اقرأ باسم ربك الذي خلق

30 Nov 2022

Allah Ki Pakad Bahut Sakht Hai

hi   

Allah farmate hai,

'Beshak Tumhare Rabb ki Pakad badi sakht hai.'

Surah Buruj (85), ayat- 12.

۩ Hazrat Abu Hurairah r.a. ne bayaan kiya ke hum Nabi ﷺ ke saath khaibar ki ladayi ke liye nikle. Is ladayi mein hume sona, chaandi ganimat mein nahi mila tha balke dusre amwaal, kapde aur samaan mile tha. Fir Bani ad-Dubaib ke ek shakhs Rifa'a bin Zaid naami ne RasoolAllah ﷺ ko ek gulaam hadiya (tohfa) me diya, ghulam ka naam Mid'am tha.

Fir RasoolAllah ﷺ waadi-e- al-Qura ki taraf mutawajja huye aur jab aap waadi-e- al-Qura mein pahuch gaye to Mid'am ko jab ke wo Aap ﷺ ka kijaawa durust kar raha tha, ek anjaan teer aa kar laga aur uski maut ho gayi.

Logon ne kaha ke jannat use mubarak ho, lekin Rasool ﷺ ne farmaya ke hargiz Nahi!, Us zaat ki qasam jiske haath mein meri jaan hai, wo kambal jo isne taqseem se pahle khaibar ke maal-e-ganimat mai se chura liya tha, wo is par aag ka angaara ban kar jal raha hai.

Jab logon ne yeh baat suni to ek shakhs chappal ka tasma ya do (2) tasme le kar Aap ﷺ ki khidmat mein haazir hua, (matlab jo bina ijazat liya tha wo wapis le aya). Aap ﷺ ne farmaya ke yeh aag ka tasma hai ya do (2) tasme aag ke hai.

Sahih al-Bukhari, Book of Oaths and Vows, hadith- 6707.

Gaur karne ki baat hai ki Allah ne us sahabi e rasool ko nahi chhora jo Aap ﷺ ki khidmat karta tha toh ap aur hamari kya baat hai agar Allah pakadne par ajaye toh. Isi liye Allah se hamesha darte rahna chahiye aur uske mana kiye hue kaam se door rahna chahiye.

•٠•●●•٠•