اقرأ باسم ربك الذي خلق

5 Jun 2018

Mayyat Ka Kafan


۞ Mard Ka Kafan

Afzal ye hai ke mard ko teen kapdo me kafan diya jaye, jisme mayyat ko lapet diya jayega jaise ki RasoolAllah ﷺ ko kafan diya gaya tha.

۩ Ayesha r.a. farmati hai: "Rasool Allah ﷺ ko teen (3) Yamani safed kapdo’n mein kafan diya gaya tha, aur is mein na hi kurta tha aur na amaama."

Sahih al Bukahri: al Janaaez, hadith- 1264. Sahih Muslim: hadith-941.

۩ Ibn Hazm kahte hai: Allah apne Nabi ke liye afzal tareen haalat hi pasand farmata hai. End quote.

Al-Muhalla (5/118).

Lihaza Behtar yahi hai ki Teen kapdo me kafan diya jaye lekin do (2) kapdo me aur ek (1) kapde me bhi kafan dene ki ijazat hai .

Mayyat ko kafan dene ke liye kamazkam kafan ki miqdaar jis se Takfeen (kafan) ka fareeza ada ho jaye woh ye hai ke Ek itna bada kapda ho jisse saara jism dhaka ja sake, ye raaye Imam Abu Hanifa, Imam Ahmad ki hai aur Imam Maalik ki do raaye mai se ek raaye hai.

Inki raaye ki Daleel ye hadith hai:

۩ Khabbab bin Al-Art r.a. riwayat karte hai jab Mus'ab bin 'Umar r.a. ko shaheed kiya gaya, tab unko kafan dene ke liye sirf Ek (1) chadar thi, Toh jab hum inka sir dhakte to paon bahar ho jate, aur jab paon dhakte to sir nanga ho jata. Tab hamein Nabi ﷺ ne farmaya, "Chadar se inka sir dhak do, aur paon par 'Idhkhir' (ek kism ka paudha) daal do."

Sahih al Bukhaari, hadith-4047. Sahih Muslim, hadith- 940.

۩ Shaykh Ibn ‘Uthaymeen farmate hai,

"Is baat ki daleel ke kafan dete hue mayyat ka mukammal jism ko dhanpna wajib hai, (isme) yeh hai ke Jin Sahaba karaam ke liye kafan ke kapde kam the unke bare me Nabi ﷺ ne sir se kafan shuru karne ka hukum diya, ke sir ko dhak den, aur kadam (pair) par Idhkhir jo ek tarah ka paudha hai daal den.

Aur agar koi cheez bhi maujud na ho, maslan aag mein jalne ki wajah se uskay kapray tak jal jayen, aur uskay ilawa koi kapra bhi mayassar na ho to aisi mayyat par ghaas (ya paudhe) wagaira daal kar use kisi cheez se bandh diya jaye, aur agar yeh bhi nah ho sakay to usay waise hi dafan kardiya jaye kyun ki farmaan e baari taala

فَاتَّقُوا اللَّهَ مَا اسْتَطَعْتُمْ

Apne istitaat ke mutabik Allah se darte raho. [al-Taghaabun 64:16]."

Al-Sharh al-Mumti’, 5/225.
__________________________________________________________________________

۞ Aurat Ka Kafan

Tamaam Fiqh ke Mazhab (Hanafi, Maaliki, Shaafa’i, Hanbali aur Zaahiri), is baat par muttafik hai ki Aurat ko paanch kapdo me kafan dena Mustahab hai.

Dekhe: Badaa’i’ al-Sanaa’i’ (2/325); Mawaahib al-Jaleel (2/266); al-Majmoo’ (5/161); al-Mughni (3/390) and al-Muhalla (5/120).

Unki Daleel ye hai:

۩ Qa'if as-Saqafiyyah Ki beti Layla r.a. kahti hai: Mai un aurto me shamil thi jinhone RasoolAllah ﷺ ki beti Umm Kulsoom r.a. ko unke inteqal par ghusl diya tha, kafan ke kapdo maise sab se pahle hame RasoolAllah ﷺ ne Izaar diya, fir kurta diya, fir oodhni di, fir chadar di, fir ek aur kapda diya jise upar lapet diya gaya.

(Fir Laila r.a. kahti hai) RasoolAllah ﷺ un ke kafan ke kapde liye hue darwaze ke paas khade hue the aur hame un maise ek ek kapde de rahe the.

Sunan Abu Dawud, Kitab Al-Jana'iz, hadith- 3157. Is hadith ko Shaykh Albani ne Irwa’ al-Ghaleel (723) me Daif karar diya hai.

Lekin is hadees ka Ek (dusra) Gawaah bhi hai, jisay Imam Jawzi ne Umm Atiyah r.a. se riwayat kiya hai ke: "Ham ne [Umm Kulsoom r.a. ko] paanch kapron mein kafan diya, aur usi tarha in ka sir dhak diya jaise zinda ka sir dhaka jata hai."

Ibn Hajar al-Asqalani kahte hai: Iski sanad Sahih hai. Fath al-Baari (3/159).

۩ Hasan Basri r.h. (Tabayeen) farmate hain:

وَقَالَ الْحَسَنُ الْخِرْقَةُ الْخَامِسَةُ تَشُدُّ بِهَا الْفَخِذَيْنِ وَالْوَرِكَيْنِ تَحْتَ الدِّرْعِ

"Aurat ke kafan ka panchwa kapda wo hai jo kameez ke neeche rahta hai, is se aurat ka satar aur ranei’n bandhi jati hain. "

Sahih al Bukahri, Kitab al Janaaez, Under Baab - How to shroud a dead body, Baab-15.

۩ Ibn Qudaamah kahte hai: (5 kapdo me kafan dena) Ye Mustahab hai kyuki aurat apne zindagi me mard se zyada kapde ka ahtamam karti hai. Is liye Aurat ko wafaat ke baad bhi zyada (kapdo ka) ahtamam karna hoga. End quote.

Al-Mughni (3/391).

۩ Shaykh ibn Baaz se pucha gaya ki "Mard aur Aurat ko kaise kafan diya jaye"?

To unhone Jawab diya,

"Afzal yahi hai ke mard ko teen safed kapron me kafan diya jaye jis mein amaamah aur kameez na ho, yahi afzal hai, aur aurat ko paanch kapron me kafan diya jaye, tah-band, kameez, dupatta, aur do (2) chadar, aur agar mayyat ko Ek (1) hi bade chadar mein kafan diya jaye jis mein iska pura jism dhaka jaye to mard ya aurat dono ko iski ijazat hai. Ye masla bada hai."

Majmoo’ Fataawa Ibn Baaz (13/127).

۩ Ulema e karaam farmate hai,

Aurat ko kafan dete waqt pahle tah-band bandhi jayegi, fir upar wale hisse par kameez, aur uske baad sir ke ird-gird dupatta diya jayega, aur fir Do (2) chadar mein lapait diya jayega.

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah (3/363). [Is Fatawa ke committee me ye ulema shamil hai: Shaykh ‘Abd al-‘Azeez ibn Baaz, Shaykh ‘Abd al-Razzaaq ‘Afeefi, Shaykh ‘Abd-Allaah Ghadyaan, Shaykh ‘Abd-Allaah ibn Qa’ood.]

۩ Ibn al-Mundhir kahte hai: Jin Ahle Ilm se hamne ilm hasil kiya hai us maise aksariyat is baat ke qayl hai ki aurat ko paanch (5) kapdo me kafan diya jayega.

Al-Mughni (3/391).

•٠•●●•٠•
Read More »

4 Jun 2018

Mayyat Ko Ghusl Dena Ka Shar'i Tarika


Mayyat ko Ghusl dene ka sahih aur shar'i tarika ye hai:

۩1. Wafaat ke fauran baad mayyat ka mu’n, ankhei’n band ki jaaei’n, baazu aur tangei’n aur hath, paou’n ki ungliya’n bhi seedhi kardi jaaei’n. Nez Kameez aur baniyaan wagaira utaar kar chaadar se mayyat ka badan dhaa’np diya jaae. Mayyat ke baazu, gale, ya pindli mein koi taweez dhaaga ya kadaa waghaira ho to ise utaar dei’n.

۩2. Paani ke andar Bairi ya neem ke patte ubaal liye jaaei’n (Bairi ke patte istemal karna afzal hai) fir yahi paani istemaal kiya jaaye aur lakdi ka ya koi aur takhta aisi jagah rakha jaaye jaha’n paani ka nikaas aur gandagi ko thikaane lagana asaan ho, mayyat ko is takhte par litaaya jaae. Naaf (navel) se ghutno’n (knee) tak ki jagah kapde se dhaa’np di jaaye aur dauraan e ghusl siwaye majboori ke mayyat ki sharmgaah par na hi nazar pade aur na hi kapde ke bagair ise haath lage.

Note: Ghusl ke liye pani itna garam na ho ki agar usse zinda shaks ghusl kare to use takleef ho kyuki mayyat ko bhi waisi hi takleef hoti hai jis tarha zinda shaks ko hoti hai. (Iski Daleel aage bayan ki gai hai)

۩3. Agar jism zakhmi ho aur is par pattiya’n bandhi hui ho’n to ehtiyaat se pattiya’n khol kar rooi (cotton) aur upar tayar kiya hua paani se aahista aahista zakhm dhoe jaaei’n. Har kaam ki ibtedaa daei’n taraf se karei’n siwaae iske ke sirf baei’n jaanib tawajjo ki mustahaq ho (i.e. if necessary).

۩4. Mayyat ko sar aur peeth par hath laga kar halka sa utha kar naaf ki taraf haath se mayyat ka pet 2 ya 3 bar halka sa dabaya jaae (taake andar ki gandagee imkaani had tak khaarij ho jaae) fir baei’n hath par kapde ka dastana wagaira (jo kafan ke sath banaaya jaata hai) pahen kar pahle paani se iska istinja karei’n. Agar zer e naaf balo’n ki safaai baaqi ho to karli jaaye.

Note: Istinja ka matlab sharmgaah ko dhona aur saaf karna.

۩5. Naak, daa’nt, mu’n ka khilaal aur kano’n mein acchi tarha geeli rui pher kar inki alag se safaai karli jaae take baad mein wuzu ke dauraan 3 dafa se ziyaada na dhona pade.

۩6. Bismillah padh kar mayyat ko shar'i wuzu karaaya jaae. Wuzu ka tarika ye hoga ki mayyat ka munh aur naak paani se saaf kiya jaye, mayyat ka chehra aur hath (kohniyo tak) dhoye jaye, sar aur kaano ka masah karwaya jaye, fir mayyat ke paao dhoye jaye. 

۩7. Sar se shuru karte hue hasb e zaroorat sabun istemaal karte hue puree jism ko (zarurat ke mutabik) 3 ya 5 ya 7 martaba acchi tarha dhoei’n. Akhri dafa nahlaate waqt paani me kuch kafoor (camphor) milaalei’n.

Mayyat ko 2 ya kisi aur ginti me bhi dhoya ja sakta hai lekin  mayyat ko taak (odd) ginti (3,5,7) me dhona mustahab hai aur hadees ke mutabik hai.

Notes:

1.  Agar Mayyat Khwateen ho toh inke baal khole , unhe dhoye fir unki teen chotiyan banaein. [Daleel: Sahih al Bukhari, hadith- 1254, 1260.]

2. Ghusl ki shuruat daayi taraf se ki jaye aur us hisse se shuruat ki jaye jis hisse se wuzu ki jati hai, yaani pahle upar ke daaye hisse fir upar ke baaye hisse fir niche ke daaye hisse aur fir niche ke baaye hisse se. [Daleel: Sahih al Bukhari, hadith-1255.]

3. Mayyat ke sath aesa koi amal na kiya jaye jo agar ek zinde shaks ke sath kiya jaye to use takleef ho kyuki Mayyat ko bhi utni hi takleef hoti hai jitni ek zinda shaks ko. Ummul Mu'minin Ayesha r.a. farmati hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Murde Ki Haddi Todna Zinde Ki Haddi Todne Ki Tarha Hi Hai." Sunan Abu Dawud,hadith- 3207, Sahih by Albani.
Arab ke yaha agar mayyat ki haddi sidhi na ho rahi hoti toh haddi todi jati thi.

4.  Ghusl ka ye Tareeqa afzal hai, taaham kisi tarha bhi ghusl diya jaye wo kaafi hoga bas shart ye hai ke saare jism par pani bahaya jaye aur jism ki achi tarhan safai ki jaye.

5. Aurat hi aurat ko ghusl de sakti hai aur mard hi mard ko ghusl de sakta hai siwaye iske ke mard aur biwi ek dusre ko ghusl de sakte hai. [Daleel]

6. Yaad rahe ke ghusl e Mayyat ka tareeqa bhi takreeban ghusl e janaabat waala hai albatta, ghusl ke dauraan Mayyat ka aur iske jism ke izzat ka bohot khayal rakhna chaahiye.

7. Jo shaks Mayyat ko Ghusl deta hai uska ghusl karna Mustahab hai.

۞ Umm e Atiya r.a.  ne kaha, ham Rasool Allah ﷺ ki beti Zainab ko nehlaa rahe the to Aap ﷺ ne farmaya: ‘Inko 3, 5 ya 7 baar paani aur bairi ke patto’n se ghusl do aur aakhir baar (paani mein) kuch kaafoor (camphor) bhi mila lo aur ghusl se faraagat par mujhe itella kar dena, ghusl daei’n a’azaae wazu se shuroo karo. (Umme Atiya kahti hain) Ham ne (ghusl ke baad) inke balo’n ki teen (3) chotiy’an banayi aur inko peeche daal diya.’

Sahih al Bukahri: al Janaaez 1258 – Sahih Muslim: al Janaaez 939.

•٠•●●•٠•

Read More »

3 Jun 2018

Shauhar Aur Biwi Ka Ek Dusre Ko Ghusl e Janazah Dena


Shauhar ka Biwi ko aur Biwi ka Shauhar ko Ghusl e Janazah dene ki ijazat shariat ne di hai.

۩ Rasool Allah ﷺ ne Aisha r.a. se kaha ke ‘Agar tum mujh se pahle mar gaei’n to main tumhei’n ghusl du’nga, kafan pehnaaou’nga aur tum par namaz e janaaz padhu’nga aur tumhei’n dafan karu’nga.’ 

Narrated by Ahmad, 25380; Ibn Maajah, 1456; classed as saheeh by Shaykh al-Albaani in Saheeh Ibn Maajah, 1/247.

Shaykh Ash-Shawkaani kahte hai : RasoolAllah ke alfaz, "Mai tumhe nahlaunga", nishandahi karte hai ki Biwi ko Shauhar mayyat ka ghusl de sakta hai.

Nayl al-Awtaar, 4/35.

۩ Asma’ bint ‘Umays r.a. riwayat karti hai ki Fatimah r.a. ne waseeyat ki thi ki Ali r.a. (unke wafat ke baad) unhe ghusl de.

Narrated by ash-Shaafa‘i, 1/312; ad-Daaraqutni, 2/79; al-Bayhaqi, 3/396. Its isnaad was classed as hasan by ash-Shawkaani in Nayl al-Awtaar, 4/35.

Shaykh As-San‘aani r.h. upar bayan ki hui Asma r.a. ki hadith ki tafseer me farmate hai, "Ye (hadith) nishandahi karti hai ki ye ek aesa mumla (Biwi ko mard ka ghusl dena) tha jo RasoolAllah ﷺ ke zamane me achhi tarah jana jata tha.

Subul as-Salaam, 1/478.

Imam Nawawi kahte hai: (Shauhar ka) Biwi ko Janaze ka ghusl dene ke talluq se, hamare aur aksar ulema ke nazdeek iski ijazat hai. Ye Ibn al-Mundhir se riwayat kiya gaya hai jinhone Alqamah, Jaabir ibn Zayd, ‘Abd ar-Rahmaan ibn al-Aswad,… Maalik, al-Awzaa‘i, Ahmad aur Ishaaq se riwayat kiya. Yahi raaye ‘Ata’, Dawood aur Ibn al-Mundhir ki bhi hai.
(Lekin) Abu Haneefah aur ath-Thawri kahte hai ki iski ijazat nahi hai. Wo is daleel ki bunyad par kahte hai (ki shareek e hayat ki wafat se) Nikah tut jati hai, Lihaza ye ek mukammal aur atal (irrevocable) Talaaq jaisi surat hai.

Sharh al-Muhadhdhab, 5/122.

Note: Toh behtar raaye Imam Nawawi ki hai jis par amal kiya ja sakta hai kyuki unki raaye upar ki hadith se milti hai. Aur jo ye raaye hai ki wafat se nikah tut jati hai iski koi shari haisiyat nahi hai aur ye raaye upar zikr-karda hadith se bhi takraati hai.

Aur Jaha tak sawal hai Biwi ka Shauhar ko ghusl dena ka to iski ijazat hai aur iski daleel ye hai,

Ummul Momineen Ayesha r.a. kahti hai, Agar Mujhe pahle yaad ajata jo baad me yaad aya, Toh Apki Biwiya hi apko Ghusl deti.

Narrated by Abu Dawood, 3141; classed as Hasan by Shaykh al-Albaani.

Imam Nawawi farmate hai: Ibn al-Mundhir ne apne do kitab, al-Ishraaf aur Kitaab al-Ijmaa‘ me kaha hai ki Ummat ka is baat par Ijma hai ki Biwi apne shauhar ko ghusl e Janazah de sakti hai. Aur logo ne bhi kaha hai ki is baat par Ijma hai.

Sharh al-Muhadhdhab, 5/114.

•٠•●●•٠•
Read More »

Mayyat Ke Ahkaam


Abu Qataada r.a. se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ke paas ek Janaza guzra. Aap ne farmaaya : ‘Ye raahat pane waala hai ya is se auro’n ne raahat paai’,
Momin banda dunya ke ranj o museebat se rahat pata hai aur is ezaa se Allah ki rahmat ki taraf araam paata hai aur faajir (gunahgar) banda se insaan, shaher, darakht aur jaanwar raahat paate hain.

Sahih al Bukhari: ar Riqaaq, hadith- 6512. – Sahih Muslim: hadith- 950.

۞ A’alam Naza’a Mein Talqeen:

۩ Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya: ‘Un logo’n ko jo marne ke kareeb ho’n "Laa Ilaaha Illallah" (kahne) ki naseehat karo.’

Sahih Muslim: al Janaaez, hadith- 916,917.

۩ Aap ﷺ ne farmaya ke: ‘Jis ke aakhir kalaam "Laa Ilaaha Illallah" ho wo Jannat mein dakhil kar diya jayega.’

Sunan Abu Dawood: al Janaaez, hadith- 3116. Ise Imam Haakim Vol-1, P-351,500 Aur Imam Zahabi ne Saheeh kaha.

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya: ‘Jab tum beemar ya mayyat ke paas jao to bhalaai ki baat kaho, kyou’nke is waqt tum jo kuch kahte ho farishte is par aameen kahte hain.’

Sahih Muslim: al Janaaez, hadith- 919.

۞ Allah Ta’ala Ke Baare Mein Nek Gumaan Rakhna Waajib Hai:

۩ RasoolAllah ne farmaya: ‘Tumhei’n is haal mein maut aani chaahiey ke tum Allah ke sath accha gumaan rakhte ho.’

Sahih Muslim, hadith- 2877.

Yaani Allah se Gunaaho ki magfirat, Azaab se hifazat aur Jannat ata karne ki ummeed rakhi jaye.

۞ Madeene Mein Marne Ki Tamanna Karna:

۩ Hafsa riwayat karti hain ke main ne Umar e Farooq r.a. ko ye dua karte hue suna:

“Allahummar Zuqnee Shahaadatan Fee Sabeelika Waja’al Mauti Fee Baladi Rasoolika”

Aye Allah! Mujhe Shahaadat Ki Maut De Aur Mujhe Madeena e Rasool Mein Maut De.

Sahih al Bukhari: Abwaab Fazaael al Madeena, hadith- 890.

۞ Maut Ki Aarzu Ki Mumaaneat:

۩ RasoolAllah   ne farmaya: ‘Maut ki aarzu na karo. Agar tum nek ho to shayad ziyaada neki kar sakoge aur agar badkaar ho to shayad tauba karke Allah ko raazi kar sakoge.’ 

Sahih al Bukhari: al Timnee [wishes], hadith- 7235. 

۩ Nabi e Rahmat ﷺ ne farmaya: ‘Na maut ki aarzu karo na maut ki dua karo, kyou’nke jab koi shaks mar jaata hai to iski (neki karne ki) ummeed khatam ho jaati hai aur momin ki lambi umar se iski nekiya’n badhti hain.’ 

Sahih al Muslim: al Zikr wa ad-Dua, hadith- 2682.

۩ Ibn e Umar farmate hain RasoolAllah ﷺ ne mera kaandha pakad kar farmaaya: ‘Duniya mein is tarha raho goya ke musaafir balki raahi ho, chunaache Ibne Umar farmaaya karte the, Jab shaam ho to subha ka intezaar na karo. Jab subha ho to shaam ka intezaar na karo. Tandrusti ko beemari aur zindagi ko maut se pahle ghaneemat jaano.’

Sahih al Bukhari: ar Riqaaq, hadith- 6416.

۞ Khud Khushee Sakht Gunah Hai:

۩ Nabi e Kareem ﷺ  ne farmaya: ‘Jo shaks apne ap ko gala gho’nt kar maarta hai wo jahannam mein apna gala gho’nta rahega aur jo shaks neza chubho kar apni jaan deta hai wo jahannam mein apne ap ko neza maarta rahega, aur wo jahannam mein hamesh rahega.’ 

Sahih al Bukahri: al Janaaez, hadith- 1365. Sahih Muslim: hadith- 109.

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya: ‘Allah Ta’ala ne farmaya: Mere bande ne apni jaan khud li is liye main ne is par jannat haraam kardi.’

Sahih al Bukahri: hadith- 3463 ; Sahih Muslim: al Eeman, hadith- 113. 

۩ Jabir bin Samrah se riwayat hai ke ‘RasoolAllah ﷺ ne is shaks ki namaz e janaaza nahi padhi jis ne khud khushee ki thee.’

Sahih Muslim: al Janaaez, hadith- 978.

۞ Maiyyat Ko Bosa Dena (Chumna, to kiss)

۩ Jiska koi kareebi dost, azeez faut ho jaye to isko maiyyat ki Muhabbat ki wajah se bosa lena jaaez hai, kyou’nke Abu Bakar r.a. ne RasoolAllah ﷺ ki wafaat par Aap ﷺ ka bosa liya tha.

Sahih Bukhari: al Janaaez, hadith- 1241.

۞ Maiyyat Par Chaadar Daalna

۩ Aisha r.a. farmati hain ke ‘Jab RasoolAllah ﷺ faut hue to 1 dhaari-daar Yamani chaadar se Aap ko dhaa’np diya tha.’

Sahih al Bukahri: al Janaaez, hadith- 1241.

۞ Faut Hone Waale Ke Dosto’n Aur Rishtedaaro’n Ko Iske Marne Ki Ittela Dena

۩ Abu Huraira ﷺ se riwayat hai ke ‘RasoolAllah ﷺ ne Habsha ke Baadshah Najjashee ki marne ke us din khabar di jis din wo faut hue.’  

Sahih al Bukhri: hadith- 1245. 

۩ Anas bin Maalik r.a. se riwayat hai ke ‘RasoolAllah ﷺ ne ghazwa Mu'tah me pahle Zaid fir Jafar aur fir Abdullah bin Rawaha ki shahadat ki ittela di aur Aap ki ankho’n se aa’nsu jaari the.’

Sahih al Bukhari: al Janaaez, hadith- 1246. 

۞ Maiyyat Ki Ankhei’n Band Karna

۩ Umme Salma r.a. se riwayat hai ke ‘RasoolAllah ﷺ Abu Salma ki iyaadat ko aaye aur inki ankhei’n khuli rah gai thee’n, fir Aap ﷺ ne inki aankho ko band kiya aur farmaya ke Jab jaan nikalti hai to aankhei’n unka peecha karti hai.’ 

Sahih Muslim: al Janaaez, hadith- 920.

۞ Maiyyat Ko Jald Dafan Karna

۩ RasoolAllah ﷺ ne farmaya: ‘Maiyyat ko jald dafan karo, agar wo nek hai to jis taraf tum ise bhej rahe ho wo iske liye fayedemand hai aur agar wo bura hai to isko apni gardano’n se utaardoge.’ 

Sahih al Bukhari: al Janaaez, hadith- 1315.  Sahih Muslim: al Janaaez, hadith- 944.

•٠•●●•٠•
Read More »

2 Jun 2018

Nawafil Amal Se Behtar Achha Akhlaq Hai


Abu Huraira r.a. kahte hai: Nabi ﷺ se arz kiya gaya, ya RasoolAllah ﷺ ! Fula Aurat raat ko nawafil padhti hai fir din ko roza rakhti hai, digar nek kaam karti hai aur sadaqah bhi deti hai lekin zuban se apne padosio ko tang karti hai. Toh RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Us me bhalayi maujud nahi, wo dozakhi hai."

Logo ne arz kiya: Ek aurat hai jo farz namaz hi padhti hai (sirf) aur sadaqah wa khairaat thoda karti hai aur kisi ko takleef bhi nahi pohchati, (is par) Aap ﷺ ne farmaya, wo Jannat me jayegi"

Al-Adab Al-Mufrad, Hadith- 119. Classed as Sahih by Sheikh Albani.

Is Hadith se hame pata chala ki achhe akhlaq ki kitni zyada ahmiyat hai hamare Deen me ki ise nawafil amal se upar rakha gaya hai. Aur RasoolAllah ﷺ ache akhlaq ki behtareen misaal the:

Allah Ta'la Rasool ﷺ ko mukhatib hokar farmate Hai,

"Aur beshak, Aap Akhlaq ke buland darje par fa'iz hai".

Quran, 68:4.

Anas r.a. riwayat karte hai, "Maine Das (10) saal tak Rasool ﷺ ki khidmat ki. Unhone Mujhe kabhi 'Uff' tak nahi kaha aur unhone mujhe kabhi kisi chiz ke bareme nahi toka ki tumne ye kyu nahi kiya, jo kaam maine nahi kiye ya fir us chiz ke bareme ye nahi kaha ki tumne ye kyu kiya, jo kaam maine kiye the.
Narrated By Al-Bukhaari In Al-adab Al-mufrad (277) And Classed As Saheeh By Al-albaani.

Abu ad-Dardh r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya, "Qayamat ke din Momin ke liye sabse bhari chiz jo (aamaal ke) tarazu me tauli jaegi wo uska Akhlaq hoga."

Jamia at-Tirmidhi, Chapters on righteousness and maintaining good relations with relatives, hadith- 2002. Sahih by Sheikh Zubair Ali Zai.

Abu Huraira r.a. riwayat karte hai ki Rasool ﷺ ne farmaya, Tumhe maaloom hai Gareeb kaun hai? Sahaba r.a. Ne arz kia, hum to gareeb us ko samjtay hain jis ke paas rupya-paisa aur saaz o saamaan na ho.

Toh Aap ﷺ ne farmaya, Meri Ummat mein gareeb wo shaksh hoga jo qayamat ke din namaaz, roza aur zakaat ke sath aayga magar us ne kisi ko gali di ho gi, kisi par jhuta-ilzam lagaya ho ga, kisi ka maaal hadap kiya ho ga, kisi ka khoon bahaya ho ga, kisi ko maara ho ga, chunache us ne jin jin logon ki haq talfi ki ho gi unhain us ki nekiya de di jaain gi. Aur agar uski nekiya kam pad jaye toh fir un logon ke gunaah la kar us par laad diye jayenge. Aur usey jahannum (dozakh) mein phaink diya jaay ga.

Sahih Muslim, The book of virtue, Enjoining good manners, and joining of the ties of kinship, hadith- 2581.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame behtar akhlaq se nawaze. aameen.
Read More »