اقرأ باسم ربك الذي خلق

16 Jun 2019

Barish Aur Badal ki Garaj ki Dua


۞ Barish ki Dua

۩ Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Rasoolullah ﷺ jab barish ko dekhte toh wo ye kahte,

اللَّهُمَّ صَيِّبًا نَافِعً

'Allahumma sayyiban naafi‘an'

'Aye Allah, ise nafe ka barish bana'.

Sahih al bukhari, kitab al istisqa ﴾15﴿, hadees- 1032.

۩ Aur Sunan Abu Dawud me ye alfaz hai,

اللَّهُمَّ صَيِّبًا هَنِيئًا

'Allahumma sayyiban hanee’an'.

'Aye Allah, musladaar aur barkat wali barish ata farma.'

Sunan Abu Dawud, kitab al adab, hadees- 5099. (Sahih)

Barish hote waqt barish me jism ka kuch hissa geela karna mustahab hai, jaise ke Anas r.a. se marwi hai ke, 'Ek baar ham Rasool ﷺ ke sath the toh barish hone lagi, toh Rasoolullah ﷺ ne apna (sar aur kandhe ka kapda) khol diya hatta ke barish Aap par aane lagi, toh ham ne kaha, 'Allah ke Rasool! Aap ne aisa kyu kiya? Toh Aap ﷺ ne farmaya, 'Kyuki ye nayi nayi (sidhi) apne Rab ki taraf se aa rahi hai.'

Sahih Muslim, kitab salat al istisqa ﴾9﴿, hadees- 2083.

۩ Aur jab barish shadeed ho jati toh Aap ﷺ farmaya karte the:

اَللَّهُمَّ حَوَالَيْنَا وَلاَ عَلَيْنَا ، اَللَّهُمَّ عَلَى الآكَامِ وَالظِّرَابِ ، وَبُطُونِ الأَوْدِيَةِ ، وَمَنَابِتِ الشَّجَرِ-

Allahumma ‘ala al-aakaami wa’z-ziraabi, wa butoon al-awdiyah wa manaabit ash-shajar.

Ya Allah! Hamari bajaye hamare ird gird barish nazil farma, ya Allah! Teelo, pahadiyo, waadiyo aur darakhto ke ugne ki jagah barish nazil farma.

Sahih al bukhari, kitab al istisqa ﴾15﴿, hadees- 1014.

۞ Badal ki Garaj ki Dua

۩ Abdullah ibn az-Zubayr r.a. jab baadal ki garaj sunte toh wo baat karna band kar dete aur kahte,

سُبْحَانَ الَّذِي يُسَبِّحُ الرَّعْدُ بِحَمْدِهِ وَالْمَلَائِكَةُ مِنْ خِيفَتِهِ-

Subhaan alladhi yusabbih ar-ra‘du bi hamdihi wa’l-malaa’ikatu min kheefatihi.

Paak hai wo zaat jiski tareef baadal ki garaj karti hai aur farishte bhi, uske rob (awe) ke wajah se.

Muwatta Maalik, hadees- 3641. Ise Imam Nawawi ne al-Adhkaar (235) me sahih karaar diya hai.

۞ Barish nazil hone ka waqt fazal e ilaahi, aur logo par rahmat e elaahi ka waqt hai, is waqt me khair o bhalai ke asbaab mazeed badh jaate hai, aur yeh dua ke liye qubuliyat ki ghadi bhi hai:

۩ Sahl bin Saad r.a. ki riwayat me Nabi ﷺ se manqul hai ke Aap ﷺ ne farmaya, Do (2) Duae radd nahi hoti, Azaan ke waqt ki dua aur barish ke waqt ki dua.

Mustadrak al-Haakim, hadees- 2534. Mu‘jam al-Kabeer, hadees- 5756. Ise Saheeh al-Jaami (3078) me saheeh karaar diya gaya hai.

•٠•●●•٠•

Related: Dua ki Qubuliyat ke auqaat