اقرأ باسم ربك الذي خلق

31 Dec 2017

Hijama- Ek Sunnat Ilaaj


KOi Bimari Laa Ilaaj nahi. ALLAH SWT ke Fazal se har Bimari ka Ilaaj mOujud hai.

Nabi ﷺ ne Farmaya ALLAH Ta'ala ne Duniya me kOi Bimari aisi nahi utari jiski Dawa aur Shifa mOujud na ho.[Sunan Abu Daud, 28:3846].

☻HIJAMA Ek Sunnat Ilaaj☻

• Hijama ek unani ilaaj hai jis ke zariye jism se kharaab khoon nikaal diya jaata hai baghiar koi dard, dawa aur side effect ke.

• Hijama sunnat e Rasool SAWS aur Unani tareeqa e ilaaj hai.

• Hijama karwana ya lagwana Huzoor SAWS ki sunnat hai yani khud Aap SAW hijama karaya karte aur apni Ummat ko bhi uski targheeb bhi dete.

Irshaad e Nabawi SAWS hai “ behtareen ilaaj jisay tum karte ho hijama hai.( Sunan Abi Dawud 3857 )

•Aur Hijama mein 72 bimaariyon se najaat milti hai ( TABRAANI )

•Aur Hijama ke liye chaand ki 17, 19 , 21 tareeq (date) ikhteyaar karayga use har bimaari se najaat aur shifa hogi.In shaa ALLAHH. ( Sunan Abi Dawud 3861 (Hasan) )

۩ Hazrat ibne Abbas (rz) Huzur akram s.a.w.sallam se riwayat karte hai, Aap s.a.w.sallam ne farmaya shifa teen chizo me hai,1) Hijama ke zariye cut lagane me. 2) Shahed ke istemaal me. 3) Aag se daagne me, tahumm mai apni ummat ko aag ke daagne se rokta hun.

(Sahih al Bukhari 5781)

۩ Hazrat Jabir (r.z) Huzur akram s.a.w.sallam se riwayat karte hai, Aap s.a.w.sallam ne farmaya agar tumhari dawao me kisi dawa me shifa hai toh Hijama ke zariye cut lagane me hai, yaa shahed ke istemaal me, yaa phir aag se daagne me ,(basharteke) ye daagna oos marz ko raast aajaye, lekin mai aag se daagne ko pasand nahi karta.

(Sahih al  Bukhari 5783)

۩ Hazrat Anas (rz) farmate hai ke Rasool ﷺ ne farmaya :

Sabb se bahetreen dawa jissay tumm ilaaj karo who Hijama lagwana hai aur qustool bahri (samandari jadi buti) se ilaaj karna hai. (Sahih al Bukhari 5797)

۩ Hazrat Jabir (rz) ne hazrat Muqanna(rz) ki iyaadat ki aur farmaya ke jab tak tum hijama na lagwalo, mai wapas nahi jaonga. isliye ke maine nabi kareem s.a.w.sallam se suna hai k Hijama lagwane me shifa hai

(Sahih al Bukhari 5797)

۩ Hazrat Samrut bin Jundabb (rz) farmate hai ke Huzoor akram s.a.w.sallam ke paas bani Fazara qabile ka ek dehati aaya. Us waqt Aap s.a.w ko ek Hijama karne wala Hijama kar raha tha, pass Hijama karne wale ne blade se cut lagaya tov dehati ne (tajjoob se ) poocha. Aye Allah k rasool ! yeh aap kiya kar rahe ho ? Aap s.a.w.sallam ne irshaad farmaya yeh Hijama hai, yeh un sabb ilaajo se bahetar hai jo log ikhtiyaar karte hai.

(rawa an-nasaai)

۩ Hazrat Maalik bin Saasa (rz) famate hai k Nabi akram s.a.w ne farmaya ke Meraaj ki raat mera farishto ki jiss jamaat par bhi guzar hua ,unhone mujhe Hijama se ilaaj karane ko kaha. (Tibrani)

۩ Hijama ke zariye ilaaj karne se inn bimario me faida hota hai.

1) Khaas tor se sir ka dard
2) Dipression
3) Khandoh ka dard
4) Blood pressure
5) Kaan ke andar aawaaze aana
6) Saher (jaadoo)
7) Ghutno ka dard Tenshion ki wajah se sir dard
8) Shaqiqa (migraine)
9) Gurdo ka dard
10) Sir me chakkar aana
11) Kamar ka dard
12) Falej
13) Thakaan
14) khoon ki gardish ko bahetar karne k liye
15) pet ka dard
16) sine ka dard
17) Khansi
18) Mardaana taqat ke liye
19) Qabz
20) B.P
21)T.B
22) Aurton/Mardon ke poshida amraz
23) Cancer
24) Dil ke Amraz aur bahut si badi chhoti bimariya jinki lambbi fahrist hai,lehaza tamam Amraz ka Ilaaj Hijama me mOujud hai.Subhan Allahhh.

Humne yahan Ahadees ke hawale diye hain. Aur ye aisi Sunnat hai jo mit rahi hai, Kuch logon ko iske baare me bilkul bhi pata nahi hai. Hum sab ko is Sunnat ko phir se aam karna hai. Iski hum sab ko koshish karni hai in shaa Allah.

Aur ye dekhiye ke China walo ne is sunnat ko "chinese therapy" naam de kar is se logon ka ilaj kar rahe hai.for mOre details see-

https://iqrakitab.files.wordpress.com/2017/03/15g7acl.gif

Zyada se zyada is paigam ko aam karne ki koshish kare.

Wallahu Aalam-

Prepared by:- A.Sayed
Read More »

Mazaar Par Chadar Chadhane Ki Haqiqat


Aj hamare bich ek galat rasam ne jageh leli hai ke kuch log Chadar chadhane ki mannat mangte hain aur fir mazar pe jakar chadar chadhate hain aur chadaron ki building khadi kar dete hain.

Kuch ghanton ke baad hi woh chadar wahan se ghayab hokar kisi dukan me bech diya jata hai aur aisa karne wale naam nihad Mujaawar hain jo khud ko mazar ka thekedar samjhte hain aur woh chadar ka paisa unki jeb me chala jata hai.
Ek tarah se ajkal mazar in Mujaawar ke liye dhande ki jagah ban gayi hai jo apne kirdar se tamam Muslim Ummah ko badnam karte hain.

Aaiye dekhte hai ki Islam is amal ko kya kahta hai:

Quran wa Sunnah ki ek bhi ayat ya riwayaat nahi hai jo kahti hai ki ek Muslim ko kabr par chadar chadhana chaiye. Balki ye amal haraam hai. Afsos ki baat hai ki aj kuch log is amal ko ibadat samajh kar kar rahe hai jab ki unke ulema aur unke fiqah me khud ye amal na-pasandida aur galat hai jiski koi sharai haesiyat nahi hai.

Qadhi Ibrahim(Hanafi ulema) kahte hai: "Ajkal kuch gumraah log kabr par Hajj karne lage hai aur unhone tarika(rasm) bana liye hai isko. Aur un muamlat me jo unke mazhab aur shariat ne mukhalifat ki hai wo ye hai ki log apni be-basi aur aajzi zahir karte hai mazaro ke paas aur waha chiraga karte hai. Waha par CHADAR CHADHANA, unke liye ek Mujaawar takweez karna, unko chumna, aur unse rizk aur aulaad mangna, ye saare amalo ka koi dalail nahi hai Shari'ah Islamiyyah me"
 [Ja' al-Haq p.302]

Allamah Haskafi al-Hanafi(Hanafi ulema) kahte hai: "Jo chize aur nazr-niyaz qaum karti hai qabr ke pass,chahe wo  nagad(cash) ya Tel(oil) ki shakal me ho to ye aam sahmati me ye baatil aur haraam hai."
[Durr e Mukhtar v.2, p.139]

Aur sath sath IMAM ABU HANEEFA KA AQIDAH bhi kuch aese hi hai. Imam Abu Haneefa farmate hai: "Ambiya wa Awaliya ke Qabron ko Sajda karna,Tawaf karna, Nazrane chadana Haram wa Kufr hai."

(Durr E Mukthar Jild-1 page No : 53)

Hazrat Ibn Abbas Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollall ah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabron par masjid bananey walo aur us par chirag karney walon par bhi laanat farmayee hai

Sunan Abu Dawud, vol 2,1459.

Ab itni wazeh dalail hone ke ba-wujud bhi jo nahi manta hai to uske aankh par nahi balki dil par parda chadha hua hai. Allah pak farmate hai
Wo aankh nahi hai jo andhi hoti hai balki wo dil hai jo andhi hoti hai. 
Surah 22 ayat 46.

Allah سبحانہ و تعا لی hum tamam musalmano ko shariat ke mutabik zindagi guzarne aur jahilana rasmo riwaj se bachne ki taufiq inayat farmaye-aameen..

Prepared by:- Faisal Khan
Read More »

Imam Bukhari Aur Imam Muslim (Raheemaullah)


۩ IMAAM BUKHARI (raheemaullah)

Agar Quran ke baad kisi kitab ka darja aata hai to wo hai Imam Bukhari ki saheeha ka jise imam Bukhari ne riwayat kiya hai. Imam Bukhari ek bade Imam, ulema, Ameer hai unke jo hadith par eeman rakhte hai, Abu ‘Abd-Allaah Muhammad ibn Ismaa’eel ibn Ibraaheem al-Bukhaari. Inki wiladat Bukhaara me hui thi 194 AH me, aur wo yateem hi bade hue. Inhone bachpan me hi apni roshni kho di thi fir Allah ne inko roshni ata kari. Wo bachpan se hi hadith yaad karne lage the aur wo gani the isme, Allah inpar apni rahmat kare.

Imamo ne inki achi yad-dasht, durustgi, Ilm, Riazat aur ibadat ki tashdeek ki hai. Imam ahmad r.a. ne inse kaha: Khorasan(ek jagah ka naam hai) ne inki tarha kisi ko nahi banaya hai.
Ibn Khuzaymah r.a. ne kaha: Maine inki tarha aasmaan ke saye ke tale kisi ko nahi dekha hai jinhe inse zyada RasoolALlah ke hadith ka ilm ho aur jisne Inse zyada hadiths yaad ki hai.

Al- Tirmidhi r.a. kahte hai: Maine Iraq ya Khorasan me kisi ko  nai dekha hai jiske pas hadith ki tankeed, tarikh aur sanad ka Imam bukhari se zyada ilm ho.

Al-Bukhari ke pas ek hazar se zyada shaykhs the jinse ye mulko aur shahro me mile jaha inhone safar kiya. Unmese:  Imam Ahmad ibn Hanbal, Hammaad ibn Shaakir, Makki ibn Ibraaheem aur Abu ‘Aasim al-Nabeel the.

Jinhone Imam bukhari se riwayat kiya wo ye the:

Muslim ibn al-Hajjaaj jo ke al-Saheeh ke likhne wale the; al-Tirmidhi; al-Nasaa’i; Muhammad ibn Nasr al-Marwazi;  aur bhi boht se the.

Al-Bukhari ne boht se kitabe likhi thi, kuch mashhoor ye hai:  al-Jaami’ al-Saheehal-Tareekh al-Kabeeral-Adab al-MufradKhalq Af’aal al-‘Ibaad, Juzz Raful yadain.

Unki wafat nao(9) Eid al-Fitr, 256 AH. ko hui thi.

۩ IMAM MUSLIM (raheemaullah)

Ye ek bade Imam, hafiz aur ulema the,  Abu’l-Husayn, Muslim ibn al-Hajjaaj ibn Muslim al-Nisaboori. Inki wiladat 204 ya 206 AH me hui thi. Ye Imam Bukhari ke student the.

Unhone apna waqt hadith me waqf kiya. Aur inhone hadith ki talaash me boht se safar kiye aur kadi mehnat ki is field me jab tak ke wo boht mashhoor ho gaye. Inke ham-asar inki fazaail ki tashdeek karti thi. Inke shaykh  Muhammad ibn Bashshaar (Bandaar) ne kaha: Duniya ke char Hafiz hai: al-Ray ke Abu Zar’ah, Nisapur ke Muslim, Samarqand ke ‘Abd-Allaah al-Daarimi, aur Bukhaara  ke Muhammad ibn Ismaa’eel the. 

Ahmad ibn Salamah al-Nisaboori ne kaha: Maine Abu Zar’ah aur Abu Hatim ko dekha ki woh Muslim ibn al-Hajjaaj ko ilm e saheeh ke binah par us zamane ke baki shaykhs par Fazilat de rahe hai.

Ibn ‘Abd al-Barr ne inke bare me kaha: Wo sare ek raae pe razi the unke azeemiyat, kiyadat aur buland martaba pe.

Inke shaykhs the: Ahmad ibn Hanbal, al-Bukhaari, Yahya ibn Yahya al-Teemi, Ishaaq ibn Raahawayh, Yahya ibn Ma’een, Abu Bakr ibn Abi Shaybah  aur boht se dusre.

Inke student the:  Abu Haatim al-Raazi, Abu ‘Eesa al-Tirmidhi, Ibn Khuzaymah, Abu ‘Awaanah al-Isfaraayeeni and Makki ibn ‘Abdaan.

Inki Kitabe: al-Jaami’ al-Saheeh; al-Kuna wa’l-Asma’;al-Tabaqaat; al-Tamyeez; and al-Munfaridaat wa’l-Wahdaan

Inki wafat Rajab me 261 AH me hui thi.
Read More »

Khate Waqt Salam Karne Ke Ahkaam


Khate waqt salam karne me koi harj nahi hai, naahi sunnah me aisa kuch hai jo kahta hai ki ye amal ki ijazat nahi hai. Ye door tak faili hui afwah hai ki khane ke waqt salaam nai karna chaiye (“la salaam ‘ala ta‘aam”) ya salam ka jawab nai dena chaiye.

Al-‘Ajlooni (raheemaullah) ne Kashf al-Khafa’ me kaha: (Ye jumla) Khane ke waqt salaam nahi karna chaiye ye hadith nahi hai. End quote.

Kuch ulema ne kaha hai ki khana khate waqt hath nai mila sakte lekin salaam karne me koi harj nai hai.

Imam Nawawi (raheemaullah) al-adhkaar me farmate hai. Iski ek misaal kuch aisi hai ki agar koi kha raha ho aur us ke muh me niwale ho, agar koi use salam karta hai to wo salam ke jawab ka mustahik nahi hai. Lekin agar wo khana kha raha ho aur uske muh me niwale na ho to usko  salam ka jawab dena chaiye.

Shaykh ‘Abd al-Rahmaan al-Suhaym (raheemaullah) kahte hai: Ye kalaam logo ki baate hai aur koi hadith nahi hai. Iska matlab sahih hai agar ye hath milane ke pashemanzar me kaha gaya hai lekin agar ye sirf salam kahne ke bareme me hai to ye mana nai hai jab koi kha raha ho. End quote.


Aur Allah sab se behtar janta hai.
Read More »

Kya Farz Namazon Ke Baad Ijtemaai Dua Karna Biddat Hai ?


Farz Namazon Ke Baad Ijtemaai Dua Karna Beshak Bid'at Hai, Aur Jo Amal Imam ul Ambia Muhammad Rasoolallah ﷺ Se Sabit Nahi To Ham Kaise Use Sunnat Samjh Kar Karlenge?

Namaz Ke Bad Ijtemai Dua Ki Shara'i Hesiat:

۩ Imam Malik: "Yeh Amal Biddat Hai". (Fath Ul Bari 326/2)

۩ Ibn E Qayyam: "Farz Namaz Ke Baad Ijtemai Dua Ap Salalahu Alahi Wasallam Ka Tareeq Nahi Tha". (Zaad Ul Maad 257/1) 

۩ Anwar Shah Kashmiri Deobandi: "Dua Ki Ijtemai Surat Jiska Ajkal Riwaj Hai Sabit Nahi" (Al Arf Al Shazi P#98)

۩ Saudi Majlis Ifta: "Hame Kisi Aisi Daleel Ka Ilm Nahi Jo Is Amal Ki Mashroiat Par Dalalal Karti Ho". (Alfatawa Alislamia 290/1)

۩ Ibn-e-Taymiya: "Yeh Amal Biddath Hai (Majmu Al Fatawa 519/22).

Namaz Ke Baad Ijtamai Dua Karna Biddat Hai Balkay Hamein Namaz Ke Baad Masnoon Azkaar Karna Chaiye Jo Ke Sunnat Se Sabit Hai. Mohammad ﷺ Ne Farmaya Ki Meri Sunnat Aur Khulfa Rashidin Ki Sunnat Ko Daanto Mazbuti Se Pakde Rahna Aur Har Nayi Chiz Jo Deen Me Nikali Jaye Usse Bachna Kyuki Har Nai Chiz Ek Gumrahi Hai.

[Musnad Imam Ahmad (4/126) And At-Tirmidhee (2676)].

Maulana Abdur Rahman Mubarakpuri r.h. Kahte Hain Ki Agar Koi Personally (Akela) taur par Namaz Ke Baad Haath Uthakar Dua Maang Leta Hai To Usme Koi Harz Nahi, Imam Ibne Taymiya Rh, Ibn E Qaiyyam Rh, Ibne Hajar Rh, Aur Bahut Se Muhaqqeen Ulma Ne Farz Namaz Ke Baad Mashoor Ijtemaai Dua Ka Inkaar Kiya Hai Aur Ise Bid'at Kaha Hai.

Aap ﷺ Ne Farmaya:- "Jald Hi Meri Ummat Me Aise Log Paida Honge Jo Paani Ke Istemaal Me Aur Dua Karne Me Hadd Se Aage Badh Jayenge".

Sunan Abu Dawood 1480, Imam Haakim Aur Imam Zahabi Ne Ise Sahih Kaha Hai.

Ijtemaai Dua Ki Daleel Me Bayaan Ki Jaane Waali Tamaam Riwayate Zaeef Hai... Allah Swt Hume Bidat Se Bachne Aur Sunnato Par Chalne Ki Taufiq Ata Farmaye.

•٠•●●•٠•

Prepared By:- A.Sayed.
Read More »