اقرأ باسم ربك الذي خلق

21 Mar 2019

Surah Baqara Ki Aakhri Do (2) Ayat Aur Iski Fazilat

hi   -
Allah ﷻ farmate hai,

۞ Rasool eemaan laaye us cheez par jo unki taraf Allah ki jaanib se utri aur momin bhi eemaan laaye, ye sab Allah aur us ke farishto par aur us ki kitabo par aur us ke Rasoolo par eemaan laaye, us ke Rasoolo maise kisi me hum farq nahi karte, unhone kah diya ke hum ne suna aur itaat ki, hum teri bakshish talab karte hai, aye hamare Rab! Aur hame teri hi taraf lautna hai.

Allah kisi shaks par uski quwat se zyada bojh nahi dalta, jo neki wo kare wo us ke liye aur jo burayi wo kare wo us par hai, aye hamare Rab! Agar hum bhul gaye ho ya khata ki ho, to hame na pakadna, aye hamare rab! Ham par wo bojh na daal jo ham se pahle logo par daala tha, aye hamare Rab! Hum par wo bojh na daal jis ki hame taakat na ho aur ham se darguzar farma! Aur hame baksh de aur hum par raham kar! Tu hi hamara Maalik hai, hame kafiro ki qaum par ghalba ata farma.

Surah Baqara, ayat- 284-285. [arabic text padhe]

۩ Abdullah bin Umar r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ko (Meraj wali raat) teen chize di gayi thi, unhe paanch namaze di gai thi, Surah Baqara ki Ikhtitami (akhri) ayate di gai thi, aur unki ummat ke unlogo ko sangeen gunaho ki maafi di gai thi jo Allah ke sath kisi ko shareek nahi karte.

Sahih Muslim, kitab al eemaan ﴾1﴿, hadith- 173.

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Jisne surah baqara ki do (2) aakhri ayat raat me padh li wo use (har aafat se bachane ke liye) kafi ho jayegi.”

Sahih al Bukhari, kitab fazail al Quran ﴾66﴿, hadith- 5009.

۩ Ibn Qayyim kahte hai,

“Wo (ayate) usko kisi bhi burai ke khilaf kaafi kar degi jo use nuksan pohcha sakti hai.”

Al-Waabil al-Sayyib (132).

•٠•●●•٠•