اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

Alcohal Mili Hui Dawa


Sawal: Aisi Adwiyat(Dawai) ka kya hukm hai jisme Alcohol ki kuch miqdaar payi jaaty hai?

Alhmdulillah..

Pahla: Dawa ko alcohol yaani sharaab ke sath milana jayez nahi hai, kyunke sharab ko baha kar zaa'e kar dena zaroory hai.

Abu sa'eed r.z. kahte hai, "Hamare paas ek yateem bacche ki sharab thy, Aur jis waqt surah ma'idah ki aayat (sharab ki hurmat ke baare me) Nazil hui to maine Rasool ﷺ se istefsaar kia, aur ye bhi batlaya ke wo kisi yateem ki hai, to Aap ﷺ ne farmaya: Ise bhi undael (bahaa) do.


Tirmizi hadith-1263. Sheikh Albani ne ise Sahih Tirmizi me sahih qaraar diya hai.

Dusra: Agar dawa ko alcohol me mila diya gaya ho, aur is alcohol ki miqdaar itny zyada ho ke dawa nasha aawar ban jaye to ye sharab hai, Jise peena haram hai, Aur agar alcohol ki miqdaar boht hi thodi hai ke is se nasha na chade to fir is dawa ka istemaal jayez hai.

Fatawa Al Lajnah Ad Daa'imah (22/110) me hai ke: "Nasha awar alcohol ko Dawa me shamil karna jayez nahi hai, aur agar Dawai me alcohol ko shamil kar diya gaya hai, aur zyada miqdaar me ye adwiyaat istemaal karne se nasha aata ho to aisy adwiyaat ka nusqa likh kar dena aur inhe istemal karna dono najayez hai, Chahe iski miqdaar thody ho ya zyada, Aur agar bhut zyada miqdaar me in adwiyaat ke istemal par bhi nasha nahi aata to aisy adwiyaat ka nusqa likh kar dena istemal karna jayez hai." End Quote.

Shaikh Ibn e Uthaimeen r.h. kahte hai: "Kuch Dawa me alcohol paya jata hai, To agar is dawa ke istemal se insaan ko nasha chadhe to is dawa ka istemaal haraam hoga, aur agar is ka asar wazeh na ho, balke alcohol ko dawa mehfooz banane ke liye istemal kiya jaye to aisy surat me koi harj nahi, Kyun ke alcohol ka is me koi asar nahi hai."

Liqa'at al baab al maftooh ( 3/231).

WALLAHU ALAM.

Allah se dua hai ki hame halal shifa ata kare. aameen.