اقرأ باسم ربك الذي خلق

11 Dec 2019

Kisi Par Jinn Ya Nazar e badd Hone ki Nishaniya

en   -
 Sawal 

Ek shaks ko kaise malum ho sakta hai ki kisi shaks par jinn hai ya use buri nazar lagi hai?

 Jawab 

Jo Islami shariah ke mutabik ruqya karte hai unhone kuch chizo ka zikr kiya hai jisse ye malum ho sake ki kisi shaks par Jinn hai ya nahi ya wo nazar e badd ka shikaar hai. Ye hatmi alamat nahi hai aur ye kuch muamle me farq ho sakta hai, aur ye kam ya zyada ho sakta hai dusre muamle me.

۞ Kisi shaks par Jinn hone ki alamat ye hai:

1. Aazaan ki aawaz ya Quran sun kar mud jaana ya sakht radd e amal ka izhaar karna.

2. Jab us par Quran padha jata hai toh wo behosh ho jaye ya use daura padne lage ya gir jaaye.

3. Bahut saare pareshan kar dene waale khwab.

4. Akele rahna, logo se dur rahna aur ajeeb sa bartaao karna.

5. Jab us par Quran padha jata hai toh uske upar jo Jinn hai wo bol sakta hai.

۞ Aur jaha tak nazar e badd ke hone ka talluq hai toh uski alamat Shaykh Abdul Azeez al-Sadhan ne kuch is tarha batayi hai:

“Sar me dard hona, ek jagah se doosri jagah failta hua sar dard, chehre ka peela pad jaana, bahut zyada peshab aur paseena aana, bhook na lagna, jism ke kisi hisse me janjhanaahat, thand ya bukhaar ka mahsoos hona, dil ka zor zor se dhadakna, peeth ke nichle hisse aur kandho me dard, gam, besukooni ki kaifiyat, raato me neend na aana, dare-sahme rahna, bahut zyada dakaar aur jamwaahi aana aur aanhe bharna, logo se dur rahna aur tanhayi ko pasand karna, koi kaam me dil na lagna, susti aur kahili, sone ko dil karna, aise beemariya ka hona jiska koi ilaj na ho.

Ye saari ya in me se thode ka hona nazr e badd ki nishani hai. Jitni tez nazar, ya jitne zyada logo ki nazar lagi hai, utni zyada nishaniya dekhi ja sakti hai.”

alfaz khatam Al-Ruqyah al-Shariyyah.

•٠•●●•٠•

source: islamqa.info