اقرأ باسم ربك الذي خلق

16 Sept 2018

Qurbani ki Dua


Alhamdulillah..

Jo shaks Qurbani ke jaanwar ko zabah karna chahta hai uske liye sunnat hai ki wo zabah karte waqt ye dua padha:

“Bismillaah, wa Allaahu akbar, Allaahumma haaza minka wa laka, haaza ‘anni.”

Aur agar wo shaks dusre ki qurbani ke jaanwar ko zabah kar raha hai to wo ye kahega

“Bismillaah, wa Allaahu akbar, Allaahumma haaza an [fulaan], Allaahumma taqabbal min [fulaan] wa aale [fulaan].”

Note: Fulaan ki jagah us shaks ka naam kahna hai jiske naam se qurbani ho rahi hai.

Ahle ilm kahte hai ki isme zaruri sirf Bismillah kahna hai aur jo baaki dua hai wo farz nahi mustahab hai. [source]

Is dua ki Daleel niche di gai hadeeso se hai.

•٠•●●•٠•

۩ Anas r.a. riwayat karte hai ki Nabi ﷺ ne seeng wale do chitkabre mendhon (rams) ki Qurbani ki. Inhe apne haath se zabah kiya. Bismillah wa Allahu akbar (Allah ke naam se, Allah sabse bada hai) padha aur apna paon us ki gardan ke upar rakh kar zabah kiya.

Sahih al Bukhari, Book of Al-Adha Festival Sacrifice (Adaahi), hadith-5565. Baab: 'Zabah Karte Waqt Takbeer Ka Kahna'.


۩ Urwah bin Zubair ne Aisha r.a se riwayat ki ke Rasool ﷺ ne ek singon (Horns) wala mendha laane ka hukum diya jo siyahi mein chalta ho, siyahi mein baithta ho our siyahi mein dekhta ho (yahi paoun, pet our ankhen siyah hoon). Fir ek mendha qurbani ke liya laya gaya to Aap ﷺ ne farmaya ke aye Aisha! churi (knife) laao. Fir farmaya Ke is ko pathhar se tez kar lo. Mai ne tez kar di. Fir Aap ﷺ ne churi li, mendhe ko pakda, is ko letaya, fir zabah karte waqt farmaya, “Bismillah, Allahumma taqabbal min Muhammad wa aale Muhammad wa min Ummati Muhammad. ('Allah ke naam se, Aye Allah ! Muhammad ﷺ ki taraf se our Muhammad ﷺ ki aal ki taraf se our Muhammad ﷺ Ki ummat ki taraf se isko qabool karye,' fir Aap ﷺ ne iski qurbani ki.)

Sahih Muslim, hadith- 5291. Baab: 'Ye Mustahab hai ki achhe jaanwar ko qurbani ke liye chuna jaye aur khud se zabah kiya jaye, kisi aur ko (zabah) karne ki zimmedari na di jaye, aur (zabah karte waqt) Bismillah aur Taqbeer kaha jaye.'

۩ Jabir bin Abdullah r.a. riwayat karte hai ki Mai Nabi ﷺ ke sath eid ul azha ke din Eidgaah gaya, Jab ap khutbah khatam kar chuke to mimbar se niche utre, aur ek mendha laya gaya to Rasool ﷺ ne is ko apne hathon se zabah kiya, aur (zabah karte waqt) ye farmaya: 'Bismillaah, wa Allaahu akbar, Haaza anni wa amman lam yuzhahi min ummati' (Allah ke naam se, Allah sabse bada hai, Ye meri taraaf se aur meri Ummat maise us shaks ki taraf se hai jisne Qurbani nahi ki hai.)

Sunan Tirmizi, The Book on Sacrifices, hadith- 1521. Baab - 'Zabah karte waqt kya kaha jaye'. Shaykh Zubair Ali Zai ne ise hasan karar diya hai.

Imam Tirmizi is hadith ko bayan karne ke baad kahte hai. 


“Ahle Ilm Sahaba aur deegar logo ka is par amal hai ke jaanwar zabah karte waqt aadmi kahe, 'Bismillahi wa Allahu Akbar'. Ibn e Mubarak ka bhi yahi qawl hai (ye) kaha jata hai”.

•٠•●●•٠•

Allah se dua hai ki wo hame Ibraheem a.s. wala eemaan ata kare. aameen.
Read More »

15 Sept 2018

Kya Qurbani Raat Ko Ki Ja Sakti Hai ?

en     hi     ur -
Alhamdulillah..

Hame is mauzu par Quran, Sahih Hadees ya Salaf ki raaye nahi mili hai. Toh ab is sawal ka jawab alim e deen se puchte hai.

Shaykh ibn Uthaymeen kahte hai,

“Aur un ayyaam mein din ya raat ke kisi bhi waqt Qurbani karni jayez hai, lekin din ke waqt Qurbani karna zyada behtar aur afzal hai. Aur un ayyaam me bhi Eid waale roz dono khutbah ke baad qurbani karna zyada afzal hai, aur har pahla din dusre din se afzal hai kyuki aesa karne me neki aur bhalaai aur khair me jaldi karna hai.”

Ahkaam al-Udhiyah by Shaykh ibn Uthaymeen.

Aur Allah sabse behtar janta hai.

•٠•●●•٠•
Read More »

4 Sept 2018

Kya Nikah Ka Walima Karna Farz Hai ?

en     ur -
۩ Anas r.a. riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne Abd al-Rahmaan ibn Awf se farmaya, “Jaise ki tumne nikah kiya hai toh waleema karo khwah ek bhed se hi.”

Sahih al Bukhari, Book of Good Manners and Form (Al-Adab), hadith-6082.

۩ Shaykh Saleh al Munajjid farmate hai,

“Sharai taur par khawind aur biwi ke mabain shadi aqad nikaah ke sath hi ho jati hai jab is mein aurat ke wali ki muwafiqat aur do gawah aur eejaab qubool ho to ye Aqad nikah mukammal ho jata hai chahe is ke liye taqreeb (waleema) na bhi munaqqid ki jaye.

Aur shadi ki taqreeb aur is ka elaan aur waleeme ki dawat to sirf khushi ka izhaar aur aqad nikah ko mashhoor karne ke liye hai jo ke nikah ke waqt mustahab hai jaisa ke Nabi e akram ﷺ ne farmaya:

'Nikah ka aelaan karo'

Narrated by Ahmad, 4/5; classed as saheeh by al-Haakim, 2/200; classed as hasan by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’, 1072.

Dekhe: al-Mughni, 8/105.”


Note: Ye ahkaam ladke ke waleeme ke bareme hai na ki ladki ki kyuki hamare Deen me waleema sirf ladke walo ke taraf se hota hai. Kisi bhi sahih hadith se ye sabit nahi hai ki RasoolAllah ne apni kisi beti ka waleema kiya ho aur na hi ye amal sahaba ki zindagi se sabit hai.
•٠•●●•٠•
Read More »

21 Aug 2018

Hajj Arafah Hai - Tafseer ibn Kaseer

en -
Allah s.w.t. farmate hai,

“Tum Par Apne Rab Ka Fazl Talaash Karne Me Koi Gunaah Nahi, Jab Tum Arafah Se Lauto Mash’ar Haraam Ke Paas Zikr Ilaahi Karo Aur Us Ka Zikr Karo Jaise Ke Us Ne Tumhe Hidayat Di, Halaan Ke Tum Is Se Pahle Raah Bhule Hue The”.

Surah Baqara, Ayat-198.

۞ Imam ibn Kaseer kahte hai,

“Arafah ek jagah hai jahan par Hajj ke dauran khada hua jata hai aur ye Hajj ke rasam ki ek bunyadi rukn hai. Iske himayat me ek sahih hadees hai jo Imam Ahmad aur deegar sunan ke jama karne wale raawiyo ne Thawri, Bukayr ibn Ataa aur Abd al-Rahman ibn Yamar al-Dayli se riwayat hai jinhone kaha ki unhone Allah ke Rasool ﷺ se ye baat suni ki “Hajj Arafah hai”. Aap ﷺ ne teen dafa isko farmaya. 

Toh jo suraj nikalne se pahle Arafah pahunch gaya to isne goya Hajj ko paa liya. Aur mina ke teen (3) din hain, lekin jisne jaldi kar ke do (2) din me chhod diya, uspar koi gunah nahi, aur jisne intezar kiya, uspar bhi koi gunah nahi.

Aur Arafah me thaherne ka waqt Arafah ke din dopahar ke baad se lekar dusre din tulu e Fajr tak hai, jo qurbani ka din hain.
Ye isliye kyuki Nabi ﷺ  hajjatul wida ke dauraan, zuhr ki namaz ada karne ke baad sooraj ghuroob hone tak Arafah par khade rahe the aur farmaya ki 'Mujhse ye tareeqe/rasm/rukn seekhlo'.”

Tafseer Ibn Katheer, Surah Baqara, Ayat-198.

•٠•●●•٠•
Read More »

19 Aug 2018

'Aye Eeman Walo' Ka Matlab

en -
۞ Imam Ibn Kaseer kahte hai:

“Ibn Masood aur salaf ke dusre ulema kahte hai ki Jab tum ye suno ki Allah Quran me  "يَـأَيُّهَا الَّذِينَ ءَامَنُواْ [Aye Eeman waalo]" kah rahe ho, toh fir use pure dhyan se suno, kyuki isse ya to Allah koi khair ka hukm de raha hota hai ya fir kisi burai se rok raha hota hai.”

Tafseer Ibn Kaseer, Surah al-Baqarah (2), Ayat- 23.

۞ Shaikh Ibn al-Uthaymeen kahte hai:

“Aye logo jo eman laye ho - ye alfaaz is baat ki nishandehi karti hai ke Allah ke diye gaye (kisi bhi) hukm ko pure yaqeen ke sath us par amal karna eeman ka aham hissa hai.

Isi tarah is chiz ki taraf bhi ishara hai ki Allah ke hukm ki mukhalifat ya usme shak ya iska inkaar karna iman se firne ke barabar hai- ya fir puri taur se ya takmeeli taur par (matlab iski badaulat insaan ke eeman me khalal pad sakta hai, ya iman ko khone ka khadsha hai).

Teesra, is me hausla-afzaai aur kashish hai unlogo ke liye jinka zikr ho raha hai, ke (khud) Allah paak usse farma rahe hain ke (aye bande), agar eeman ka sachha hai, to sun aur amal pairo hoja.”

Tafseer of Surah al-Maaidah (5), Ayat- 90 by Shaikh Ibn al-`Uthaymeen.

•٠•●●•٠•
Read More »