اقرأ باسم ربك الذي خلق

10 May 2019

Woh Duri Jis se Masjid me Namaz Padhna Farz Ho


Alhamdulillah..

Masjid ke kareeb rahne wale par namaz bajamaat farz hai aur dur rahne wale par farz nahi hai.

Aur sunnat e Nabawi me ye faasla aazaan ki awaz sunai dene par munhasir (depend) hai. Yaani agar azaan ki awaz sunai deti hai toh Jamaat se padhna farz hoga warna nahi

Aur isse murad yeh hai ke masjid me hone wali azaan bagair loud speaker ke sunai de, aur muazzin azaan buland aawaz se de, aur Fiza me khamoshi aur sukun ho jo sunne par asar andaaz hoti hai.

۩ Abu Huraira r.a. farmate hai, ek naabina sahabi (Abdullah Ibn e Umme Maktoom) aaye, inhone apne andhe hone ka uzar pesh  karke apne ghar par namaz padhne ki ijazat chahi kyou’nke inhe koi masjid me lekar aane wala nahi tha, toh Nabi ne inko ijaazat de di, jab wo wapas chale toh Aap ne bulakar pucha, 'Kya ap Azaan sun sakte hai?' Abdullah ne kaha: Ji Haa!
Aap ﷺ ne farmaya, 'Toh fir namaz me hazir ho.’

Sahih Muslim, kitba al masajid ﴾5﴿, hadees- 1486.

۩ Ibn e Abbas r.a. se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, ‘Jo shaks azaan sun kar masjid me jamat ke liye bagair kisi uzar ke na pahonche (aur ghar me namaz padh le) to us se namaz qubool nahi ki jaati.’

Sunan Ibn e Majah, kitab al Masajid wal jamaat ﴾4﴿, hadees- 793. Ise Darussalaam ne sahih karaar diya hai.

۩ Imam Nawawi farmate hai,

Azaan ko sunne me mottebar yeh hai ke muazzin shahar ke kinare khada ho aur mahol me khamoshi aur sukun ho toh is azaan ke sunne wale par namaz bajamaat masjid me ada karna lazim hai, aur agar nahi sunta to lazim nahi.

Al-Majmoo, 4/353.

۩ Shaykh Ibn Uthaymeen se darj zel sawal kiya gaya:

'Ek shaks ke ghar se lekar masjid ke faasle ki kya koi wazahat hai?'

Shaykh ka jawab tha.

'Shariyat ne koi khaas duri ki wazahat nahi ki hai balke ye urf e aam par munhasir hai, ya fir wo duri jisse loud speaker ke bagair azaan sunayi de sake.'

As’ilah al-Baab al-Maftooh, question no. 700.

۩ Shaykh ibn Baaz ka kahna hai,

“Aam taur par bagair loud-speaker ke azaan ki aawaz sunne wale namaz bajamaat us masjid me ada karna wajib hai jis ki us ne azaan suni hai.

Lekin agar iska ghar masjid se itna dur hai ke loud speaker ke bagair azaan ki aawaz nahi aati toh us ke liye masjid me ja kar namaz bajmaat ada karna lazim nahi, balke use alag jamaat karwa kar namaz ada karne ka haq haasil hai.

Aur agar woh mushaqqat bardasht kar ke us masjid me namaz ada karta hai jahan se bagair loud speaker ke azaan sunayi nahi deti toh is me uske liye bahut zyada ajar wa sawab hai. [alfaz khamt]

Majmoo’ Fataawa al-Shaykh Ibn Baaz, 12/58.

Allah se dua hai ki wo hame sirat e mustaqeem ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Related: