اقرأ باسم ربك الذي خلق

4 Jan 2018

RasoolAllah ﷺ Ki Janazah Ki Namaz


Aksar Muslim ummah ke aam logo ke bich ye sawal rahta hai ki RasoolAllah ﷺ ki janazah ki namaz hui thi ya nahi. Aur jo log ye kahte hai ki unke janazeh ki namaz nahi hui thi wo un saari hadiths se boht dur aur ba-khabar hai jin hadith me darj hai ki sahabao ne RasoolAllah ﷺ ki janazah ka namaz padhi thi. 

Yahya riwayat karte hai ki unhone Malik se suna ki unhone suna ki peer (Monday) ko RasoolAllah ﷺ ki wafat hui thi aur unhe Mangal(Tuesday) ko dafan kiya gaya tha aur logo ne akele hi un ke janazeh ki namaz padhi bina kisi Imam ke.

Muwatta Malik » Book of Burials » Book 16, Hadith 27.

Hajrat Ibn Abbas r.a. riwayat karte hai 

... aur fir Log groh me aye aur RasoolAllah ﷺ ki janaze ki namaz padhi, aur jab wo padh chuke to khwateen ayi aur jab inhone padhna khatm kar diya tab bachhe aye aur kisi ne is namaz ki imamat nahi karayi.

Sunan Ibn Majah,  Chapters Regarding Funerals,  Hadith 1628.

Imam Tirmidhi  al-Shamaa’il (p. 338) me riwayat karte hai,

"Rasool Allah ﷺ ka intqal 12th Rabee’ al-Awwal 11 AH me hua tha suraj ke sabse unche mukam(zenith) ke guzarne ke baad aur Madeena ke saare logo ke janazeh ki namaz padhne ke baad unhe Mangal(Tuesday) wali raat ko dafan kiya tha.  Abu Bakr al-Siddeeq (r.z.) ne kaha: Kuch log andar aye aur Takbeer kaha aur Janazah ki namaz padhi aur duae mangi, fir wo waha se chale gaye jab tak ke baaki log andar aa gaye.

(Sheikh Albani ne ise sahih karar diya hai).

Allah se dua hai ki wo ham logo ko haq talaash kar ke us par amal karne ki taufeek ata kare. aameen.