اقرأ باسم ربك الذي خلق

2 May 2020

Family Planning | Operation Karwana | Nas-bandi | Abortion | Pills

Assalamualaikum w RahmatUllahi w brakatuhu..

Islam logo ko Shadi biyah aur Aulad paida karne ki targheeb deta hai taake Ummat e Muslimah ki taadaad me izafa ho, Aur Nabi ﷺ  ko Qayamat ke din diger tamam aqwam ke saamne fakhr ho.

۞ Bachhe na ho isliye Operation karwa lena

Nikah me Shariah ka ek maqsad ye hai ke bachhe paida karein aur nasal e insani ko mustaqil banaye.

Lehaza aisa koi bhi kaam jaiz nahi hai jo mustaqil taur par aulad paida karne se bachaye, siwaye zarurt ke muamlat me.

۩ Kis Surton me Operation ki Ijazat hai

Agar Doctors ke mutabik zyada bachhe paida karne se aurat ko nuqsan pahonchega, Ya uski bimari me izafa ho jayega, Ya ye andesha hai ke pregnancy ya delivery aurat ki maut ka sabab banegi toh fir shauhar ki razamandi (permission) ke sath hamal (pregnancy) rokna jaiz hai.

Shaykh Ibn e Baaz r.h. se ek aisi aurat ke bare me pucha gaya jisne das (10) bachho ko janam diya tha aur kisi aur hamal (pregnancy) ki wajah se use nuqsan pahunchega to wo aurat shauhar ki ijazat se operation karwa sakti hai aur apne nalko (tubes) ko bandhwa sakti hai.

Dekhye temporary taur par hamal (pregnancy) rokna aur mukhtalif wasail (sources) ka istemal karna zarurat aur sharait ke lehaz se haram nahi hai.

Dekhye Mazhab e Islam bahut hikmat waala mazhab hai. Aur jo bhi hame hukum diya jata hai aur jis baat se roka jata hai usme hamara hi fayeda hota hai.

Wo log jo nasbandi karwa lete hai unka ye amal jaiz nahi hai balke haram hai, Kyuke isme insan ka bachha paida karne ki salahiyat aur quwwat ko khatam kar diya jata hai.

Aksar aisa bhi hota hai ke Maa baap nasbandi karwa baithe hai aur jo unke bachhe the unka inteqal ho jata hai toh is tarha toh wo hamesha ke liye aulad se mahrum ho jate hai.

Aur kabhi aisa bhi hota hai ke aurat ne nasbandi karwali aur uske shauhar ka inteqal ho gaya ya use Talaq ho gayi aur us Aurat ne dusri shadi ki aur dusra shauhar apni aulaad ka khwahishmand ho,

Ya ye bhi ho skta hai ke mard ne nasbandi karwali aur uski biwi ka inteqal hogaya ya talaq ho gayi aur phir wo dusri shadi karta hai aur ab nayi biwi aulad ki khwahishmand ho.

۞ Temporary Taur Par Bachho ki Rok-tham ke Mukhtalif Tarike Aur Unki Ijazat

Ek mahdood (limited) muddat tak hamal ki rok tham ke zaraaye (sources) ka istemal ki ijazat hai, Is shart par ke ye nuqsandah asraat se paak ho.

1- Injection Lagwana

Aap temporary taur par Pregnancy ki rok tham ke liye Injection ke bare me kisi Qabil e Aetemad Doctor se ruju kar sakti hai.

2- Birth Control Pills ka Istemal

Jab tak Aurat in 2 sharait par puri nahi utarti use pills ke istemal ki ijazat nahi hai.

1- Pregnancy se usko Jismani kamzori ya bimari ka khatra hoga ya har saal Pregnancy bardasht na hone ki wajah se ye nuqsandah sabit ho.

2- Shauhar ki ijazat ke bagair Pills ka istemal jaiz nahi jab ke shauhar bacche ka khwahishmand ho.

In do sharait ke pura hone par Pills ke istemal ki ijazat hai magar permanently nahi.

Aur Doctors ke mutabik Pills ka zyada istemal aurat ko andruni (internal damage) taur par bahut nuksan pahuncha sakta hai.

3- Condom ka Istemal Karna

Condom Istemal karne ki ijazat hai jab tak isse koi takleef na ho aur dono shauhar aur biwi ki razamandi shamil ho.

4- Azl karna (ejaculating outside the vagina)

Hazrat Jabir r.a. farmate hai ke ham log nuzul e Quran ke zamane me 'Azl' karte the. (Yani inzal ke waqt aurat se alag ho jate the)

Sahih al Bukhari, kitab un nikah (67), hadees- 5208, 5209. 

Muslim Sharif me Itna aur hai,

'Ye baat Nabi ﷺ tak pahunchi to Aap ﷺ ne Mana nahi kiya.'

Sahih Muslim, kitab un nikah (16), hadees- 3561.

'Azl' (cell discharge) ke mutallik aur bhi ahadees hai jisse iski ijazat ka pata chalta hai.

۩ Shaykh Ibn Taymiyyah farmate hai,

'Kuch Ulema ke mutabik ye amal haraam hai magar char Imam ke nazdeek ye jayez hai aur ye bhi ke biwi ki ijazat aur marzi ke khilaf aisa na kare (kyunki isme uski haqtalfi hai). Aur Allah sab se behtar janta hai.'

Majmoo’ al-Fataawa, 32/110.

Musalmano ko ye karna chahiye ke wo zyada se zyada bachhe paida karne ki koshish kare, kyunke ye Nabi ﷺ ka Hukm hai ke 'Shadi usse karo jo Muhabbat karne wali aur zarkhez (fertile) hai, Kyun ke mujhe aqwaam ke saamne tumhari badi tadad par fakhr hoga.'

Sunan Abu Dawood, hadees- 2050 | Hasan Sahih

Wo log jo gareebi ke dar se apni aulaado ko maar daalte hai (abortion, etc) toh aise logo se Allah s.w.t. farmate hain ke,

'Aur Gurbat ke khauf se apne bachho ko mat maaro. Ham unke sath sath Apko bhi faraham karenge. Yaqinan unka katal bahut bada gunah hai.'

Surah Isra (17),  ayat- 31.

۩ Shaykh ibn e Jibreen farmate hain,

'Hamal (pregnancy) ke khatme Ya rok tham ke liye tibbi ilaj karna jaiz nahi hai siwaye zarurt ke muamlat me,
Jab Doctors ne sabit kar diya ke wiladat (delivery) se uska nuqsan hoga ya iski bimari zyada badh jayegi ya khadsha hai ke wiladat ki wajah se maut waqaye hojaygi.
Lekin ye zaruri hai ke shauhar hamal ke khaatme ya rok tham ke liye ijazat de, Fir jab uzar (bimari) khatam ho jaye toh aurat ko mamool par lautna chahiye.'

Fataawa al-Mar’ah al-Muslimah (2/977).

۩ Aur Allah par Tawwakal karo agar tum waqai Momin ho

Surah Maida (5), ayat- 23.

Allah s.w.t. hame haraam se mahfooz rakhe aur halaal kaam karne ki taufeeq ata farmaye.

Ameen Ya Rabbul Aalameen

•٠•●●•٠•

Prepared by:- A. Sayed