اقرأ باسم ربك الذي خلق

26 Dec 2017

Qabro Ki Ziyarat


Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ‘Main ne Tumhe qabro’n ki ziyaarat se mana kiya tha. Ab Tum inki ziyaarat kiya karo.’

(Muslim: al Janaaez 977)

Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne apni waleda ki qabar ki ziyaarat ki, khud bhi roe aur jo Aap ke sath the wo bhi roe. Phir Aap ne farmaya: ‘Main ne apni waleda ki baqhshish ki dua karne kel iey Allah Ta’ala se ijaazat maa’ngi, mujhe ijaazat nahi milee, phir main ne inki qabar ki ziyaarat karne ki ijaazat maa’ngi pas mujhe ijaazat de di gai, pas tum bhi qabro’n ki ziyarat kiya karo, kyou’nke qabro’n ki ziyarat maut yaad dilaati hai.’

(Muslim: 2130)

Shaikh Albani r.a. farmate hain: Nabi e Akram ﷺ ne qabro’n ki ziyarat karne wali aurato’n par lanat ki, magar iske baad aap ne ijaazat de di to is mein mard, auratei’n dono’n shaamil hain.

Rasoolullah ek 1 aisee aurat par se guzre jo qabar par baithee ro rahi thee, Aap ne ise Allah se darne aur sabar karne ka hukam diya. (Bukahri: al Janaaez 1252 – Muslim: al Janaaez 926) 

Agar aurato’n ka qabarastan jaana naajaaez hota to Aap ﷺ isko qabarastaan mein aane se bhi mana kar dete. 

Ummul Momineen Aisha r.a. apne bhai Abdur Rahman ki qabar ki ziyarat ko gaei’n inse kaha gaya, kya Nabi e Rahmat ﷺ ne (aurato’n ko) is se mana nahi kyat ha? To Aisha Siddiqa r.a. ne farmaya, pehle mana kiya tha, phir ijaazat de di thi.

(Mustadrak Haakim V1 P376) Ise Imam Zahabi ne Saheeh aur Haafiz Iraaqi ne Jaiyyid kaha. 

Ayesha Siddiqa r.a. farmati hain, main ne Nabi e Rahmat ﷺ se poocha, jab main qabarastan mein jaou’n to kaun si dua padho?

Aap ﷺ ne dua sikhai. (Muslim: al Janaaez 974) Isse bhi maloom hua ke aurato’n ka qabarastan jaana jaaez hai.

Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke: ‘Rasool Allah ﷺ ne kasrat se qabro’n ki ziyarat karne waali aurato’n par laanat farmai hai.’

(Tirmizee: al Janaaez 1056) Imam Tirmizee aur Imam Ibne Hibban ne ise Saheeh kaha. 

Kyou’nke in mein sabar ka maadda (T: Paitence) kam hota hai nez wo shirkiya umoor mein bhi tez hoti hain. Ye qabro’n ki ziyarat is liye mashroo nahi ke waha’n jaakar shirk o bidat ke kaam kiey jaaei’n, balke qabro’n ki ziyarat se maut ko yaad karna maqsood hai. 

Maloom hua ke aurato’n ke liye bakasrat ziyaarat to mana hai, magar kabhi kabhaar jaaez hai. 

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Murdo’n ko bura na kaho, wo to aage bheje hua (amaal) ki taraf chale gae hain.’

(Bukhari: al Janaaez 1393)

۞ Ahle Quboor Ke Liye Dua Karte Waqt Haath Uthaana:

Ayesha r.a. farmati hain ke: ‘1 raat Rasool Allah ﷺ ghar se nikle aur (madeena ke qabarastaan) baqee paho’nche aur der tak waha’n khade rahe. Phir Aap ne dono’n hath uthaa kar dua ki. Aap ne 3 baar aisa kiya, phir waapas aae. Phir Aap ne Aisha r.a. ko bataaya ke mere paas Jibraeel (A) aae aur kaha ke tumhara Rab tumhei’n hukam fermata hai ke tum baqee ke qabarastaan jaao aur inke liye maghfirat ki dua karo. Aisha r.a. ne arz ki ke main in ke liye kaise dua karu’n to Aap ne farmaya you’n kaho:
Assalamu A’ala Ahlid Diyaari Minal Momineena Wal Muslimeena Wa Yar Hamullahul Mustaqdimeena Minna Wal MustaQhireen a Wa Inna In shaa a Bikum Lalaa Hiqoon – Momin aur Musalman Gharwalo’n Par Salaamati Ho. Ham Mein Se Aage Jaane Walo’n Aur Peeche Rehne Walo’n Par Allah Ta’ala Raham Farmaae Aur Agar Allah Ne Chaha To Ham Bhi Anqareeb Tum Se Milne Wale Hain.’

(Muslim: al Janaaez 974)

Muslim hi ki 1 riwayat mein ye alfaz bhi hain: ‘Asalullaha Lanaa Walakumul A’afiyata – Main Allah Ta’ala Se Apne Aur Tumhare Liye Aafiyat Ki Dua Karta Hu’n.’

(Muslim: 975)