اقرأ باسم ربك الذي خلق

1 Jan 2018

Agar Sone Ke Alawa Koi Cheez Ki Milkiyat Nahi, To Kya Sona Farokht Karke Sone Ki Zakat Ada Ki Jayegi?

 

Agar Sone Ke Alawa Koi Cheez Ki Milkiyat Nahi, To Kya Sona Farokht Karke Sone Ki Zakat Ada Ki Jayegi?

Q: Mere paas sone(gold) ki itni miqdaar hai jis ki zakath ada karni wajib hai. Lekin zakath ki adayegi ke liye mere paas sone ke alawah kuch nahi.. kya main kuch sona farokhth kardu?
.........................................

Jawab:

Jis ki milkiyat me Nisab ke mutabiq sona ho, jo 85 gm hai aur us par saal mukammal hone par us ki zakath nikalna wajib hai jo 2.5% hai. Chahe ye sone se nikali jaye ya use farokht karne ke baad us ki qeemat se ya us ke alawa kisi dusri Raqm se. Aur is liye ke aap sone ke alawah kisi cheez ki malik nahi. To aap is sone se zakath ada karein aur agar koi ek (aap ka walid ya bhai ya khawind ya koi aur) aap ki jaanib se zakath ada karta hai to ye bhi jayez hai aur is ka ajr bhi hasil hoga.

Shaikh Ibn e Baaz kahte hai:  Zakat zewar ki malikah ke zimmeh hai aur agar iska khawind ya koi aur us ki janib se us ki ijazat se zakath ada karta hai to is me koi harj nahi aur sone se zakath nikalna wajib nahi. Jab bhi saal mukammal ho to is ki qimat se zakath nikalna kaafi hai aur saal pura hone ke waqt sone aur chandi ki jo qimat hogi us hisab se zakath ada kardi jaye.

Fatawa Islamiya ( 85/2).

Shaikh ibn Uthaymeen se sawal daryaft kiya gaya:

"Zaib o Zeenat ke liye tayyar kardah sone ki zakath hai? Aur agar Sone ko farokht kiye baghair zakath ada na kar sakte ho to kya kare?"

Jawab:

Ulma e karam ke aqwaal me se sahih aur mere nazdeek rajeh ye hai ke jab zewar nisab ko pohch jaye jo 85 gm hai to is par zakath wajib hai aur agar us ke paas maal ho aur wo us maal se uski zakath ada kare to is me koi harj nahi. Aur agar us ki janib se us ka khawind ya koi qareebi rishtedaar ada kare to is me koi harj nahi aur agar dono hi na hosake to phir sone me se kuch sona farokht karke zakath ada karde. Ho sakta hai baaz log ye kahe ke hum aisa karte rahe us aurat ka zewar hi khatm hojayega aur us k paas kuch bachega hi nahi. Is ke jawab me hum ye kahenge ke ye sahi nahi kyun ke sona nisaab se kum hojaye chahe thoda hi kum hua ho to us me zakath wajib nahi hoti to is waqt us ke paas zewar bachega jise wo pehen sakti hai.

Majmuaa fatawa ibne Uthaymeen (138/18).

•٠•●●•٠•