اقرأ باسم ربك الذي خلق

Surah Baqarah Ki Aakhri Do (2) Ayat



285. Aamanar-Rasoolu bimaaa unzila ilaihi mir-Rabbihee walmu'minoon; kullun aamana billaahi wa Malaaa'ikathihee wa Kutubhihee wa Rusulihee laa nufarriqu baina ahadim-mir-Rusulih wa qaaloo sami'naa wa ata'naa ghufraanaka Rabbanaa wa ilaikal-maseer.

286. Laa yukalliful-laahu nafsan illaa wus'ahaa; lahaa maa kasabat wa 'alaihaa maktasabat; Rabbanaa laa tu'aakhiznaaa in naseenaaa aw akhtaanaa;
Rabbanaa wa laa tahmil-'alainaaa isran kamaa hamaltahoo 'alal-lazeena min qablinaa;
Rabbanaa wa laa tuhammilnaa maa laa taaqata lanaa bih; wa'fu 'annaa waghfir lanaa warhamnaa; Anta mawlaanaa fansurnaa 'alal qawmil kaafireen.

(download audio)

Tarjuma:

285. Rasool eemaan laaye us cheez par jo unki taraf Allah ki jaanib se utri aur momin bhi eemaan laaye, ye sab Allah aur us ke farishto par aur us ki kitabo par aur us ke Rasoolo par eemaan laaye, us ke Rasoolo maise kisi me hum farq nahi karte, unhone kah diya ke hum ne suna aur itaat ki, hum teri bakshish talab karte hai, aye hamare Rab! Aur hame teri hi taraf lautna hai.

286. Allah kisi shaks par uski quwat se zyada bojh nahi dalta, jo neki wo kare wo us ke liye aur jo burayi wo kare wo us par hai, 
Aye hamare Rab! Agar hum bhul gaye ho ya khata ki ho, to hame na pakadna,
Aye hamare Rab! Ham par wo bojh na daal jo ham se pahle logo par daala tha,
Aye hamare Rab! Hum par wo bojh na daal jis ki hame taakat na ho aur ham se darguzar farma! Aur hame baksh de aur hum par raham kar! Tu hi hamara Maalik hai, hame kafiro ki qaum par ghalba ata farma.

Surah Baqara, ayat- 285-286.

•٠•●●•٠•

Related: Surah Baqarah ki aakhri do ayat ki Fazilat

Hame Whats App par join karein: +9779868212118