اقرأ باسم ربك الذي خلق

8 Apr 2020

Nabi ﷺ ka Akhlaq


Allah s.w.t. farmate hai,

“Aur beshak, Aap (ﷺ) akhlaq ke buland darje par fa'iz hai.”

Surah Qalam (68), ayat- 4.

۝ Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

“Mai sirf isliye bheja gaya hu taaki mai acche akhlaq ko kamil (perfect) kardu.”

Al adab al mufrad, hadees- 273. (Sahih)

۝ Rasool ﷺ achhe akhlaq ke liye dua bhi manga karte the ye kah kar,

اللَّهُمَّ كَمَا حَسَّنْتَ خَلْقِي فَحَسِّنْ خُلُقِي

Allaahumma kamaa ḥassanta khalqee fa ḥassin khuluqee.

'Aye Allah tune mere bahari shakl ko khubsurat banaya hai toh mere akhlaq ko bhi achha kar de.'

Sahih ibn Hibban (3/239). Ise al-Albani ne Irwa al-ghaleel (75) me sahih karaar diya hai.

۝ Hazrat Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Khadija r.a. ne Rasoolullah ﷺ se farmaya,

'Khuda ki qasam Aap ko Allah kabhi ruswa nahi karega. Aap rishtedaro se sila-rahmi karte hai, Bekaso ka bojh uthate hai, Mufliso (gareebo) ki madad karte hai, Aap dil khol kar mahmaan nawazi karte hai aur mushkil ke waqt me Aap zaruratmando ka saath dete hai.'

Sahih al bukhari, kitab al wahee (1), hadees- 3.

۝ Masruq riwayat karte hai, ham Abdullah bin Amr r.a. ke sath baithe hue the jo hame hadees suna rahe the. Unhone kaha Allah ke Rasool ﷺ na to fahish the aur na hi mutafahhish, aur wo (RasoolAllah) kaha karte the ki tum maise sabse behtareen wo hai jo akhlaq me sabse achha ho.

Sahih al-bukhari, kitab ul adab (78), hadees- 6035.

۝ Anas r.a. riwayat karte hai, "Maine das saal tak Rasool ﷺ ki khidmat ki. Unhone mujhe kabhi 'uff' tak nahi kaha aur unhone mujhe kabhi kisi chiz ke bareme nahi toka ki tumne ye kyu nahi kiya, jo kaam maine nahi kiye ya fir us chiz ke bareme ye nahi kaha ki tumne ye kyu kiya, jo kaam maine kiye the.

Al Adab al Mufrad, hadees- 277. (Sahih)

۝ Abdullah riwayat karte hai,

Jaise mai (us waqt) aan hazrat ﷺ ko dekh raha hu ap ek paigambar (nooh a.s.) ki hikayat bayaan kar rahe the, un ki qaum waalo ne unko itna maara ki lahu-luhaan kar diya, wo apne munhh se khoon pochte the aur yu dua karte jaate, parwardigaar meri qaum waalo ko baksh de wo naadaan hai.

Sahih al Bukhari, kitab us titabatil murtadeena (88), hadees- 6929.

۝ Anas r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ na gaali dete the aur na fahash alfaz istemal karte the aur na laanat-malaamat karte the, agar ham me se kisi par naraz hote toh itna farmate ki ise kya ho gaya hai, iske peshani me khaak lage (arabi muhawra).

Sahih al Bukhari, kitab al adab (78), hadees- 6031.

۝ Jabir r.a. kahte hai, 'Kabhi aesa nahi hua ki Rasoolullah ﷺ se kisi ne koi cheez maangi ho aur aapne uske dene se inkaar kiya ho.'

Sahih al-Bukhari, kitab al adab (78), hadees- 6034.

۝ Abdur Rahman bin Abi Laila riwayat karte hai, Nabi ﷺ ke paas se ek jahanzah guzar toh Aap us (janaze) ke liye khade ho gaye. Fir Aap ﷺ se kaha gaya ki ye toh Yahudi ka janazah tha. Aap ﷺ ne farmaya, 'Kya us me jaan nahi hai'. (Yaani ki kya usme rooh nahi thi)

Sahih al Bukhari, kitab al janaiz (23), hadees- 1312, 1313.

۝ Ibn Jaz r.a. riwayat karte hai,

'Maine Rasoolullah ﷺ se zyada kisi ko muskurate hue nahi dekha'

Jamia Tirmizi, kitab al manaqib (49), hadees- 3641. Ise darussalaam ne hasan karaar diya hai.

۝ Abdullah bin Abi Qatada riwayat karte hai ki mere walid ne kaha ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

'Mai namaz der tak padhne ke iradah se khada hota hu, lekin kisi bachhe ke rone ki aawaz sun kar namaz ko halki (shorter) kar deta hu, kyuki uski maa ko (jo namaz me shareek hogi) taqleef me daalna bura samajhta hu.'

Sahih al Bukhari, kitab al aazaan (10), hadees- 707.

Allah se dua hai ki wo hame amal ki taufeek ata kare. aameen.

•٠•●●•٠•

Related: Achha Akhlaq - Deen Ki Ek Nayab Chiz