018

Sirf Jumah Ko Roza Rakhne Ka Hukm


Sawal: Kya Aap Mujhe yeh bata sakte hain ke Kya hamare liye yeh Jayez hai ke hum sirf Jumah ka Nawafil Roza rakhen ?

Jawab

Alhamdulillah..

Saheehayn mein Abu Hurairah Radi Allah Ta'ala Anha se Hadith hai ke, wo bayaan karte hain ke Maine Nabi ﷺ ko yeh farmate hue suna, "Tum mein se koi bhi sirf Jumah ka Roza Na rakhe illa yeh ke ek isse qabl ya ek Din iske baad.

Sahih Bukhari, Hadith No. 1849
Sahih Muslim, Hadith No. 1929.

Aur Imam Muslim Rahma Allah Ta'ala ne Apni Sahih Muslim mein Abu Hurairah Radi Allah Ta'ala anha se bayan kiya hai ke wo farmate hain ke Nabi ﷺ ne farmaya, "Jumah ki raat ko baaqi raaton se Qayaam ke liye khaas Na karo aur Jumah ko baaqi dino ke Roze ke liye khaas Na karo illa yeh ke wo tumhare Rozon ke darmiyan aa jaye.

Sahih Muslim, Hadith No. (Al-Siyaam / 1930).

Aur Sahih al Bukhari mein hai ke Juwayriyah bint Haaris Radi Allah Ta'ala Anha bayaan karti hain ke Jumah ke Din Nabi ﷺ uske paas aayen to Mai Roze se thi to Nabi ﷺ ne farmaya kya tu ne kal Roza rakha tha ?
To wo kahne lagi Nahi, toh Nabi ﷺ ne farmaya achcha kya kal Roza rakhne ka irada hai ?
To wo kahne lagi Nahi, toh Nabi ﷺ ne farmaya, "Roza iftaar kardo (Roza tod do)."

Aur wo kahte hain ke Hammaad ibn al-Ja’d ne Qutaadah se suna, unhone kaha ke mujhe Abu Aaiyub ne Hadith bayaan ki ke Juwayriyah Radi Allah Ta'ala Anha ne bataya ke Nabi ﷺ ne unhe hukm diya to unhone Roza iftaar kar diya.

Sahih Bukhari, Hadith No. (Al-Siyaam / 1930).

Ibn Qudaamah Rahma Allah Ta'ala bayaan karte hain ke, "Akela Jumah ka Roza rakhna Makrooh hai illa yeh ke agar koi Roza rakhta ho to yeh uske Mawafiq aa jaaye, maslan : Ek Shakhs ek din Roza rakhta aur ek din iftaar karta hai to iska Roza wala Din Jumah ke Mawafiq aa jaaye.Aur issi tarah agar kisi ki yeh aadat ho ke wo har mahine ke Pahle ya Aakhiri Din aur ya phir Mahine ke darmiyan mein Roza rakhta ho

Mughni ibn Qadamah, Jild No. 3, Page No. 53

Aur Imaam Nawawi Rahma Allah Ta'ala ka Qaul hai ke, "Hamare Ashaab (yaani Shaafa’is) ka Qaul hai ke Akela Jumah ka Roza rakhna Makrooh hai agar tum isse pahle ya baad mein ek Roza mila liya jaaye ya iski aadat ke Rozon ke Mawafiq aa jaaye ya phir iski Nazar maani ho ke wo jis Din Shifayaab hoga Roza rakhega ya yeh ke zaid ke hamesha aane par tum agar iske mawafiq Jumah aa gaya to Makrooh Nahi.

al-Majmoo’ Sharh al-Muhadhdhab, Jild No. 6, Page No. 479.

Aur Sheikh ibn Taymiyya Rahma Allah Ta'ala ke Qaul hai : Sunnat tariqa yeh raha hai ke sirf Rajab ke aur Jumah ka Akela Roza rakhna Makrooh hai.

Fatawa Al-Kubra, Jild No. 6, Page No. 180

 Ibn ‘Uthaymeen Rahma Allah Ta'ala ka Qaul hai : Jumah ka Roza rakhna Sunnat Nahi aur iska Akela Roza rakhna Makrooh hai.

Dekhein Kitab : al-Sharh al-Mumti’, Jild No. 6, Page No. 465.

To is Nahi se yeh cheez Mustasna hai ke isse pahle ya baad mein Ek Roza rakh liya jaaye ya phir un Rozon ke darmiyan aa jaaye jo ke Aadata rakhe jaate hon, Maslan jo ke Aaiyam-e-Baiz ke Roze rakhta hai ya phir kisi ki Moeen Din Roza rakhne ki Aadat ho Maslan Yaum-e-Afrah to yeh Din Jumah ke mawafiq ho gaya aur issi tarah uske liye bhi Jayez hai jisne yeh Nazar maani ke jis Din zaid aayega Roza rakhunga to wo Jumah ke Din aaya ya yeh ke jis Din Falan Aadmi Shifayaab hoga to Roza rakhunga to yeh Jumah ka Din ho.

Dekhein Kitab : Fath al-Baari lil ibn Hajr Rahma Allah Ta'ala.

Aur issi tarah jiske Zimme Ramzan ke Rozon ki Qaza ho, to Musalman ke liye Jayez hai ke wo Jumah ke Din Roza rakhe agarche wo Akela hi Kyun Na ho.

Fatwa al-Lajnah al-Daa’imah, Jild No. 10, Page No. 347.

Aur issi tarah agar Yaum-e-Aashura ya Yaum-e-Arfah Jumah ko aa jaaye to iska Roza rakha jaayega Kyunki iski Niyat Aashura ki hai, Na ke Jumah ki.

Aur Allah Ta'ala hi Taufeeq bakhsne wala hai.

Wallaho Aalam