اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 May 2020

Sayyid al Istighfaar


Insan fitratan kamzor hai. Apni kamzoriyo aur kuch deegar wujuhat ki bina par gunah kar baithta hai. Agar insan ka zameer zinda ho toh use sharmindagi zarur hoti hai. Fir use Allah taala ki baargah me fauran tawba karni chahiye aur dobara gunah ke qareeb bhi na jaye. Ye Allah ki rahmat hai ke Allah ne hame muafi maangne ki mukhtalif kalimaat sikha diye hai aur apne bando ko bakhshish maangne ka mauqa diya hai.
Shaitan insan ka dushman hai woh insan ko tawba karne me deri karwata rahta hai hatta ke insan ki maut ka waqt aa jata hai aur tawba ka darwaza band ho jata hai.
Gunah sarzad hone ke fauran baad hi tawba kijiye, na jane kab hamari aakhri ghadi aa jaye aur ham gafil ho.

۩ Shaddad bin Aus r.a. riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya,

Allah se maghfirat maangne ka sabse behtaraeen tareeka Sayyid al Istighfaar hai. Jis ne is dua ke alfaz par yakeen rakhe hue dil se inko kah liya aur usi din us ka intekal ho gaya shaam hone se pahle toh wo Jannati hai aur jis ne is dua ke alfaz par yakeen rakhte hue raat me in ko padh liya aur fir uska subah hone se pahle intekaal ho gaya toh wo Jannati hai.

Sahih al Bukhari, kitab ad dawaat (80), hadees- 6306.

Dua

اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي لا إِلَهَ إِلا أَنْتَ خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَيَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي فَاغْفِرْ لِي فَإِنَّهُ لا يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلا أَنْتَ-

Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta khalaqtani wa ana abduka, wa ana ala ahdika wa wa'dika mastata'tu, A'uzu bika min sharri ma sana'tu, abu'u laka bini'matika 'alaiya, wa abu'u laka bizanbi faghfirli fainnahu la yaghfiru azzunuba illa anta.

Aye Allah! Aap mere Rab hai. Aap ke siwa koi mabood nahi. Ap ne mujhe banaya aur mai Aap ka banda hu. Aur mai aap se kiye hue Ahed aur waade par qayam hu, apni taaqat ke mutabik.
Aap ki panah chahta hu bure kaamo ke wabaal se jo mai ne kiye hai. Mujhe iqrar hai us ahsaan ka jo ap ka mujh par hai aur mujhe aetaraaf hai apne gunaho ka, pas baksh de mere gunah kyu ki koi nahi bakshta gunah Aap ke siwa.

•٠•●●•٠•