اقرأ باسم ربك الذي خلق

6 Apr 2019

Kya Nabi Ne Allah Ko Dekha Hai | Ayesha ؓ


Masruq (tabayeen) bayaan karte hai ki Mai Ayesha ؓ ki khidmat me tek lagaye hue baitha tha ke Ayesha r.a. ne farmaya, “Abu Ayesha! (yeh masrooq ki kuniyat thi) teen cheeze hai jis ne un me se koi baat kahi, us ne Allah taala par bahut bada bohtan baandha.” Mai ne pucha: 'Woh baate kaun si hai?'

Unhone farmaya, 'Jis ne ye gumaan kiya ke Muhammad ﷺ ne apne Rab ko dekha hai toh us ne Allah taala par bahut bada bohtaan bandha.'

Unhone (Tabayeen ne) kaha, 'Mai tek lagaye hue tha toh (yeh baat sunte hi) seedha ho kar baith gaya aur kaha: 'Ummul momineen! Mujhe (baat karne ka) mauqa dijiye aur jaldi na kijiye, Kya Allah taala ne ye nahi kaha, 'Beshak unhone use roshan kinare par dekha' (Al-Qur'an, Surat at-Takwir, 81:23), ( isi tarha ) 'aur Aap ﷺ ne use ek baar utarte hue dekha (Surat Najm 53:13).'

Ayesha r.a. ne farmaya, 'Mai is ummat me sab se pahli hu jis ne iske baare me RasoolAllah ﷺ se sawal kiya toh Aap ﷺ ne farmaya, 'Woh yaqeenan Jibrail a.s. hai, mai inhe is shakal me, jis me paida kiye gaye, do dafa ke ilawa kabhi nahi dekha, ek dafa maine inhe aasman se utarte dekha, un ke wujud ki badayi ne aasman o zameen ke darmiyaan ki wusat (jagah) ko bhar diya tha'.

Fir ummul momineen ne farmaya, 'Kya tum ne Allah taala ka farmaan nahi suna, 'Aankhe uska idraak (comprehend) nahi kar sakti aur woh aankhon ka idraak karta hai aur woh baarikhi se har cheez ki khabar rakhne wala hai' (Surat al-An`am 6:103).
Aur kya tum ne yeh nahi suna ke Allah taala farmata hai, 'Aur kisi bashar me taakat nahi ke Allah taala us se kalaam farmaye magar wahee ke zarye se ya parde ke piche se ya woh kisi paigham laane wala (farishte) ko bheje toh woh us ke hukm se jo chahe wahi kare, bilashuba woh bohat buland aur hikmat wala hai' (Surat ash-Shura, 42:51).

(Ummul momineen ne) farmaya, 'Jo shakhs ye samjhta hai ke RasoolAllah ﷺ ne Allah taala ki kitab maise kuch chupa liya to usne Allah taala par bahut bada bohtan baandha kyunki Allah taala farmata hai, 'Aye Rasool ﷺ! Pahuncha dijiye jo kuch Aap ke Rab ki taraf se Aap par nazil kiya gaya aur agar (bil farz) Aap ne aisa na kiya toh Aap ne uska paigaam na pohchaya (fariza e risalat ada na kiya)'  (Surat al-Ma'idah, 5:67).

(aur) Unhone farmaya, 'Aur jo shakhs ye kahe ke Aap ﷺ is baat (ilm e gaib) ki khabar de dete hai ke kal kya hoga toh us ne Allah taala par bahut bada jhut baandha, kyunke Allah taala farmata hai, '(Aye Nabi!) farma dijiye! koi ek bhi jo aasmaano aur zameen me hai, gaib nahi janta, siwaye Allah ke' (Surat an-Naml, 27:65).

Sahih Muslim, kitab al eemaan ﴾1﴿, hadith- 439.

•٠•●●•٠•