اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

Kya Zewar Ki Zakaat Me Naye Soone(gold) Ki Qeemat Lagayi Jayegy Ya Istemaal Shuda Sone Ki?


Kya Zewar Ki Zakaat Me Naye Soone(gold) Ki Qeemat Lagayi Jayegy Ya Istemaal Shuda Sone Ki?

Zewar ki zakat mutalliq kiya mai ise sunaar ke paas le jakar iski qeemat lagwaon ya ise sone ki qeemat ke hisab se Zakaat ada karoon? Sunaar mujhe iski qeemat kam denge kyunki ye istemaal shuda soona hai lekin soone ka rate zyada hota hai?
...................................

Jawab:

Jab nisaab mukammal hojaye jo ki 85 gram sona hai, is par saal guzar jaye to is me se (adhayi)2 1/2 fisad ke hisaab se zakaat nikalni wajib hojaty hai, ya iski keemat se zakaat nikaly jaye, iski qeemat se wo qeemat muraad hai, jis me istemaal shuda sonaa faroqht hota hai, aur ye qeemat ghaliban naye sone ki qeemat se kam hoty hai, zakaat wajib hone ke waqt iski qeemat lagwa kar zakaat ada karde.

Shaikh ibn e Uthaymeen (rh) kahte hai aur is bina par hum us aurat ke paas maujood sone ki qeemat ka andaza lagayenge, chahe jisme isne qhareda hai ya is se kam ya zyaada,aur is iske istemal shuda sone ki qeemat ka andaza lagaya jayega aur is se adhayi feesad zakaat nikali jayegy, yaani:40 mese ek 1,lehaza 100riyal mese adhai 2 1/2 riyal ,aur 1000 me se 25riyal, aur isi hisab se iska tareeqa ye hai ke iski qeemat ko 40 par taqseem kardiya jaye aur is taqseem se hasil hone wala jawab zakaat hogyy, to is tarah aap bari uz zimma ho sakte hai, aur aag ke azab se use chutkara mil jaye gaa,aur use koi nuksaan nahi hogaa.

Shaikh (rh): se daryaft kiya gaya kya Zewar ki zakaat qeemat qhareed par hogy ya ke har saal zakaat nikalne ke waqt maujooda qeemat par?

To Shaikh ka jawab tha: Zewar ki zakaat har saal wajib hoty hai, zakaat qeemat qhareed par nahi balke saal mukammal hone ke waqt jo qeemat hogy us ke hisab se zakaat ada ki jaye gi, farz kare agar kisi aurat ne 10hazar(10,000)riyal me zewar khareeda aur jab us par saal mukammal hua to uski qeemat sirf (5000) 5 hazar riyal reh gayi to wo sirf 5 hazar riyal ki zakaat ada karegy, aur agar iske bar'aks qeemat hojaye to zakaat bhi iske bar'aks hogy, lehazaa jab isne zewar 5 hazar riyal me qareeda aur saal mukammal hojaane par iski qeemat 10 hazar riyaal ho chuki thy to zakaat 10 hazar riyal ke hisab se ada ki jayegy, kyunke ye wojub ka waqt hai, Allah taala hi taufeeq bakahshne wala hai.

Maqooz az majmoo fatawa Shaikh ibn e Uthaymeen (18) q no (58,81).