اقرأ باسم ربك الذي خلق

22 Dec 2017

Kia Ambia Karaam (a.s.) Ki Roohain Haazir-o-Naazir Hain??


Kya Ambia Kraam ki roohe dunya main haazir-o-naazir hain? Aaiye Kitabullah or sunnat yani Quran-o-sahih hadith say poochtay hain.

Allah (subhaanahu wata’ala) Hzrt. Eesa Alaihi salam ka zikr kerte huay farmata hai,

(Main Allah ki panah main ata hun shaytan mardud ke shar say)

وَإِذْ قَالَ اللَّهُ يَا عِيسَى ابْنَ مَرْيَمَ أَأَنتَ قُلْتَ لِلنَّاسِ اتَّخِذُونِي وَأُمِّيَ إِلَـٰهَيْنِ مِن دُونِ اللَّهِ ۖ قَالَ سُبْحَانَكَ مَا يَكُونُ لِي أَنْ أَقُولَ مَا لَيْسَ لِي بِحَقٍّ ۚ إِن كُنتُ قُلْتُهُ فَقَدْ عَلِمْتَهُ ۚ تَعْلَمُ مَا فِي نَفْسِي وَلَا أَعْلَمُ مَا فِي نَفْسِكَ ۚإِنَّكَ أَنتَ عَلَّامُ الْغُيُوبِ
مَا قُلْتُ لَهُمْ إِلَّا مَا أَمَرْتَنِي بِهِ أَنِ اعْبُدُوا اللَّهَ رَبِّي وَرَبَّكُمْ ۚ وَكُنتُ عَلَيْهِمْ شَهِيدًا مَّا دُمْتُ فِيهِمْ ۖ فَلَمَّا تَوَفَّيْتَنِي كُنتَ أَنتَ الرَّقِيبَ عَلَيْهِمْ ۚ وَأَنتَ عَلَىٰ كُلِّ شَيْءٍ شَهِيدٌ
“Aur wo waqt bhi qabl-e-zikr hai k jub Allah s.wt farmae ga k Ae Eesa Ibn Maryam! Kya too nay in logon say kehdia tha k mujhko or meri maa ko bhi ilava Allah k ma’bood qarar do? Eesa (A.S) arz karen gay,
“(Ae Allah!) too pak hai, mujhko kisi tarah zeba na tha k main aesi bat kehta k jis k kehnay ka mujhay koi haq nhi, agr main ne kaha hoga to tujhko iska ilm hoga. Too tou meray dil k under ki bat bhi janta hai or main tere nafs may jo kuch hai isko nhi janta. Ghaibon ka janne wala too hi hay. Main ne to in say or kuch nhi kaha magr sirf wohi jo too ne mujh say kehnay ko farmaya tha k ‘tum Allah ki bandagi ikhtyar kero jo mera Rab hai or tmhara bhi Rab hai.Main in per gawah raha jab tak in main mojood raha. Phir jub too nay mujhko (zinda) otha lia to too hi in per nigraan raha. Or too her cheez say khabrdaar hai.”
[Al-Quran, surah Al-Maidah, surat 05, Ayaat.116-117

Qara’een-e-kram, khat kasheeda (underlined) alfaz per zra ghor farmaiye kis tarah Hzrt Eesa alaihi salam apne Aalim-ul-ghaib honay ka inkar kar rahay hain or phir inka yeh farmana kis qadr wazeh hai k jab tak tu ne mujhko in may rakkha os waqt tak main inper gawah raha, yani yeh tou tu hi janta hai k inho ne meray bad kya kuch kia, kiun k ‘Aleem-ul-khabeer’ or ‘samee-ul-baseer’ (sub kuch sunne, dekhne or janne wala) to sirf tu hi hai.

Sahih Bukhari ki hadith main in ayaat ki tashreeh milti hai, Khaatam un-Nabiyeen Muhammad-ur-RasulAllah (ﷺ) Roz-e-Qyamat ka zikr kertay huay farmatay hain,
“(Qayamat k din) phir meray perokaron ko daen (jannat ki) taraf le jaya jaega, lekin baz ko baen (yani jahannum ki) taraf ghaseeta jaega. Main kahun ga ‘Ae meray Rab! meray ummati!’, lekin mujhay (Allah t’ala ki taraf say) bataya jaega k ‘(Ae Nabi!) Aap nhi jantay inho ne Aap k bad kia kiya, jub Aap insay juda huay to yeh Islam say phir gae thay’. Main os waqt wohi kahun ga jo (Allah k) nek banday Eesa ibne Maryam nay kaha tha k “Main in per gawah raha jab tak in main mojood raha. Phir jab too nay mujhko otha lia to too hi in per nigraan raha. Or too her cheez say khabrdaar hai.””
[Sahih Bukhari, Vol.4, kitab ul-Anbiya]
Is Ayat or sahih Ahadith say saabit hua k Ambia kram ghair haazir honay per ya fout honay per is dunya say bay khabr hotay hain.
Sahih Bukhari ki ek or Hadith may murtadeen k ilava on bid’ation ka bhi zikr hai jinhen RasulAllah (s.aw) hoz-e-kausar say pani pila rahe honge or onhe rok dia jaega, inko bhi Nabi (s.a.w) yehi samjhaen gay k yeh to meray farmabrdar ummati hain lekin Aap (s.a.w) ko mutla’ kia jae ga k ‘Ae Nabi (s.a.w) tum nhi jantay k inho ne tumharay jane k bad kia kuch kiya, inhon ne tumharay bad deen maain nai nai batain nikal li thin’, to Aap (s.a.w) farmaen gay “on k lye (jannat say) duri ho!, on k lye duri ho!” jinho ne meray bad deen ko badal dala.”
[Sahih Bukhari, Vol.8, kitab ur-Riqaaq]
Maloom hua k Nabi ﷺ bhi nhi jantay k on k ummatio ne on k inteqal k bad deen main kia kia bid’atain ijad kin, kiun k sirf Allah hi apne ilm say ‘Haazir-o-Naazir’ hai.
Mazeed Dalail:
Anbia kram (a.s) Ahl-e-Quboor main say hain, Allah (subhanahu wata’ala) farmata hai,
  • “Bayshak Allah jise chahta hai suna deta hai, Or tum on logo ko nahi suna saktay jo qabron may (madfoon) hain.” [surah Al-Faatir, surat 35, Ayat.22]
  • “In (ehl-e-quboor) k pus-e-pusht tou aik barzakh (rukawat) hai in k dubara jee uthne k din tak.” [surah Al-Muminoon 23:100]
Lafz barzakh k mani deevar, hijab, rukawat ya barrier k hain, or barzakh dono taraf say hota hai na k aik taraf say. Yani Jis tarah koi zinda shax murda ki barzakhi zindagi ko nahi dekh sakta, nahi sun sakta or na mehsoos kr sakta hai isi tarah murda bhi zinda ko na sun sakta hai na dekh sakta hai or na mehsoos ker sakta hai.
  • Allah (subhanahu wata’ala) farmata hai,
“Yeh ghaib ki khabrain hain jo hum tum per wahi kertay hain, warna (Ae Mohammad! s.a.w) tum os waqt on k pas mojood na thay jub wo apne qalam daal rahe thay k Maryam (a.s) ki kifaalat kon karega, or na tum os waqt in k pas thay jub wo jhagar rahe thay.” [surah Aali-Imran, Ayat#44]
  • Hazrt. Jundub bin Abdullah (radiAllahu anhu) say rivayat hai k main ne RasulAllah (ﷺ) ko inki wafaat say paanch roz qabl yeh farmatay huay suna k “Tum say pehlay log (yani yahud-o-nasara) Anbia ki qabron ko sajdah gah bana lia krtay thay. Khabrdar! tum Qabron ko sajdah gah na bana lena, main tumhain is tarz-e-amal say mana’ kerta hun.” [sahih Muslim, Kitab-ul-Masajid, Hadith no.532]
Ma’loom hua k Pichli ummatain yani yahud-o-nasara apne Awlia or Anbia ki Qabron ko ibadat gah bana lete, yani Onhain haajat rawai or mushkil kushai k liye pukartay or onhain Allah tak pohnchne ka wasila banatay thay (jo k Surah Yunus ayat#18 aur surah Zumar ki ayat#3 say saabit hai). Is per Allah (s.wt) ne farmaya, 
  • “Maseeh Ibne Maryam (A.S) sivae (Allah k) Rasul honay k or kuch bhi nhi, In say pehle bhi bohat say Rasul aa chukay hain or in ki walda aik rast baz (sachi) aurat thin. Or wo dono khana khatay thay, Aap dekhen kis tarah Hum in k samne dalail rakhtay hain, phir ghor kijiye kis tarah wo ultay phiray jatay hain. Aap Keh dijiye:”kia tum Allah k siva on ki ibaadat kertay ho jo na tumharay kisi nuqsaan k malik hain or na kisi nafa k, (bul k) Allah hi khub sunne or janne wala hai. [surah Al-Maidah, Ayaat#75-76]
Khulasa ye hua k chahe wo Hzrt.Maryam (A.S) ho ya koi Rasul bhi ho, wo na tou humain nafa pohncha sakta hai or na nuqsan (agr hum ose pukaren), kiun k Wo pukarne walon ki pukar say be-khabr hai, or sirf Allah hi subkuch sunne or janne wala hai.
  • “Aur us say berh ker kon GUMRAAH ho sakta hai jo ALLAH K SIWA kisi doosrey ko PUKARAY, jo Qayamat tak us ki PUKAR ka jawab na de sakay, Bul k oskay PUKARNE se bhi Ghafil hon. Phir jub log roz-e-Akhrat ikatthay kiay jaengay tou wohi pukaray gae log in PUKARNE walon k dushman ban jaen gay, or inki parastish say saaf inkar ker den gay.” [Surah Al-Ahqaf Surat#46, Ayat#5]
Mandarjah bala ayat ka itlaaq fout shuda Anbiya or Buzurgon per hi hosakta hai jese k (wa iza hushiran Naas) yani “aur jub logon ko jama kia jaega” say wazeh hai. Yani Anbia aur auliya ka shumar logon main hota hai na k buton (idols) ka.
  • Wo Tamam sahih Ahadith jin main ummat ka salat-o-salam farishton k zariye Nabi (ﷺ) tak pohnchae janay ka zikr hai, maslan:
Abu Daud or Musnad Ahmad main Abu Huraira (radiAllahu anhu) say murvi hai k RasulAllah (ﷺ) ne farmaya,
“Apne gharon ko qabrain na banao (in main nawafil parha karo) or meri qabr ko jashn-e-ijtima na banao or mujh per drood parha karo, kiun k tumhara drood mujh per pohncha dia jata hai jahan kahin bhi tum ho (yani qabr k nazdeek ho ya door).
[sahih: Sunan Abu Daud, kitabul Manasik, baab: ziaratul quboor, raqm 2042. Mishkaat, kitabus salah, baab: Assalat alanNabi (s.a.w) raqm:926]
Aik dusri sahih Hadith main jo k sunan Nasai, Darmi, Musnad Ahmad, Ibn Habban, or Mustadrik Haakim main hai wazahat hai k jo darood-o-salam Nabi s.a.w per parha jata hai wo farishton k zarye Nabi tak pohnchaya jata hai, chuna cheh is k alfaaz hain,
“Allah (s.wt) ne roo-e-zamin per sayyaah farishtay muqarrar ker rakhay hain jo meri ummat ka salam mujh tak pohnchatay hain.” [Hasan: Sunan Nasai, kitabus sahev, baab: Al-tasleem alanNabi (s.a.w) raqm:1282]
Chuna cheh 
Hazrat Ali bin Al-Husayn (radiAllahu anhu) say murvi hai k onho ne aik aadmi ko dekha k wo salam k liye hujray main dakhil ho rha hai, tou onho ne osay mana kia or farmaya k main tujhay wo hadith na sunaon jo Huzur (s.a.w) ne beyan farmai thi? yani. “meri qabr ko mela na banana or na apne gharon ko qabrain banana (in main nawafil parhna), tumhara salammujh per pohncha dia jata hai jahan kahin bhi tum ho (yani qabr k nazdeek ho ya door).” [Hasn: Musnad Abi Ya’la al-Moosli 246/1]
Isi tarah dusri kutub-e-hadith main bhi aesi rivayaat mojood hain jo ba-wajood ikhtilaf-e-alfaaz k is mazmoon main mushtarik hain k “Ummat ka salat-o-salam farishton k zarye hi pohnchaya jata hai chahe kahin kahin say bhi parha jae.”
Pus, Agr Nabi (ﷺ) Hazir-o-nazir hotay ya inteqaal k baad bhi zindon ko sun saktay tou Darood-o-salam pohnchane k liye farishton ki koi zarurat nahi hoti.
  • “Bhlaa kon hai jo majboor ki pukaar ko qubool kerta hai jub wo osay pukarta hai, or takleef ko door kerta hai? (ilava Allah k?) Or tumko zamin per khalifa banata hai? kia Allah k sath koi or ma’bood bhi hai? (hergiz nhi) bul k tum bohat kam nasihat-o-ibrat qubool kertay ho.” [Surah An-Naml, Surat#27, Ayat#62]
Ma’loom hua k sirf Allah hi her jaga Apne ilm say Hazir-o-Naazir hai, yani Aalim-ul-ghaib, Samee-ul-Baseer aur Aleem-ul-Khabeer hona sirf Allah hi ki sifaat hain aur Allah ki sifaat main koi shareek nahin.
Jese kay Allah subhaanahu wata’ala ka farman hai,
(laisaka-mislihi shai’an wahuwa-samee-ul-baseer)
“Os jesi koi cheez nahin, aur Woh sub kuch Sunnay aur Dekhane wala hai” [surah Shuraa,42:11]
Ghair Hazir ya Fout shuda ko pukarne k mutalliq Allah (s.wt) ka Farman,
  • “Or mat pukaro tum Allah k siva kisi ko jo tumko nafa’ day sake or na nuqsaan pohncha sakay, agr esa kro gay to mushrik banjao gay.”
[surah Younus, Surat#10, Ayat#106]
Prepared by:- A.Sayed