اقرأ باسم ربك الذي خلق

3 Jan 2018

Kya Gair-Muslims ko Qurbani ka gosht de sakte hai?


Gair-Muslims ko Qurbani ke gosht dene me koi burai nahi hai, khas kar jab wo apka rishtedar ya padosi ya koi gareeb ho siwae unko jo musalmano se jang karte ho. Ye baat is ayat se pata chalti hai:

۩ 'Jin logon ne tum se Deen kay bare me ladayi nahi lari aur tumhe jila watan nahi kiya unn kay sath salook-o-ehsan karney aur munsifana bhalay bartao karney say Allah Taalaa tumhe nahi rokta balke Allah Taalaa to insaf karne walo se mohabbat karta hai.'

Surah Mumtahinah ﴾60﴿, ayat- 8.

Unlogo ko Qurbani ka gosht dena unke saath insaf karna aur unse silahrahmi ke pashemanzar me aata hai jiski Allah ne hame ijazat di hai.

۩ Mujaahid riwayat karte hai ki ek bheda (sheep) Abdullah ibn Amr ke liye qurban kiya tha unke pariwar ke ek shaks ne, aur jab wo(Abdullah ibn Amr) aye, unhone farmaya: Kya tumne in maise kuch hamare Yahudi padosi ko diya, Kya tumne in maise kuch hamare Yahudi padosi ko diya? Kyuki maine RasoolAllah ﷺ se ye farmate hue suna hai ki, "Jibreel musalsal mujhe padosio se silahrahmi karne ki nasihat karte rahe yaha tak ki mujhe laga ki kahi wo padosio ko waaris na bana de."

Jamia Tirmizi, hadees-1943. Ise Darussalaam ne sahih karaar diya hai.

۩ Shaykh ibn Baaz farmate hai,

'Kafiro ke sawal se jo ham se jang nahi kar rahe hai jaise wo jise Musalamano ne hifazat ka jimma liya hai ya wo jo Musalmano ke hukumat me rahte hai, unhe Qurbani ka gosht aur dusre tarha ke sadqe de sakte hai.'

Majmoo Faaawa Ibn Baaz (18/48).