اقرأ باسم ربك الذي خلق

26 Jul 2019

Baar-baar Hajj Karna

en   ur  
 Sawal 

Agar koi shakhs bila-mushakkat aur har saal hajj karne ki raghbat rakhte hue har saal hajj karta hai toh kya yeh behtar aur achha hai? Ya har do ya teen baras me ek hajj karna achchha aur behtar qadam hai?

 Jawab 

Alhamdulillah..

Allah subhana wa taala ne har Musalman baaligh aur istetaat rakhne wale shakhs par puri umar me sirf ek baar fareeza e hajj ki adaigi karna farz kiya hai, aur is se zyada jitni baar bhi hajj kiya jaye woh nawafil hajj hai aur Allah taala ke qurb o razamandi ka baais hai, aur nawafil hajj me koi tadaad  riwayat me muqarrar nahi hai.

Balke nawafil hajj toh hajj karne wale ki maali haalat aur us ki apni jismani sehet aur us ke ird gird fuqara masakeen aur azeez wa aqarib ki haalat par munhasir hai, aur umumi taur par ummat e muslimah ki maslehto aur in ke maali aur jaani taawun ke mukhtalif haalaat aur us shakhs ka hajj me jaane aur us ke apne ilaqa me hi rahne mein ummat ki maslihat aur nafaa aur is ki qadr o manzilat par munhasir hai.

Lihaza har ek shakhs ko apne haalaat dekhne chahiye ke uske aur ummat e musalimah ke liye kaun si cheez zyada nafa mand hai, lihaza use apne ilawa dusro ke nafa ko muqaddam rakhna chahiye.

Allah subhana wa taala hi taufeek bakhsne waala hai.

Al-lajnah al-daaimah lil-buhooth al-ilmiyyah wal-ifta, 11/14.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame hajj karne ki taufeek ata kare. aameen.