اقرأ باسم ربك الذي خلق

30 Jun 2018

Kya Kisi Ek Imam Ki Pairwi Zaruri Hai ?


Kya Kisi Ek Imam Ki Pairwi Zaruri Hai ?

G Bilkul ! Ek hi Imam ki pairwi karni chahiye, dusre Imam ka tasawwur bhi nahi kabhi karna chahiye. Us ek Imam se hat kar apne ek baat bhi agar ki to aapne apne apko tabahi ke ghade me daal liya hai.
Aur us Imam ka naam hai Muhammad ﷺ.

Jis Imam ki pairwi lazim hai wo hamare aakhri Imam hame sidha raah dikha kar dunya se ruksat ho gaye hai. Baaki sab ke sab wo kyu na kisi bhi martabe par fa'iz ho sab ke sab insan hai aur unki galti ki hifazat ka zimma Allah ne nahi liya hua hai. Ham jiski pairwi ke paband hai wo sirf Allah hai aur uska Rasool hai. Baaki Allah ne hame kisi bhi shaks ke sath bandha nahi hai. Aur Islam isi chiz ka naam hai. Iski Daleel ye hai,

Allah ‎ﷻ Farmate hai,

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَأُولِي الْأَمْرِ مِنكُمْ ۖ فَإِن تَنَازَعْتُمْ فِي شَيْءٍ فَرُدُّوهُ إِلَى اللَّهِ وَالرَّسُولِ إِن كُنتُمْ تُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ ۚ ذَ‌ٰلِكَ خَيْرٌ وَأَحْسَنُ تَأْوِيلًا 

Aey Eman Walo! Allah Ki Itaat Karo Aur Rasool Ki Itaat Karo Aur Unlogo Ki Itaat Karo Jo Tum Mein Ikhtiyar Wale (Ulema, Imam Wagaira) Hai. Aur (Tumhare Bich) Agar Kisi Cheez Me Ikhtilaf Ho Jaye To Use Lautao Allah Ki Taraf Aur Rasool Ki Taraf Agar Tumhe Allah Par Aur Qayamat Ke Din Par Eeman Hai. Yeh Boht Behtar Hai Aur Anjaam Ke Aetbaar Se Boht Acha Hai.

Surah Nisa, Ayat-59.

Toh isliye wo ek hi Imam hai jinki pairwi lazim hai, do bhi nahi hone chahiye. Ye hamari badqismati hai ki hamne 4 Imam bana rakhe hai (jin maise hamne kisi ek ki pairwi ko lazim kiya hai). Pahle ke zamane me jo boht bada alim ho jata tha usko Imam bola jata tha. Jaise Imam Abu Hanifa, Imam Malik, Imam Ahmad, Imam Shafi, Imam ibn Jawzi, Imam Bukhari, Imam Muslim, Imam Ibn Taymiyya, aur isi tarha. Jaise hamare sub-continent (India, Pak, Nepal, etc) me log maulana bolte hai lekin arabo ke yaha ye nai bola jata tha, wo aam taur par aj bhi shaykh ya Fazilatus-Shaykh bolte hai. Aur jo bada alim hota usko Imam kahte hai. 

Toh Alim bhi insan hota hai, wo ek tahkeek kar ke apni raaye bayan kar deta hai. Agar apki samajh me aajaye to qubul karle agar apki samajh me na aye to na qubul kare. Lekin ye qubul aur inkar ka faisla daleel ki bunyad par hona chahiye, jazbaat aur khwhisho ki bunyad par nhi.
Apko jis shaks ke bareme kabr aur akhirat me pucha jayega wo Allah ke Rasool ke bareme pucha jayega.
Kabr me apko apne Nabi ke bareme batana hoga kisi molwi, maulana, shaykh, ya Imam ke bareme nahi - (source).
Aur jin logo ko jahannam me le jaya jayega toh unse bhi ye pucha jayega ki kya tumhare pas koi khabardaar karne wala (Rasool) nahi aya tha? - (Quran 67:8).

•٠•●●•٠•