اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Jan 2018

Sunnat Ko Farz Na Banayen



Hazrat Abu Huraira r.a. Se Riwayat Hay, Nabi ﷺ Ne Farmaya: "Beshak Deen Aasaan Hai. Aur Jo Shakhs Deen Me Sakhti Karega To Deen Ispar Gaalib Ajaayga. Toh Shiddat Pasand (Extremists) Mat Bano Lekin Koshish Karo Ki Takmeel (Perfection) Ke Kareeb Raho Aur Khush Raho Aur Subha Aur Dopaher Aur Raat Ke Aakhri Hisse Me Ibadat Karke (Allah Se) Se Madad Haasil Karo."

Sahih al-Bukhari, Vol. 1, Book 2, Hadith 39.

Jo maine upar hadiths bayan ki hai Mai is ke mutallik kuch baate share karna chahta hu, jo ki practically Ummah ko shiddat-pasandi me dala jata hai.

Hamari Ummat ke kuch zyada padhe-likhe log samajhte hai ki agar ham kisi point par sunnat chize nahi karen to ham boht bada gunah kar rahe hai aur baaz aukat wo logo ko Deen se hi nikal dete hai, halanki agar inse sunnat ki defination bhi puchi jaye to ye thik se bata na paye. Mai bas ye kahna chahta hu ki Sunnat kaam ko na karne se koi gunah nahi hota aur khud Allah aur uske Rasool ﷺ ne ise sunnat declare kiya hai farz nahi, Toh jab Allah aur uske Rasool ne hame paband (farz) nahi kiya hai toh inko kisne certificate diya hai ki jo log sunnat chore unhe ye log Deen se nikal de aur insult wa ilzam-tarashi kare. Iska ye kahi matlab nahi hai ki sunnat ki targeeb na dilayi jaye par log yaha targeeb dilane ke bajaye dusre ki insult krne aur in par ilzam-tarashi karne me lag jate hai.

To Sunnat ki targeeb dilaye lekin usse pahle farz ki targeeb dilaye kyu ki sunnat na karne me koi gunah nahi hai lekin farz na karne se gunah hai aur ham jawabdeh hai Allah ke huzur. Hamare muashre me 90% se zyada log Wirasat me bahno ko hissa nahi dete hai jab ki ye farz hai toh ispe wo log kuch nahi bolenge, Agar koi bank se Interest consume kar raha hai to wo isse nahi rokenge jab ki ye boht bada gunah hai lekin agar bande ne pant-shirt pahen li to bas qayamat aajayegi, uske piche hath dho kar pad jayenge. Ye aese dogle log hai.

Toh Kindly sunnat ko sunnat rahne de use farz na banaye, aur sunnat ki dawat dene se pahle ap use farz ki dawat de, Agr kisi bande ne topi ya pagdi nahi pahni hai to use us par puchne ke bajaye pahle ye puche ki wo 5 time namaz bhi padhta hai ki nahi, kya wo gair-Muslim ko Deen ke taraf dawat deta hai ya nahi, kya wo Wirasat me apni bahno ko haq deta hai ki nahi, ye saare kaam farz hai us par.

Toh Deen me balance banaye rakhe, farz ko sunnat na banaye aur sunnat ko farz na banaye.. and for the second time is message ka matlab ye bilkul nahi hai ki sunnat ki targeeb na dilayi jaye, ap dilaye use lekin sunnat tarike se, muhabbat se samjhaye use, akele me samjhaye taaki wo insult na feel kar sake, aur agar apko uski waqai fikr hai toh uske liye duae kare ki Allah use sunnat par qayam kar de.

Allah ham sab ko Deen ki samajh ata kare. aameen.


•٠•●●•٠•

Prepared by:- Faisal Khan.