اقرأ باسم ربك الذي خلق

26 Jul 2019

Ahle Bait Kaun Hai?


Alhamdulillah..

Allah ki kitab aur Rasoolullah ki sunnat me in logo ko ahle bait me shumaar kiya gaya hai:

1. Nabi ﷺ Ki Biwiya Aur Unke Aulaad
2. Hasan, Hussain, Fatimah, Ali
3. Aal e Ali, Aal e Aqeel, Aal e Jafar, Aal e Abbas (Banu Haashim ibn Abd Manaaf)
4. Upar Zikr Karda Logo Ke Gulam
5. Jinhe Nabi ﷺ Ne Khud Ahle Bait Karaar Diya Ho.

۞ Nabi ﷺ Ki Biwiya Aur Unke Aulaad

۩ Allah ﷻ farmate hai,

'Aur apne gharo me qaraar se raho aur pichle jaahiliyat ke zamaane ki tarah apne banaao ka izhaar na karo aur Namaz ada karti raho aur Zakat deti raho aur Allah aur us ke Rasool ki itaat guzaari karo. Allah yahi chahta hai ke aye ahle bait (Nabi ki ghar waaliyo) Tum se woh (har tarah ki) napaki ko dur kar de aur tumhe khoob paak kar de.'

Surah Ahzaab ﴾33﴿, ayat-33.

Aur ek dusri ayat me Ibraheem a.s. ki biwi 'Sarah' ko farishte kahte hai,

'Farishto ne kaha, kya tum Allah taala ki qudrat se tajjub kar rahi ho? Aye ahle bait (ghal wali) tum par Allah taala ki rahmat aur us ki barkat nazil hui, aur yaqeenan Allah nihayat qaabil e taareef aur badi shaan wala hai.'

Surah Hood ﴾11﴿, ayat- 73.

۞ Hasan, Hussain, Fatimah, Ali

۩ Ayesha r.a. riwayat karti hai ki,

“Rasoolullah ﷺ subah ko nikle aur Aap ﷺ ek chaadar oodhe hue the jis par kajaawo ki surate ya haandiyo ki surate bani hue thi. Itne me Hasan r.a. aaye to Aap ﷺ ne un ko us chaadar ke andar kar liya. Fir Hussain r.a. aaye toh un ko bhi us me daakhil kar liya. Fir Fatimah r.a. aayi toh un ko bhi unhi ke saath shamil kar liya fir Ali r.a. aaye toh un ko bhi shamil kar ke farmaaya ke,

 'Allah chahta hai ke tum se na-paaki ko dur kare aur tum ko paak kare aye ahle bait (ghar waalo).' (surah ahzaab, ayat- 33).” 

Sahih Muslim, kitab fazail e ashaab raziAllaho tala anhum ﴾44﴿, hadees-  6261.

۞  Aal e Ali, Aal e Aqeel, Aal e Jafar, Aal e Abbas (Banu Haashim ibn Abd Manaaf)

۩ Zaid bin Arqam r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

Mai tum me do bhaari cheeze chhore jata hu. Pahle toh Allah ki kitab hai aur is me hidayat hai aur isme noor hai. Toh Allah ki kitaab ko pakde raho aur is ke paband raho. Gharz ke Aap ﷺ ne Allah ki kitab ki taraf raghbat dilayi.

Fir farmaya ke dusri cheez mere ahle bait hai. Mai tumhe apne ahle bait ke (faraiz ke) bare me yaad dilaata hu.

Hussain ne kaha ke aye Zaid! Aap ﷺ ke ahle bait kaun hai, kya Aap ﷺ ki biwiya ahle bait nahi hai? Zaid r.a. ne kaha ke biwiya bhi ahle bait me daakhil hai lekin (yaha) ahle bait se murad wo hai jin par zakat haraam hai. Hussain ne kaha ke woh kaun log hai?

Zaid r.a. ne kaha ke woh aal e Ali, aal e Aqeel, aal e Jafar aur aal e Abbas hai. Hussain ne kaha ke in sab par zakat haraam hai? Zaid r.a. ne kaha ke Haan!

Sahih Muslim, kitab fazail e ashaab raziAllaho tala anhum ﴾44﴿, hadees- 6225.

۞ Upar Zikr Karda Logo Ke Gulam

۩ Ihn Abi Rafi apne walid se riwayat karte hai ki

Rasoolullah ﷺ ne Banu Makhzum ke ek shakhs ko sadaqa jama karne ke liye muqarrar farmaya, toh Abu Rafi ne bhi un ke sath jana chaha, toh Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Sadaqah hamare liye halaal nahi hai, logo ke gulam ka bhi inhi me se shumaar hota hai.'

Sunan Nasai, kitab al zakat ﴾23﴿, hadees- 2612. Ise darussalam ne sahih karaar diya hai.

۞ Ek Ikhtilaf

Hamare ahle ilm me ikhtilaf hai ki Banu’l-Muttalib ahle bait me shumar hote hai ya nahi. Imam Shafi aur Imam Ahmad ki ye raaye hai ki ye ahle bait me shumar hote hai jab ki Imam Abu Hanifa aur Imam Malik ki ye raaye hai ki ye ahle bait me shumar nahi hote hai. Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•