اقرأ باسم ربك الذي خلق

17 Jan 2019

Islam Me Rasm-riwaj (Culture) Ka Muqam

hi  -
Alhamdulillah..

Bunyadi usool ye hai ki Islam me kisi bhi tarha ke rasm riwaj ki ijazat hai aur tab tak ijazat hai jab tak wo shairat ke kisi ahkaam se takraaye na.

۩ Anas r.a. riwayat karte hai ke jab Nabi ﷺ ne Room ke hukumaran ko khat likhne ka iradah kiya to Aap ﷺ se kaha gaya ke woh log koi khat us waqt tak qubool nahi karte jab tak us par mohar na ho, chunancha Nabi ﷺ ne ek chandi ki anguthi banwayi. Is anguthi par 'Mohammad-RasoolAllah' khudra hua (stamped) tha.

Sahih al Bukhari, kitab al Jihad ﴾56﴿, hadith- 2938.

۩ حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ حَدَّثَنَا أَبُو عَوَانَةَ، عَنْ أَبِي بِشْرٍ، عَنْ نَافِعٍ، عَنِ ابْنِ عُمَرَ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم اتَّخَذَ خَاتَمًا مِنْ فِضَّةٍ، فَكَانَ يَخْتِمُ بِهِ وَلا يَلْبَسُهُ

۩ Ibn Umar r.a. farmate hai ki RasoolAllah ﷺ ke paas ek chandi ki anguthi thi, wo isse khutut (letters) wagaira par muhar lagate the lekin ise pahente nahi the.

Imam Tirmizi ki Shamail Muhammadiyah, baab- RasoolAllah ﷺ ki mubarak anguthi, hadith- 83.

Bukhari ki is hadith se hamare ahle ilm ye natija nikalte hai ki kisi bhi rasm-riwaj ki pairwi karne ki ijazat hai kyuki RasoolAllah ﷺ ne dusre mulk ke mohar lagane wale rasm ko be-jhijhak apnaya tha. Aur kisi rasm-riwaj ki ijazat tab tak hi hai jab tak wo rasm shariat ke kisi ahkaam se na takraaye.

۩ Shaykh al-Sa’di [d.1376 a.h.] farmate hai:

“Rasm-riwaj ka bunyadi usool ye hai ki iski ijazat hai, jab tak ke kisi shariyat [ke ahkaam] me isko mana na kiya ho [yaani shariat ke kisi ahkaam se takraaye na].”

Risaalah fi Usool al-Fiqh (7).

۩ Shaykh ibn Uthaymeen se pucha gaya gaya, "Namaz eid ke baad musafah karne, gale milne aur mubarakbaad dene ka kya hukm hai?"

Toh Shaykh ka jawab tha:

"In chizo me koi harj nahi hai, kyuki log use bataur Ibadat aur Allah taala ka qurb samajh kar nahi karte hai, balki log ye bataur riwaaj (custom) aur izzat o ikraam aur ehtram karte hai, aur jab tak shariyat me kisi rasm-riwaj ki mumaniyat (manaahi) na aaye to bunyadi usool ye hai ki us chiz ki ijazat hoti hai."

Majmoo’ Fataawa Ibn ‘Uthaymeen, 16/208-210.

۞ Rasm e Shady/Nikah Ka Hukm:

Agar shady ki rasm-riwaj ki baat kare toh har ilake ki shady apne rasm-riwaj ke aetbar se kari jati hai. Islam ne isme koi pabandi nahi rakhi hai, aur isme bhi wahi usool ko dhyan me rakh kar rasm ki pairwi karne ki ijazat hai ki jis rasm ki pairwi ho rahi ho, wo shariyat se takraati na ho, jaise gair-mahram ka apas me milna julna ya haraam mausiqi (music) ka istemal karna wagaira. Misaal ke taur par mehdi ki rasm jo hamare muashre me hoti hai, isme koi harj nahi hai jab tak mehdi ke rasm ke dauran koi sharait ke khilaf kaam na ho, aur isi tarha dusre rasm ka bhi yahi hukm hai.

•٠•●●•٠•