اقرأ باسم ربك الذي خلق

28 Jul 2018

Kisi Ahle Ilm Ko Zero Se Multiply Kar Dena


Sawaal: Hamare kuch bhai hai jinka manhaj hai ki jab unse kisi muamle me koi ikhtilaf karta hai to wo unhe aur unki Deeni khidmaat ko zero se multiply kar dete hai. Mai manhaj e salaf ki manne wali hu to Ap mujhe is muamle me rahnumayi kare.

Jawab:

Manhaj e Salaf kis chiz ka naam hai ? Ye Manhaj e Nabawi aur Manhaj e Sahaba ki itaat ka naam hai. Lekin Hamare Is Daur me Kuch log jinhone salafiyyah ka rasta apnaya hai unlogo ne har us shaks ko gumraah kahna shuru kar diya jo unse ikhtilaf karta hai yaha tak ke agar wo shaks sahih ho, aur kuch logo ne Hibz ka rasta apnaya jis tarha se dusre groh (parties) ne apnaya tha jo apne ap ko Mazhab e Islam se hone ka dawah karte hai. Ye kuch aesa hai jo na-pasandida hai aur hamare Salaf ke manhaj ke khilaf hai.

Hamara Deen, deen e fitrat hai, aur ye Deen muhabbat, ulfat, bhai-chare, ittihaad ka deen hai. Afsos ki baat hai ki is zamane ke kuch log is deen ke raste me rukawat ban gaye hai. Jab wo dars denge to ittehad (unity), bhai-chare aur firqo ke khilaf bolenge aur jab ap unka amal dekhenge to usme nafrat, bughz, tassub, jhagda, ilzam-tarashi, bas yahi sab nazar ayenge. Ye salaf ka manhaj nahi tha aur isi liye ye hamara manhaj bhi nahi hai. Salaf ka manhaj ye tha ki wo din-raat Allah ke deen ko dusro tak pohchane me lage rahte the, jo unse ikhtilaf karta tha use samjhate the Quran aur sunnat ki roshni me. Aur ajke hamare kuch bhai bas social sites par rubber stamp lekar baithe rahte hai aur din bhar bas dusro ko gumraah ka certificate diya karte hai. Ye salaf ka rasta nahi tha. Aiye dekhte hai salaf ka rasta kya hai:

Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Badgumaani se bachte raho, kyuki badgumaani aksar tehqeeq ke baad sabse jhooti baat saabit hoti hai aur kisi ke ayeb dhoondne ke peeche na pado, ek dusre ke ayeb mat tatolo aur kisi ke bhao par bhao nah barhao aur hasad na karo, bughz nah rakho, ek dusre ko mat choro balke sab Allah ke bando aapas mein bhai bhai ban kar raho.

Sahih al-Bukhari, Kitab al Adab, hadith- 6066.

Anas r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, Apas me talluq na todo, ek dusre ko mat choro, na hi ek dusre se nafrat karo, na hi ek dusre se hasad (envy) karo. Allah ke bando aapas mein bhai ban kar raho. Kisi Musalman ke liye ye jayez nahi ki teen (3) din se zyada apne musalman bhai se salaam-kalaam (bolchal) band kar de.

Jamia Tirmzi, hadith- 1935. Classed as Hasan Sahih by Imam Tirmidhi, and Sahih by Shaykh Zubair Ali Zai.

Inhi hadees ke talluq se Shaykh Muhammad Bazmool apne kitab me salaf ka rasta batate hai. 

Shaykh Muhammad Bazmool farmate hai,

"Firqa baazi, ikhtilaaf aur aapas mein bughz-o-'adaawat Salaf ka manhaj nahin. Salaf ka shi’aar (motto) to ye tha: “Aapas mein bughz naa rakkho, ek doosrey ko peeth naa dikhaao (yaani milna aur baat-cheet band na karo), balki Allah ke bando, aapas mein bhai-bhai ban kar raho."

Kitab: Ye Manhaj e Salaf Nahi, Page - 6.

Ab mujhe lagta hai ki agar koi aaina dikhaye to dekh lena chahiye kyuki ho sakta hai isse hamara salaf se talluq mazbut ho jaye.

Toh ye to tha ki ek dusre musalman ke sath hamare salaf ka rawayya kya tha. Ab hame dekhna hai kya hamara isi par amal hai ya isse thik ulta. Bas salafiyat ka dawa karne se to kuch nahi hoga, amal zaruri hai.

Jaisa ki apne apne sawal me ye bataya ki kuch aese log hai jo salafiyat par chalne ka dawa karte hai lekin wo har us shaks jo unse ikhtilaf karta hai unhe wo zero se multiply kar dete hai. Ye aj ke muashre ki sahih nishandehi ki apne.
Iska jawab ye hai ki apne se ikhtilaf karne walo ko zero se multiply kar dena ye na to hamare Rasool ka tarika tha aur ni kisi sahaba ka. Iski daleel mai pesh karta hu in shaa Allah

۞ Quran

Allah pak farmate hai,

"Har Pakiza Chize Aaj Tumhare Liye Halal Kiya Jata Hai Aur Ahle Kitab Ka Zabiha (Bhi) Tumhare Liye Halal Hai...".

Surah Maida, Ayat- 5.

Is ayat me gaur karne ki baat hai ki Jab ahle kitab ham Musalmaan maise nahi hote fir Allah ne inke har amal ko zero se multiply kyu nahi kiya. Is ayat me to ahle kitab ka zabiha bhi halaal karar diya gaya hai. Iska jawab ye hai ki Islam sachhai se muhabbat karta hai.
Quran ne jo amal ahle kitabo ke sath bhi nahi kiya ham wo amal apne Musalmaan Daayi aur Ulema ke sath kar rahe hai. Ha ye baat bhi hai ki hame har haal me haq aur batil maise haq ka sath dena hai. Lekin haq ka sath dene ka matlab ye nahi hai ki ham apne alawa dusro ko zero se multiply kar dein. Quran ne bhi aesa nahi kiya.

Is ayat se shayad mukammal wazahat na ho isliye aaiye ham sunnat aur salaf ka rasta dekhte hai. 

۞ Sunnat

Ab aiye sunnat se dekhte hai ki RasoolAllah ﷺ ka amal kya tha is ke mutallik:

Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai, unho ne kaha, "Rasool ﷺ ne mujhe sadqa e fitr ki hifazat par muqarrar farmaya. Fir ek shaksh aaya aur dono haaton se ( khuzoore) samet ne laga. Maine usse pakad liya aur kaha ki Mai tumhe Rasool ﷺ ki khidmat mein pesh karung, fir Abu Huraira r.a. ne ye pura Qissa bayan kiya. ( Jo sadqa e fitr churaane aaya tha usne kaha ki Rasool ﷺ ke paas na le chalo iske badle mai tumhe kuch alfaz sikhata hu jisse tumhe fayda hoga) Usne kaha Jab tum raat Ko Apne bistar par sone jao toh Ayat al Kursi padh liya karo. Fir subah tak Allah tala ki taraf se tumhari hifazat karne wala ek Farishta muqarrar ho jaye ga aur shaitan tumhare paas bhi nahi aa sakega. ( Hazrat Abu Huraira r.a. ne ye baat Aap ﷺ se bayan ki toh) Nabi ﷺ ne farmaya, "Usne tumse Sach kaha hai, agarche wo jhuta hai, wo shaytan tha."

Sahih al Bukhari, Kitab Fazail al Quran, hadith- 5010. [is hadees ki explanation padhe]

Is hadees se ye sikhne ko milta hai ki hamare mazhab me sachhai ki ahmiyat kitni hai. Halanke Shaitan ne ye wazeefa bataya tha lekin Aap ﷺ ne uski baat ko radd nahi kiya na hi shaitan ko zero se multiply kiya, balki uski haq baat ko tashdeek ki agarche wo shaks jhuta hai.
Ye to shaitan ki baat thi aur aj hamare kuch modern salafi bhai Musalman ko hi zero se multiply kar dete hai. Quran kahta hai ki Rasool ﷺ tumhare liye ek behtareen Misaal hai.

۞ Salaf as Saaleh

'Abd al-Rahman b. Abd Rabb al-Ka'ba r.h. (Tabayee) ne bayan kiya, "Mai Khana e Kaba me dakhil hua toh maine 'Abdullah b. 'Amr b. al-'As r.a. (sahabi) ko Kaba ke sath tek lagaye hue uske saye me baithe hue dekha. Maine kaha, Apke chacha ka ladka, Muawiya to hame kahte hai ki ham logo ka maal haraam tarike se hadap kare aur na-haq logo ko katl kare Jab ki Allah (Quran me) kahta hai, "Ae Eeman walo ek dusre ka maal batil tarike se hadap mat karo aur logo ko na-haq katl na karo." (Surah Nisa ayat 29.).
Ye sun kar Amr bin al-As r.a. ne kaha, "Muawiya r. a. ki itaat sirf un kamo me karo jisme wo Allah ke ahkaam ke mutabik hukm de Aur jab wo Allah ke ahkaam ke khilaf hukm de tab unki itaat mat karo."

Sahih Muslim, The Book on Government, Hadith no: 4546.

Ab isme ye baat samajh lein ki Muawiya r.a. ne koi maal khane aur katl karne ko kaha ya nahi. Is baat ko filhal ye article me ignore kar dein kyuki ye dusra topic ban jayega.
Is hadith me jo sikhne ko milta hai wo ye ki salaf ka manhaj kya tha. Tabaeen ne Muawiya r.a. ki galti batayi to sahaba ne ye nahi kaha ki is galti ki wajah se unko zero se multiply kardo aur unki koi baat bhi mat suno.
Balki unhone kaha ki Jo baat Quran aur sunnat se ho us chiz par amal karlo aur jo chiz uske khilaf ho use chor do. Harf ba Harf yahi hamara manhaj hai. Aur upar ki hadees se sabit hua ki yahi manhaj salaf as saaleh ka bhi tha.

۞ Imam e Deen

Imam Ibn ul Qayyim (d. 751 H.) ne farmaya: 

“Islam ke Ulema ki fazeelat, unke mukhtalif darje aur unki salahiyate aur unke hukuk ko jaano (ye zaruri hai).
(Ye bhi janne ki zarurat hai) ki unke Ilm aur unki fazeelat aur Allah aur uske Rasool ﷺ se inki ikhlas hame iska paband nai karti ki jo wo kahte hai ham unki har baat ko qubul karle, ya fir unke fatwe ki galti ko qubul karle un masaail me jinme (Quran aur sunnat) ki ibarat un tak na pohchi ho, is liye unke ilm ke mutabik unko jo sahih laga unhone wo kaha, halanki haqiqat kuch aur thi. (Agar ye hua ho) Toh ham par ye zaruri nahi ki ham unke har qawl ko jo kabhi unhone kaha ho usko dur fenk de, na hi ye zaruri hai ki unko badnaam kiya jaye ya unki qawl ko nichi nigaah se dekha jaye. 

Yaha par Do (2) na-insafi aur shiddat-pasandi hai (wo ye ki kisi ki har baat maan lena ya fir kisi ki har baat se inkaar kar dena) aur sahih rasta unke bich me hai. Ham na hi unhe (ahle ilm) ko chorte hai (unki galti ki wajah se) na hi unhe ham ye mante hai ki unse galti nahi ho sakti. Jiske pas bhi Deen ya Dunyawi muamlat ka kuch bhi ilm hai wo bina shak ke is baat ko janta hai ki kisi bhi izzatdaar shaks (ahle ilm) jisne Islam ki khidmat ki hai, is chiz ka imkaan hai ki usne kuch galti ki hogi. Albatta uski ye galti sirf muaf hi nahi hogi balki usko is ijtehaad jo usne tahkeek ke zarye ki hai, is par sawab bhi milega.
Is liye, us (ahle ilm) ki galti talash karne ki ijazat nahi hai, na hi uski izzat aur uska muqam jo uske liye logo ke dilo me hai usko tabah karne ki ijazat hai.”

I’laam-ul-Muwaqqi’een (Vol. 3, pg. 295).

۩ Ab mai ek aur zaruri nukhta batata hu jis par salaf ke manhaj ke saare log amal kar rahe hai. Apke ilm me hoga ki jise kutub as sittah kahte hai, wo ye hadees ki kitabe hai: Sahih al Bukhari, Sahih Muslim, Sunan Abu Dawud, Jamia Tirmizi, Sunan ibn Majah aur Sunan Nasai.

Isme to 2 saheehayn, Bukhari aur Muslim ko chor ke 4 kitabe bachti hai. Un chaar hadees ki kitabo me Sahih Hadeese bhi hai aur gair-saheeh hadeese bhi. Ham in chaaro kitab ke sath kya muamla karte hai. In char hadith ki kitab maise jo Sahih hadith hoti hai ham qubul kar lete hai aur jo gair-sahih hadith hoti hai unhe chor dete hai. Dekhye yaha par bhi ham yahi muamla karte hai. Ham ye nahi kahte hai ki kyuki in kitabo me sahih aur zaif hadith dono mix hai to in 4 kitabo ko zero se multiply kardo aur kahi ham bahek na jaye in char kitab ke wajah se. Aesa nai karte hai ham.

Aur dunyadari me bhi ham yahi karte hai. Jab ham market se vegetables lekar aate hai aur koi ek vegetable me agar daag ho jaye ya uska koi hissa kharab ho jaye to ham kya karte hai? kya ham pure vegetable ko alag kar dete hai? Nahi ! balki wo hissa cut kar ke alag kar lete hai aur baaki istemal kar lete hai.

Lekin ham jante hai ki kuch log jo firqa-parasti ke bimari me mubtala ho chuke hai unhe itni waazeh baat bhi samajh me nahi ayegi na hi unhe salaf ka tareeka samajh me ayega. Isliye mai unke hi alim ki wo badi galtiya bayan karna chahta hu jo shayad unke ilm me na ho. Aur agar wo insaaf wale hai to unko in alim e deen ko bhi zero se multiply kar dena chahiye aur in alimo ko chor dena chahiye.
Aur kyuki mai bhi un alimo ka shagird hu (bataur unke kitabe padh kar) to mai ye baat bhi bata du ki mera maqsad in alimo ki nuks nikalna nahi hai, maine in alimo se Deen ka bohot keemti ilm seekha hai. Lekin kyuki mai in alimo ki taqleed nahi karta to mai inki waqalat bhi nahi karunga, haq ko haq aur batil ko batil kahna mere eemaan ka taqaza hai.

۞ Sabse pahle mai Shaykh Albani r.h. ki baat karna chahunga. Jaise ap jante honge ki hamare manhaj ke nazdeek ham Bukhari aur Muslim ki saari hadeeso ko sahih maante hai, aur is par ahle sunnat ka Ijma hai. Lekin Shaykh Albani is manhaj par nahi hai. Shaykh Albani ke nazdeek Bukhari aur Muslim ki kuch hadeese sahih nahi hai:

۩ Shaykh Albani farmate hai:

"جهل بعض الناشئين الذي يتعصبون لـ " صحيح البخاري "، وكذا لـ " صحيح مسلم " تعصبا أعمى ، ويقطعون بأن كل ما فيهما صحيح"-

"Baaz nawjawan log jo shiddat-pasandi se Sahih al Bukhair aur isi tarha Saheeh Muslim par jan-nisar (devoted) hai wo Be-Ilm (ignorant) hai aur wo zid par ade hai ki unme sab kuch sahih hai..."

Silsilat al-Ahaadeeth as-Saheehah (no. 2540). 

۩ Shaykh Albani farmate hai:

لكن في أثناء البحث العلمي تمر معي بعض الأحاديث في الصحيحين أو في أحدهما ، فينكشف لي أن هناك بعض الأحاديث الضعيفة! لكن من كان في ريب مما أحكم أنا على بعض الأحاديث فليعد إلى " فتح الباري" فسيجد هناك أشياء كثيرة وكثيرة جداً ينتقدها الحافظ أحمد ابن حجر العسقلاني " انتهى من " فتاوى الشيخ الألباني-

"... Lekin mere taaleemi tahkeek ke dauran maine Saheehayn (Bukhari aur Muslim) me kuch hadeese paayi, ya do maise ek, aur mujhe ahsaas hua ki unme kuch hadeese zaif hai! Lekin (in) chand hadeeso ke bareme jise bhi mujh par shak ho toh use chahiye ki wo Fath al Bari ka mutalla kare jaha par use boht si chize pata chalengi jinki tanqeed al-Haafiz Ahmad ibn Hajar al-‘Asqallaani (author) ne ki hai."

End quote from Fataawa ash-Shaykh al-Albaani (p. 565).

۩ Shaykh Albani ke is raaye par Shaykh Saleh al Munajjid kahte hai:

"Khulasa yahi hua ki Shaykh Albani ne waqai me Saheehayn (Bukhari aur Muslim) ki kuch hadeeso ko zaif karar diya hai."


۩ Shaykh Albani ke is raaye par Shaykh Zubair Ali Zai kahte hai:

"Shaykh Albani ne Sahih Muslim ki tees (30) se zyada Hadeeso ko zaif karar diya hai. Aur Shaykh Albani marte-marte Sahih al Bukhari ki kayi hadeeso ko zaif karar dekar gaye hai. Aur ye Shaykh Albani ki Manhaj ki galti hai, unki manhaj ki khami hai."

[ye unke jawab ka khulasa hai]


۞ Dusri baat mai apke ilm me ye lana chahunga ki Shaykh ibn Taymiyya jinhe Shaykh ul Islam ke title se bhi jana jata hai, unke nazdeek Milad un Nabi (birthday of prophet) ke manane walo ko unki nek niyati par sawab milega:

Shaykh ibn Taymiyyah farmate hai,

وكذلك ما يحدثه بعض الناس ، إما مضاهاة للنصارى في ميلاد عيسى عليه السلام ، وإما محبة للنبي صلى الله عليه وسلم ، وتعظيمًا . والله قد يثيبهم على هذه المحبة والاجتهاد ، لا على البدع– من اتخاذ مولد النبي صلى الله عليه وسلم عيدًا-

"Aur isi tarha jo kuch log ne ijaad kiya hai, chahe wo is ijtihad ke wajah se ho ki isaai Isa a.s. ke mutallik aesa karte hai ya chahe RasoolAllah ﷺ se muhabbat ya unke ahtaraam ke wajah se ho, Allah unlogo ko is muhabbat aur ijtihad ke wajah se ajar de sakta hai naa ke Nabi ﷺ ke paidaish ko eid banane ki biddat ki wajah se."

Toh Shaykh ibn Taymiyya milad un nabi ko biddat toh tasleem karte hai lekin agar is biddat ko koi muhabbat aur ehtaraam ki niyat se manaye to wo farmate hai ki is par sawab mil sakta hai Allah ki taraf se. Sath me unhone ye bhi kaha hai ki agar ise biddat samjha jaye to koi sawab nahi milega.
Lekin haqeeqat ye hai ki jo bhi milad ko manata hai wo ise biddat ya gunah samajh kar nahi manata, wo ise muhabbat aur sawab samajh kar hi ise manate hai. Aur ye apke ilm me hoga hi ki Deen me nayi cheez ijaad karne par sawab nahi gunah milta hai chahe wo nek niyati se hi kyu na ijaad kar raha ho.

To maine ab yaha do (2) bade alim ki badi galti ko bayan kiya hai, halaki ye do alim mere ustaad hai jaise maine upar bataya hai. To jo hamare kuch modern salafi bhai Dr. Zakir Naik, Dr. Israr ahmed, Dr. Farhat Hashmi aur in jaise ahle ilmo ki galati pakad kar unko be-izzati aur ilzam-tarashi karte hai, unhe chahiye ki ab in do alim ki galati par bhi unhe ye manhaj e salaf se nikaal de aur inke khilaf posts tayar kare jaise wo upar bayan karda ahle ilmo ke sath karte hai.

Ab kyuki mai in chand modern salafi bhaiyo se waqif hu mujhe nahi lagta ki ye aesa kabhi bhi karenge, Allah inhe insaf ki daulat ata kare. Halanki ye to bas do (2) misaale hai. Mai agar chahu to inke alimo ki boht saari galatiya nikal sakta hu, lekin manne walo ke liye 1 hi daleel kaafi hai aur na manne walo ke liye hazaar dalail bhi kam hai.

Kuch logo ka ye bhi kahna hai ki kya Dr. Zakir, Dr. Israr aur inhi jaise ahle ilm ke alawa koi aur alim e Deen nahi hai? Agar hai to ham inki pairwi karke apni akhirat risk me kyu daal rahe hai?

Iska jawab ye hai ki baat ye nahi hai ki dunya me in ahle ilmo ko chor kar aur log hai ya nahi hai. Baat ye hai ki apke kahne par ham unlogo ko kyu chore jinhone tab hame shirk aur biddat se nikala tha jab apka koi naam o nishan nahi tha. Apko ye ikhtiyar kisne diya hai ki ap certificate bante firo ki kisko sunna aur kisno nahi. Jab ham shirk aur biddat me mullawis ho kar bhi iske bahar aa sakte hai bina apke certificate ke to ham apke certificate ke bina ek achhe Musalman bhi bane rah sakte hai. Quran ka tarjuma padh kar hame itna to samajh aagaya hai ki haq kya hai aur batil kya, tauheed kya hai aur shirk kya. Koi bhi aalim kitni bhi khubsurat andaz me agar biddat ko sunnat kahega fir bhi ham biddat ko biddat hi kahenge. Hamara eeman itna kamzor nahi hai ki kisi ki khubsurat baato ke zarye biddat ko sunnat kahne lage.

Ab aiye dekhte hai ki risk kin logo ko manne me hai:

Ek taraf Dr. Israr, Dr. Zakir aur Dr. Farhat hai. In logo ke zarye hazaaro tadad me Kafir Islam qubul kar rahe hai, aur mere jaise lakho shirk aur biddat me dube log shirk aur biddat ko unki naseehat ke zarye chor rahe hai.

Dusri taraf ye chand modern salafi hai: Jitna Dr. Zakir naik ne kafiro ko Musalman kiya hai, inlogo ne unka 1% bhi kafiro ko musalman na kiya hoga. Aur jab ye log islah karte hai ahle biddat ki to inki bad-zubani aur bad-akhlaqi ke wajah se ahle biddat, apne biddat aur shirk me aur zyada mazboot ho jate hai.

Ab awaam faisla kare ki Deen ki khidmat kaun kar raha hai aur risk kinko follow karne me hai.

Ye to tha ilzami jawab. Ab ilmi jawab bhi sun lein :

Agar ahle ilmo ka apas me ikhtilaf hota hai to iska matlab ye nahi hai ki usme se kisi ek ki akhirat kharab hogi ya un maise koi jahannam jayega. Agar yahi qanun hai fir to ap boht saare sahaba, tabaeen, tabe-tabeen ko jahannam me pohcha denge nauzbillah kyuki sahih hadees ki roshni me unme bhi ikhtilaf hue hai (daleel). Misaal ke taur par Imam Shafi kahte the ki aurat ko chune se wuzu tut jati hai jab ki Imam Abu Haneefa (tabe-tabaeen) ke nazdeek wuzu nahi tut ti. To kya ab Imam Shafi ki is galti ka natija ye hoga ki Imam Shafi apni is galti ke wajah se jahannam me jayenge ya wo gumrah ho gaye the ya wo manhajless ho gaye the nauzbillah. Ya fir ye ki koi aesa kahne lage ki unko sun kar risk kyu lena. Ye to na Quran aur sunnat ki baat hui aur na hi ilm o aqal ki baat hui.

۩ Amr bin Al-`As r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki Jab koi faisla (ijtihad) karne wala faisla karta hai apne behtareen ilm ke zarye aur (agar) uski raaye sahih hoti hai to use do (2) ajar milega, aur agar usne apne behtareen ilm ke zarye galat raaye qayam ki fir bhi use ek (1) ajar milega.

Sahih al-Bukhari, Book of Holding Fast to the Qur'an and Sunnah, hadith- 7352.

Ise kahte hai ki suni-sunai baat par amal karna jhut aur gumrahi ke taraf le jati hai jab ki Quran aur sunnat par amal karna sidhe raste ke taraf. Kuch Modern Salafi bhai Ikhitlaf aur us ikhtilaf ki galati ko akhirat me risk yaani jahannam se jod rahe hai jab ki RasoolAllah kahte hai ki us galat raaye ke manne wale ke liye bhi ek (1) ajar hai. Jab ki us raaye par ikhtilf maujud tha, aur dono side me daleele thi. Ye isliye kyuki Allah hamare istetaat se badh kar ham par bojh nahi dalta [surah baqara, ayat-286.], agar koi shaks nek niyat se haq ko janne ki koshish karta hai aur us haq ko janne ke safar me usse koi ijtihadi galti ho jati hai to isme bhala us shaks ka kya kusur hai ? Us shaks ki niyat to nek hi thi na aur usne kisi ayat ya kisi saheeh hadees ka inkaar bhi nahi kiya tha? Fir ye to na-insafi hogi uske sath ke nek niyat ke bawujud use qayamat me nakaami hasil ho. Aur ham sab ko pata hai ki Allah hamesha insaf karta hai aur upar ki hadees se sabit bhi hua ki is muamle me bhi Allah ne insaf kiya hai aur isi wajah se usko 1 ajar dene ka wada kiya hai.

To in bhaiyo se guzarish hai ki jab kabhi stamp paper aur certificate bantne se fursat mil jaye to hadeese bhi padh liya kare, sidha rasta milega, sirf manhaj manhaj kahne se sidha rasta nahi milega. Aur fir bhi agar apko ye hadees samajh nahi aayi ho toh Shaykh Albani aur Shaykh Ibn Taymiyya r.h. jaise ahle ilmo ko awam ko sunne se roke kyuki agar apka qanun laga diya jaye to inko sunna bhi aakhirat me risk lene ke barabar hai.

Shaykh ibn Uthaymeen farmate hai:

"Har Shaks Se Galti Hoti Hai Aur Durustgi Bhi Hasil Hoti Hai Wo Kyu Na Wo Ilm Aur Ibadat Ke Hawale Se Kisi Bhi Mukam Par Pahoch Gaya Ho. Deen Islam(Quran, Sunnat) Hi Sirf Galti Se Paak Hai. (Na ki koi shakshiyat)."

source: https://www.youtube.com/watch?v=PAwdFii9gKI

Aur mai firse bata du ki mera maqsad kisi ki galtiya bayan karna nahi hai, mai aam taur par ye sirf us surat me karta hu jab koi rasta nazar na aa raha ho. Jaise ki agar mai sirf Quran aur sunnat aur salaf se misaale deta to ye is baat ko kabhi na mante, kyuki jo shaks firqa-wariyat ki beemari me mubtala ho chuka hai wo Quran aur sunnat ko seriously leta hi nahi hai. Toh isliye ye meri majburi thi. Jaisa ki Shaykh Abdul-Aziz ibn Abdullah (saudi arabia ke grand mufti) farmate hai,

۩ "Talib E Ilm Is Tarhan Fula Fula Logo Par Hamla Karte Hue Khud Ko Masroof Nahi Karte. Lekin Woh Achi Tarha Se Islaah Aur Khair Ke Taraf Logo Ko Bulane Me Masroof Rahte Hai."


Isi liye mere zyada tar articles Logo ko khair ke taraf bulane me aur Dusro ko burai se rokne ke mutallik hoti hai kyuki kisi par ilzam tarashi karna mere Deen ne mujhe nahi sikhaya hai aur na hi mai in chizo me interested hu. Mujhe Allah ka paigaam dusro tak pochane me zyada dilchaspi hai.
Aur readers ko bhi mai bata du ki agar ap bhi in fuzul chizo me apna waqt barbaad karte hai to apki dunya to jayegi hi ho sakta hai ki apki akhirat bhi chali jaye kyuki jis par apne ilzam lagaya hai agar wo zarra barabar bhi jhut nikla to iske badle me apko jahannam ki aag me jhoka ja sakta hai, wo kyuna koi din bhar Tawheed-Tawheed aur Aqida-Aqida karta ho. Daleel:

۩ Abu Hurairah r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya, tumhe maaloom hai gareeb kaun hai? Sahaba r.a. ne arz kia, hum to gareeb us ko samajhte hain jis ke paas rupya-paisa aur saaz o saamaan na ho.
Toh Aap ﷺ ne farmaya, "Meri Ummat mein gareeb wo shaksh hoga jo qayamat ke din namaaz, roza aur zakaat ke sath aayga magar us ne kisi ko gali di ho gi, KISI PAR JHUTA-ILZAM LAGAYA HOGA, kisi ka maaal hadap kiya ho ga, kisi ka khoon bahaya ho ga, kisi ko maara ho ga, chunache us ne jin jin logon ki haq talfi ki ho gi unhain us ki nekiya de di jaain gi. Aur agar uski nekiya kam pad jaye toh fir un logon ke gunaah la kar us par laad diye jayenge. Aur usey Jahannum (dozakh) mein phaink diya jaay ga.

Sahih Muslim, The Book of Virtue, Enjoining Good Manners, and Joining of the Ties of Kinship, Hadith- 2581.

•٠•●●•٠•